ghazalKuch Alfaaz

ham ne jab koi bhi darvaza khula paaya hai kitni guzri hui baton ka khayal aaya hai qafila dard ka thahrega kahan ham-safaro koi manzil hai na basti na kahin saaya hai ek sahma hua sunsan gali ka nukkad shahr ki bhiid men aksar mujhe yaad aaya hai yuun liye phirta huun tuute hue khvabon ki salib ab yahi jaise miri ziist ka sarmaya hai shahr men ek bhi avara nahin ab ke baras mausam-e-lala-o-gul kaisi khabar laaya hai un ki tuuti hui divar ka saaya 'azar' dhuup men kyuun mire hamrah chala aaya hai hum ne jab koi bhi darwaza khula paya hai kitni guzri hui baaton ka khayal aaya hai qafila dard ka thahrega kahan ham-safaro koi manzil hai na basti na kahin saya hai ek sahma hua sunsan gali ka nukkad shahr ki bhid mein aksar mujhe yaad aaya hai yun liye phirta hun tute hue khwabon ki salib ab yahi jaise meri zist ka sarmaya hai shahr mein ek bhi aawara nahin ab ke baras mausam-e-lala-o-gul kaisi khabar laya hai un ki tuti hui diwar ka saya 'azar' dhup mein kyun mere hamrah chala aaya hai

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kafeel Aazar Amrohvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kafeel Aazar Amrohvi's ghazal.