haae laaya na koi qasid-e-dilbar kaghhaz ho gaya ghham se hamara tan-e-laghhar kaghhaz nama-e-yar ke likhne ko mujhe arzan hai tol de gar koi sone ke barabar kaghhaz yuun lifafe men hamara hai kalam-e-shirin jis tarah bandhte hain qand ke uupar kaghhaz na-tavani se nahin hai mujhe mumkin harakat main huun harfon ki tarah mera hai bistar kaghhaz haal likkha hai jo main ne badan-e-laghhar ka le uda tinke ki manind kabutar kaghhaz main ne likkha hai jo apna ye musibat-nama mohr karne ko karun ashk se ab tar kaghhaz mere naame ko agar dast-e-hinai men vo le varaq-e-gul se bhi ho rang men behtar kaghhaz hal-e-soz-e-ghham-e-furqat karun tahrir to ho kabk ki chonch qalam baal samundar kaghhaz is qadar misl-e-qalam main ne jabin-sai ki ban gaya ghis ke dar-e-yar ka patthar kaghhaz yaar ne khat men jo likkha hai ki na aana hargiz ho gaya mere liye sadd-e-sikandar kaghhaz saath naame ke gai jaan bhi su-e-janan ho gaya tair-e-jan ke liye shahpar kaghhaz nahin tohfa khat-e-janan ke barabar koi hai mujhe qand-o-zaqan se kahin behtar kaghhaz ja-e-jarrah ki ab nama-bar aa pahuncha hai badle phahe ke rakhun daghh-e-jigar par kaghhaz kya main iflas men khat yaar ko likkhun 'nasikh' na qalam hai na siyahi na mayassar kaghhaz hae laya na koi qasid-e-dilbar kaghaz ho gaya gham se hamara tan-e-laghar kaghaz nama-e-yar ke likhne ko mujhe arzan hai tol de gar koi sone ke barabar kaghaz yun lifafe mein hamara hai kalam-e-shirin jis tarah bandhte hain qand ke upar kaghaz na-tawani se nahin hai mujhe mumkin harakat main hun harfon ki tarah mera hai bistar kaghaz haal likkha hai jo main ne badan-e-laghar ka le uda tinke ki manind kabutar kaghaz main ne likkha hai jo apna ye musibat-nama mohr karne ko karun ashk se ab tar kaghaz mere name ko agar dast-e-hinai mein wo le waraq-e-gul se bhi ho rang mein behtar kaghaz haal-e-soz-e-gham-e-furqat karun tahrir to ho kabk ki chonch qalam baal samundar kaghaz is qadar misl-e-qalam main ne jabin-sai ki ban gaya ghis ke dar-e-yar ka patthar kaghaz yar ne khat mein jo likkha hai ki na aana hargiz ho gaya mere liye sadd-e-sikandar kaghaz sath name ke gai jaan bhi su-e-jaanan ho gaya tair-e-jaan ke liye shahpar kaghaz nahin tohfa khat-e-jaanan ke barabar koi hai mujhe qand-o-zaqan se kahin behtar kaghaz ja-e-jarrah ki ab nama-bar aa pahuncha hai badle phahe ke rakhun dagh-e-jigar par kaghaz kya main iflas mein khat yar ko likkhun 'nasikh' na qalam hai na siyahi na mayassar kaghaz
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari
Ali Zaryoun
70 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Imam Bakhsh Nasikh.
Similar Moods
More moods that pair well with Imam Bakhsh Nasikh's ghazal.







