sar jhukaoge to patthar devta ho jaayega itnaa mat chaaho use vo be-vafa ho jaayega ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega kitnii sachchaai se mujh se zindagi ne kah diya tu nahin meraa to koi doosra ho jaayega main KHuda ka naam le kar pee raha hooñ dosto zahar bhi is men agar hogaa davaa ho jaayega sab usii ke hain hawa KHushboo zameen o aasmaañ main jahaan bhi jaaunga us ko pata ho jaayega
Related Ghazal
usne do chaar kar diya mujh...ko zehni beemaar kar diya mujh...ko kyuuñ nahin dastaras men tu mere kyuuñ talabgaar kar diya mujh...ko kabhi patthar kabhi KHuda usne chaaha jo yaar kar diya mujh...ko usse koi sawaal mat karna usne inkaar kar diya mujh...ko ek insaan hi to maanga tha us..ko bhi maar kar diya mujh...ko
Himanshi babra KATIB
51 likes
har andhera raushni men lag gaya jis..ko dekho shayari men lag gaya hamko mar jaane ki fursat kab mili vaqt saara zindagi men lag gaya apna maikhaana banaa sakte the ham itnaa paisa maikashi men lag gaya KHud se itni door ja nikle the ham ik zamaana waapsi men lag gaya
Mehshar Afridi
53 likes
tum ne bhi un se hi milnaa hota hai jin logon se meraa jhagda hota hai us ke gaav ki ek nishaani ye bhi hai har nalke ka paani meetha hota hai main us shaKHs se thoda aage chaltaa hooñ jis ka main ne peecha karna hota hai bas halki si thokar maarni padti hai har patthar ke andar chashma hota hai tum meri duniya men bilkul aise ho taash men jaise hukum ka ikka hota hai kitne sukhe ped bacha sakte hain ham har jungle men lakkadhaara hota hai
Zia Mazkoor
30 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
saare ka saara to meraa bhi nahin aur vo shaKHs be-vafa bhi nahin ghaur se dekhne pe boli hai shaa dii se pahle sochna bhi nahin achchhii sehat ka hai meraa mahboob dhoke dete hue thaka bhi nahin j itnaa barbaad kar diya tune utna aabaad to main tha bhi nahin mujh...ko bas itnaa deen aata hai jahaan main KHud nahin KHuda bhi nahin
Kushal Dauneria
43 likes
More from Bashir Badr
jab tak nigaar-e-dasht ka seena dukha na tha sehra men koi laala-e-sehra khila na tha do jheelein us ki aankhoñ men lahara ke so gaeeinus vaqt meri umr ka dariyaa chadha na tha jaagi na theen nason men tamannaa ki naaginenus gandumee sharaab ko jab tak chakha na tha dhoonda karo jahaan-e-tahayyur men umr bhar vo chalti phirti chaanv hai main ne kaha na tha ik be-vafa ke saamne aañsu behaate ham itnaa hamaari aankh ka paani mara na tha vo kaale hont jaam samajh kar chadha ga.e vo aab jis se main ne wuzoo tak kiya na tha sab log apne apne KHudaaon ko laaye the ek ham aise the ki hamaara KHuda na tha vo kaali aañkhen shahar men mashhoor theen bahut tab un pe mote sheeshon ka chashma chadha na tha main saahib-e-ghazal tha haseenon ki bazm men sar par ghanere baal the maatha khula na tha
Bashir Badr
3 likes
maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha
Bashir Badr
1 likes
chaai ki pyaali men neeli tablet gholi sah men sah men haathon ne ik kitaab phir khuli daayere andheron ke raushni ke poron ne coat ke button khole taai ki girah khuli sheeshe ki silaai men kaale bhoot ka chadhna baam kaath ka ghoda neem kaanch ki goli barf men daba makhan maut rail aur riksha zindagi khushi riksha rail motoren doli ik kitaab chaand aur ped sab ke kaale collar par zehan tape ki gardish munh men toton ki boli vo nahin mili ham ko huk button sarkati jeen zip ke daant khulte hi aankh se giri choli
Bashir Badr
2 likes
shabnam ke aañsu phool par ye to vahii qissa hua aañkhen mirii bheegi hui chehra tira utara hua ab in dinon mirii ghazal KHushboo ki ik tasveer hai har lafz gunche ki tarah khil kar tira chehra hua shaayad use bhi le ga.e achchhe dinon ke qafile is baagh men ik phool tha teri tarah hansta hua har cheez hai bazaar men is haath de us haath le izzat gaii shohrat mili rusva hue charcha hua mandir ga.e masjid ga.e peeron faqeeron se mile ik us ko paane ke li.e kya kya kiya kya kya hua anmol moti pyaar ke duniya chura kar le gaii dil ki haveli ka koi darwaaza tha toota hua barsaat men deewar-o-dar ki saari tahreeren mittiin dhoya bahut mitaa nahin taqdeer ka likkha hua
Bashir Badr
6 likes
she'r mere kahaan the kisi ke li.e maine sab kuchh likha hai tumhaare li.e apne dukh sukh bahut khoobsurat rahe ham ji.e bhi to ik doosre ke li.e hum-safar ne mira saath chhodaa nahin apne aañsu diye raaste ke li.e is haveli men ab koii rehta nahin chaand niklaa kise dekhne ke li.e zindagi aur main do alag to nahin main ne sab phool kaate isi se li.e shahar men ab mira koii dushman nahin sab ko apna liya maine tere li.e zehan men titliyan ud rahi hain bahut koii dhaaga nahin baandhne ke li.e ek tasveer ghazalon men aisi banii agle pichhle zamaanon ke chehre li.e
Bashir Badr
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







