har ek ghar men diya bhi jale anaaj bhi ho agar na ho kahii aisa to ehtijaaj bhi ho rahegi va'don men kab tak aseer khush-haali har ek baar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaaba to aur kya karte tumhaare shahar men kuchh aur kaam-kaaj bhi ho hukoomaton ko badalna to kuchh muhaal nahin hukoomatein jo badalta hai vo samaaj bhi ho badal rahe hain kaii aadmi darindon men marz puraana hai is ka naya ilaaj bhi ho akelaa gham se nayi shaayri nahin hoti zabaan-e-'meer men ghalib ka imtizaaj bhi ho
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa
Zubair Ali Tabish
102 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
maheenon baad daftar aa rahe hain ham ek sad men se baahar aa rahe hain teri baahon se dil ukta gaya hain ab is jhoole men chakkar aa rahe hain kahaan soya hai chaukidaar meraa ye kaise log andar aa rahe hain samandar kar chuka tasleem hamko khajaane KHud hi u uupar aa rahe hain yahii ek din bacha tha dekhne ko use bas men bitha kar aa rahe hain
Tehzeeb Hafi
116 likes
More from Nida Fazli
din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi
Nida Fazli
0 likes
girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya
Nida Fazli
1 likes
har ek ghar men diya bhi jale anaaj bhi ho agar na ho kahii aisa to ehtijaaj bhi ho rahegi va'don men kab tak aseer khush-haali har ek baar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaaba to aur kya karte tumhaare shahar men kuchh aur kaam-kaaj bhi ho hukoomaton ko badalna to kuchh muhaal nahin hukoomatein jo badalta hai vo samaaj bhi ho badal rahe hain kaii aadmi darindon men marz puraana hai is ka naya ilaaj bhi ho akelaa gham se nayi shaayri nahin hoti zabaan-e-'meer men ghalib ka imtizaaj bhi ho
Nida Fazli
0 likes
kisi se KHush hai kisi se KHafaa KHafaa sa hai vo shahar men abhii shaayad naya naya sa hai na jaane kitne badan vo pahan ke leta hai bahut qareeb hai phir bhi chhupa chhupa sa hai sulagta shahar nadi KHoon kab ki baatein hain kahii kahii se ye qissa suna suna sa hai saroon ke seeng to jungle ki den hote hain vo aadmi to hai lekin dara dara sa hai kuchh aur dhoop to ho os sookh jaane tak vo ped ab ke baras bhi haraa haraa sa hai
Nida Fazli
8 likes
thehre jo kahii aankh tamasha nazar aa.e suraj men dhuaan chaand men sehra nazar aa.e raftaar se taabinda umeedon ke jharoke thehroon to har ik samt andhera nazar aa.e saancho men dhale qahqahe sochi hui baatein har shaKHs ke kaandhon pe janaaza nazar aa.e har raahguzar raasta bhoola hua baalak har haath men miTTi ka khilauna nazar aa.e khoi hain abhii main ke dhundlakon men nigaahen hat jaa.e ye deewaar to duniya nazar aa.e jis se bhi milen jhuk ke milen hañs ke hon ruksat akhlaaq bhi is shahar men pesha nazar aa.e
Nida Fazli
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nida Fazli.
Similar Moods
More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.







