hain ravan us raah par jis ki koi manzil na ho justuju karte hain us ki jo hamen hasil na ho dasht-e-najd-e-yas men divangi ho har taraf har taraf mahmil ka shak ho par kahin mahmil na ho vahm ye tujh ko ajab hai ai jamal-e-kam-numa jaise sab kuchh ho magar tu diid ke qabil na ho vo khada hai ek bab-e-ilm ki dahliz par main ye kahta huun use is khauf men dakhil na ho chahta huun main 'munir' is umr ke anjam par ek aisi zindagi jo is tarah mushkil na ho hain rawan us rah par jis ki koi manzil na ho justuju karte hain us ki jo hamein hasil na ho dasht-e-najd-e-yas mein diwangi ho har taraf har taraf mahmil ka shak ho par kahin mahmil na ho wahm ye tujh ko ajab hai ai jamal-e-kam-numa jaise sab kuchh ho magar tu did ke qabil na ho wo khada hai ek bab-e-ilm ki dahliz par main ye kahta hun use is khauf mein dakhil na ho chahta hun main 'munir' is umr ke anjam par ek aisi zindagi jo is tarah mushkil na ho
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
mujh...ko darwaaze par hi rok liya jaata hai mere aane se bhala aap ka kya jaata hai tum agar jaane lage ho to palat kar mat dekho maut likhkar to kalam tod diya jaata hai tujhko batlaata magar sharm bahut aati hai teri tasveer se jo kaam liya jaata hai
Tehzeeb Hafi
90 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
shor karunga aur na kuchh bhi boloonunga khaamoshi se apna rona ro loonga saari umr isee KHvaahish men guzri hai dastak hogii aur darwaaza khooloonunga tanhaaii men KHud se baatein karne hain mere munh men jo aayega boloonunga raat bahut hai tum chaaho to so jaao meraa kya hai main din men bhi so loonga tum ko dil ki baat bataani hai lekin aañkhen band karo to mutthi khooloonunga
Tehzeeb Hafi
84 likes
More from Muneer Niyazi
be-khayaali men yoon hi bas ik iraada kar liya apne dil ke shauq ko had se ziyaada kar liya jaante the dono ham us ko nibha sakte nahinus ne vaa'da kar liya maine bhi vaa'da kar liya gair se nafrat jo pa li kharch KHud par ho gaii jitne ham the ham ne KHud ko us se aadha kar liya shaam ke rangon men rakh kar saaf paani ka gilaas aab-e-saada ko hareef-e-rang-e-baada kar liya hijraton ka khauf tha ya pur-kashish kohna maqaam kya tha jis ko ham ne KHud deewar-e-jaada kar liya ek aisa shaKHs banta ja raha hooñ main muneer jis ne KHud par band husn o jaam o baada kar liya
Muneer Niyazi
6 likes
zinda rahen to kya hai jo mar jaayen ham to kya duniya se KHaamushi se guzar jaayen ham to kya hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne ik KHvaab hain jahaan men bikhar jaayen ham to kya ab kaun muntazir hai hamaare li.e vahaañ shaam aa gaii hai laut ke ghar jaayen ham to kya dil ki khalish to saath rahegi tamaam umr dariya-e-gham ke paar utar jaayen ham to kya
Muneer Niyazi
9 likes
hañsi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya ye ik jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya utha to ja bhi chuka tha ajeeb mehmaantha sadaaende ke mujhe neend se jaga bhi gaya ghazab hua jo andhere men jal u thii bijli badan kisi ka tilismaat kuchh dikha bhi gaya hawa thii gahri ghatta thii hina ki KHushboo thii ye ek raat ka qissa lahu rula bhi gaya chalo muneer chalen ab yahaanrahen bhi to kya vo sang-dil to yahaan se kahii chala bhi gaya
Muneer Niyazi
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Muneer Niyazi.
Similar Moods
More moods that pair well with Muneer Niyazi's ghazal.







