ghazalKuch Alfaaz

ham par tumhari chaah ka ilzam hi to hai dushnam to nahin hai ye ikram hi to hai dil na-umid to nahin nakam hi to hai lambi hai ghham ki shaam magar shaam hi to hai karte hain jis pe taan koi jurm to nahin shauq-e-fuzul o ulfat-e-nakam hi to hai dil mudda'i ke harf-e-malamat se shaad hai ai jan-e-jan ye harf tira naam hi to hai dast-e-falak men gardish-e-taqdir to nahin dast-e-falak men gardish-e-ayyam hi to hai akhir to ek roz karegi nazar vafa vo yar-e-khush-khisal sar-e-bam hi to hai bhigi hai raat 'faiz' ghhazal ibtida karo vaqt-e-sarod dard ka hangam hi to hai hum par tumhaari chah ka ilzam hi to hai dushnam to nahin hai ye ikram hi to hai dil na-umid to nahin nakaam hi to hai lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai karte hain jis pe tan koi jurm to nahin shauq-e-fuzul o ulfat-e-nakaam hi to hai dil mudda'i ke harf-e-malamat se shad hai ai jaan-e-jaan ye harf tera nam hi to hai dast-e-falak mein gardish-e-taqdir to nahin dast-e-falak mein gardish-e-ayyam hi to hai aakhir to ek roz karegi nazar wafa wo yar-e-khush-khisal sar-e-baam hi to hai bhigi hai raat 'faiz' ghazal ibtida karo waqt-e-sarod dard ka hangam hi to hai

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

More from Faiz Ahmad Faiz

baat bas se nikal chali hai dil ki haalat sambhal chali hai ab junoon had se badh chala hai ab tabi'at bahl chali hai ashk khoonaab ho chale hain gham ki rangat badal chali hai ya yoonhi bujh rahi hain shamaein ya shab-e-hijr tal chali hai laakh paighaam ho ga.e hain jab saba ek pal chali hai jaao ab so raho sitaaro dard ki raat dhal chali hai

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

darbaar men ab satwat-e-shaahi ki alaamat darbaan ka asa hai ki musannif ka qalam hai aawaara hai phir koh-e-nida par jo basharat tamheed-e-masarrat hai ki tool-e-shab-e-gham hai jis dhajji ko galiyon men li.e firte hain tiflaan ye meraa garebaan hai ki lashkar ka alam hai jis noor se hai shahar ki deewaar darkhshan ye khun-e-shaheedaan hai ki zar-khaana-e-jam hai halka ki.e baithe raho ik shama' ko yaaro kuchh raushni baaki to hai har-chand ki kam hai

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

ab ke baras dastoor-e-sitam men kya kya baab izaad hue jo qaateel the maqtool hue jo said the ab sayyaad hue pahle bhi khizaan men baagh ujde par yuñ nahin jaise ab ke baras saare boote patta patta ravish ravish barbaad hue pahle bhi tawaaf-e-sham-e-wafa thii rasm mohabbat waalon ki ham tum se pahle bhi yahaañ mansoor hue farhaad hue ik gul ke murjhaane par kya gulshan men kohraam macha ik chehra kumhala jaane se kitne dil naashaad hue faiz na ham yusuf na koi yaqoob jo ham ko yaad kare apni kya kanaan men rahe ya misr men ja aabaad hue

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

na ab raqeeb na naaseh na gham-gusaar koi tum aashna the to theen aashnaaiyaan kya kya juda the ham to muyassar theen qurbaten kitnii bahm hue to pa dii hain judaaiyaan kya kya pahunch ke dar pe tire kitne mo'tabar thehre agarche rah men hui jag-hansaaiyaan kya kya ham aise saada-dilon ki niyaaz-man dii se buton ne ki hain jahaan men khudaiyaan kya kya sitam pe KHush kabhi lutf-o-karam se ranjeeda sikhaaiin tum ne ha men kaj-adaaiyaan kya kya

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jaate hain vo saaya-e-tar to dekho aise naadaan bhi na the jaañ se guzarne waale naaseho pand-garo raahguzar to dekho vo to vo hai tumhein ho jaayegi ulfat mujh se ik nazar tum mira mahboob-e-nazar to dekho vo jo ab chaak garebaan bhi nahin karte hain dekhne waalo kabhi un ka jigar to dekho daaman-e-dard ko gulzaar banaa rakha hai aao ik din dil-e-pur-khoon ka hunar to dekho subh ki tarah jhamkata hai shab-e-gham ka ufuq faiz taabindagi-e-deeda-e-tar to dekho

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.