ghazalKuch Alfaaz

hajla-e-zat se tanha nikla mera ghham-khvar bhi mujh sa nikla gar ye roka na gaya palkon se rasta kaat ke dariya nikla raat ke baa'd sahar bhi aai apna ik khvab to sachcha nikla kitna zalim nazar aaya tha raqib vo bhi majbur-e-tamanna nikla nukta-chin ya'ni vahi ahl-e-nazar aankh rakhte hue andha nikla be-zari kha gai dil valon ko ghham-e-dil bhi ghham-e-duniya nikla dil ki baat aur hai dekha kis ne jism ka rang to ujla nikla dar-o-divar ta'aqub men chale ghar se main jab bhi akela nikla raushni kar gai mujh ko taqsim jism se kab mira saaya nikla tha bahut shahr men bad-nam 'qatil' yaar vo shakhs to achchha nikla hajla-e-zat se tanha nikla mera gham-khwar bhi mujh sa nikla gar ye roka na gaya palkon se rasta kat ke dariya nikla raat ke ba'd sahar bhi aai apna ek khwab to sachcha nikla kitna zalim nazar aaya tha raqib wo bhi majbur-e-tamanna nikla nukta-chin ya'ni wahi ahl-e-nazar aankh rakhte hue andha nikla be-zari kha gai dil walon ko gham-e-dil bhi gham-e-duniya nikla dil ki baat aur hai dekha kis ne jism ka rang to ujla nikla dar-o-diwar ta'aqub mein chale ghar se main jab bhi akela nikla raushni kar gai mujh ko taqsim jism se kab mera saya nikla tha bahut shahr mein bad-nam 'qatil' yar wo shakhs to achchha nikla

Related Ghazal

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho

Himanshi babra KATIB

76 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

More from Qateel Shifai

apne honton par saj aanaa chahta hooñ aa tujhe main gungun aanaa chahta hooñ koi aañsu tere daaman par giraa kar boond ko moti ban aanaa chahta hooñ thak gaya main karte karte yaad tujh ko ab tujhe main yaad aanaa chahta hooñ chha raha hai saari bastii men andhera raushni ko ghar jalana chahta hooñ aakhri hichki tire zaanoo pe aa.e maut bhi main shaairana chahta hooñ

Qateel Shifai

6 likes

raabta laakh sahi qaafila-salaar ke saath ham ko chalna hai magar vaqt ki raftaar ke saath gham lage rahte hain har aan khushi ke peeche dushmani dhoop ki hai saaya-e-deewar ke saath kis tarah apni mohabbat ki main takmeel karoon gham-e-hasti bhi to shaamil hai gham-e-yaar ke saath lafz chunta hooñ to mafhoom badal jaata hai ik na ik khauf bhi hai jurat-e-izhaar ke saath dushmani mujh se ki.e ja magar apna ban kar jaan le le mirii sayyaad magar pyaar ke saath do ghadi aao mil aayen kisi ghalib se qatil hazrat zauq to waabasta hain darbaar ke saath

Qateel Shifai

2 likes

apne haathon ki lakeeron men saja le mujh ko main hoon teraa tu naseeb apna banaa le mujh ko main jo kaanta hoon to chal mujh se bacha kar daaman main hoongar phool to jude men saja le mujh ko tark-e-ulft ki qasam bhi koi hoti hai qasam tu kabhi yaad to kar bhoolne waale mujh ko mujh se tu poochne aaya hai vafaa ke maani ye tiri saada-dili maar na dale mujh ko main samundar bhi hoon moti bhi hoon ghota-zan bhi koi bhi naam mira le ke bula le mujh ko tu ne dekha nahin aaiine se aage kuchh bhi khud-parasti men kahii tu na ganwa le mujh ko baandh kar sang-e-wafa kar diya tu ne gharqaab kaun aisa hai jo ab dhoondh nikale mujh ko KHud ko main baant na daaloon kahii daaman daaman kar diya tu ne agar mere hawaale mujh ko main khule dar ke kisi ghar ka hoon saamaan pyaare tu dabe-paav kabhi aa ke chura le mujh ko kal ki baat aur hai main ab sa rahoon ya na rahoon jitna jee chahe tira aaj sata le mujh ko vaa'da phir vaa'da hai main zahar bhi pee jaaun qatil shart ye hai koi baanhon men sambhaale mujh ko

Qateel Shifai

6 likes

titliyon ka rang ho ya jhoomte baadal ka rang ham ne har ik rang ko jaana tire aanchal ka rang teri aankhoñ ki chamak hai ya sitaaron ki ziya raat ka hai ghup andhera ya tire kaajal ka rang dhadkano ke taal par vo haal apne dil ka hai jaise gori ke thirakte paanv men paayal ka rang fenkna tum soch kar lafzon ka ye karwa gulaal phail jaata hai kabhi sadiyon pe bhi ik pal ka rang aah ye rangeen mausam KHoon ki barsaat ka chha raha hai aql par jazbaat ki halchal ka rang ab to shabnam ka har ik moti hai kankar ki tarah haan usii gulshan pe chaaya tha kabhi makhmal ka rang phir rahe hain log haathon men li.e khanjar khule kooche kooche men ab aata hai nazar maqtal ka rang chaar jaanib jis ki raa'naai ke charche hain qatil jaane kab dekhenge ham us aane waali kal ka rang

Qateel Shifai

1 likes

pareshaan raat saari hai sitaaro tum to so jaao sukoot-e-marg taari hai sitaaro tum to so jaao hanso aur hansate-hansate doobte jaao khalaon men humeen pe raat bhari hai sitaaro tum to so jaao ha men to aaj ki shab pau fate tak jaagna hogaa yahii qismat hamaari hai sitaaro tum to so jaao tumhein kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya ye baazi ham ne haari hai sitaaro tum to so jaao kahe jaate ho ro ro kar hamaara haal duniya se ye kaisi raazdaari hai sitaaro tum to so jaao ha men bhi neend aa jaayegi ham bhi so hi jaayenge abhii kuchh be-qaraari hai sitaaro tum to so jaao

Qateel Shifai

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Qateel Shifai.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Qateel Shifai's ghazal.