ghazalKuch Alfaaz

gulon ko sunna zaraa tum sadaaein bheji hain gulon ke haath bahut si duaaein bheji hain jo aftaab kabhi bhi ghuroob hota nahin hamaara dil hai usii ki shuaaein bheji hain agar jalaae tumhein bhi shifaa mile shaayad ik aise dard ki tum ko shuaaein bheji hain tumhaari khushk si aañkhen bhalii nahin lagtiin vo saari cheezen jo tum ko rulaayein bheji hain siyaah rang chamakti hui kanaari hai pahan lo achchhii lagengi ghataaein bheji hain tumhaare KHvaab se har shab lipt ke sote hain sazaayein bhej do ham ne khataayein bheji hain akela patta hawa men bahut buland uda zameen se paanv uthao hawaaein bheji hain

Gulzar2 Likes

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain

Varun Anand

63 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

More from Gulzar

aisa KHaamosh to manzar na fana ka hota mirii tasveer bhi girti to chhanaaka hota yuñ bhi ik baar to hota ki samundar bahta koi ehsaas to dariyaa ki ana ka hota saans mausam ki bhi kuchh der ko chalne lagti koi jhonka tiri palkon ki hawa ka hota kaanch ke paar tire haath nazar aate hain kaash KHushboo ki tarah rang hina ka hota kyun mirii shakl pahan leta hai chhupne ke li.e ek chehra koi apna bhi KHuda ka hota

Gulzar

3 likes

zikr aa.e to mire lab se duaaein niklen shama' jaltee hai to laazim hai shuaaein niklen vaqt ki zarb se kat jaate hain sab ke seene chaand ka chhalaka utar jaa.e to qaashein niklen dafn ho jaayen ki zarkhez zameen lagti hai kal isee miTTi se shaayad mirii shaakhen niklen chand ummeedein nichodhi theen to aahen tapkiin dil ko pighlaayein to ho saka hai saansen niklen ghaar ke munh pe rakha rahne do sang-e-khursheed ghaar men haath na daalo kahii raatein niklen

Gulzar

2 likes

tinka tinka kaañte tode saari raat kataai ki kyun itni lambi hoti hai chaandni raat judaai ki neend men koi apne-aap se baatein karta rehta hai kaal-kue men goonjti hai awaaz kisi saudaai ki seene men dil ki aahat jaise koi jaasoos chale har saa.e ka peecha karna aadat hai harjaai ki aankhoñ aur kaanon men kuchh sannaate se bhar jaate hain kya tum ne udti dekhi hai ret kabhi tanhaaii ki taaron ki raushan faslen aur chaand ki ek daraanti thii sahoo ne girvi rakh li thii meri raat kataai ki

Gulzar

0 likes

ruke ruke se qadam ruk ke baar baar chale qaraar de ke tire dar se be-qaraar chale uthaaye firte the ehsaan jism ka jaañ par chale jahaan se to ye pairhan utaar chale na jaane kaun si miTTi watan ki miTTi thii nazar men dhool jigar men li.e ghubaar chale sehar na aayi kaii baar neend se jaage thii raat raat ki ye zindagi guzaar chale mili hai shama' se ye rasm-e-aashiqi ham ko gunaah haath pe le kar gunaahgaar chale

Gulzar

2 likes

os padi thii raat bahut aur kohra tha garmaish par sailee si khaamoshi men awaaz sooni farmaaish par faasle hain bhi aur nahin bhi naapa taula kuchh bhi nahin log b-zid rahte hain phir bhi rishton ki paimaish par munh moda aur dekha kitnii door khade the ham dono aap lade the ham se bas ik karvat ki gunjaish par kaaghaz ka ik chaand laga kar raat andheri khidki par dil men kitne KHush the apni furqat ki aaraish par dil ka hujra kitnii baar ujda bhi aur basaaya bhi saari umr kahaan thehra hai koi ek rihaaish par dhoop aur chaanv baant ke tum ne aangan men deewaar chuni kya itnaa aasaan hai zinda rahna is aasaaish par shaayad teen nujoomi meri maut pe aa kar pahunchege aisa hi ik baar hua tha iisa ki paidaish par

Gulzar

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Gulzar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Gulzar's ghazal.