hai shor sahilon par sailaab aa raha hai aankhoñ ko ghark karne phir KHvaab aa raha hai bas ek jism de kar ruksat kiya tha us ne aur ye kaha tha baaki asbaab aa raha hai khaak-e-visaal kya kya soorat badal rahi hai suraj guzar chuka hai mahtaab aa raha hai paani ke aaine men kya aankh pad gaii hai dariyaa men kaisa kaisa girdaab aa raha hai aankhoñ ki pyaaliyon men baarish machi hui hai sehra men koi manzar shaadaab aa raha hai
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
vo ek pakshi jo gunjan kar raha hai vo mujh men prem srijan kar raha hai bahut din ho gaye hai tumse bichhde tumhein milne ko ab man kar raha hai nadi ke shaant tat par baithkar man teri yaaden visarjan kar raha hai
Azhar Iqbal
61 likes
apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain
Varun Anand
63 likes
sar jhukaoge to patthar devta ho jaayega itnaa mat chaaho use vo be-vafa ho jaayega ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega kitnii sachchaai se mujh se zindagi ne kah diya tu nahin meraa to koi doosra ho jaayega main KHuda ka naam le kar pee raha hooñ dosto zahar bhi is men agar hogaa davaa ho jaayega sab usii ke hain hawa KHushboo zameen o aasmaañ main jahaan bhi jaaunga us ko pata ho jaayega
Bashir Badr
43 likes
More from Farhat Ehsaas
tumhein us se mohabbat hai to himmat kyun nahin karte kisi din us ke dar pe raqs-e-vahshat kyun nahin karte ilaaj apna karate phir rahe ho jaane kis kis se mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyun nahin karte tumhaare dil pe apna naam likkha ham ne dekha hai hamaari cheez phir ham ko inaayat kyun nahin karte mirii dil ki tabaahi ki shikaayat par kaha us ne tum apne ghar ki cheezein ki hifazat kyun nahin karte badan baitha hai kab se kaasa-e-ummeed ki soorat so de kar vasl ki khairaat ruksat kyun nahin karte qayamat dekhne ke shauq men ham mar mite tum par qayamat karne waalo ab qayamat kyun nahin karte main apne saath jazbon ki jamaat le ke aaya hooñ jab itne muqtedi hain to imaamat kyun nahin karte tum apne hont aaiine men dekho aur phir socho ki ham sirf ek bose par qana'at kyun nahin karte bahut naaraz hai vo aur use ham se shikaayat hai ki is naarazgi ki bhi shikaayat kyun nahin karte kabhi allah-miyaan poochhenge tab un ko bataaenge kisi ko kyun bataayen ham ibadat kyun nahin karte murattab kar liya hai kulliyaat-e-zakhm agar apna to phir ehsaas-jee is ki ishaa'at kyun nahin karte
Farhat Ehsaas
23 likes
main rona chahta hooñ khoob rona chahta hooñ main aur is ke ba'd gahri neend sona chahta hooñ main tire honton ke sehra men tiri aankhoñ ke jungle men jo ab tak pa chuka hooñ us ko khona chahta hooñ main ye kacchi mittiyon ka dher apne chaak par rakh le tiri raftaar ka ham-raks hona chahta hooñ main tira saahil nazar aane se pahle is samundar men havas ke sab safeenon ko dubona chahta hooñ main kabhi to fasl aayegi jahaan men mere hone kii tiri khaak-e-badan men khud ko bona chahta hooñ main mire saare badan par dooriyon kii khaak bikhri hai tumhaare saath mil kar khud ko dhona chahta hooñ main
Farhat Ehsaas
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Farhat Ehsaas.
Similar Moods
More moods that pair well with Farhat Ehsaas's ghazal.







