ghazalKuch Alfaaz

har ek ghar men diya bhi jale anaaj bhi ho agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho rahegi vaadon men kab tak asiir khush-hali har ek baar hi kal kyuun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaba to aur kya karte tumhare shahr men kuchh aur kam-kaj bhi ho hukumaton ko badalna to kuchh muhal nahin hukumaten jo badalta hai vo samaj bhi ho badal rahe hain kai aadmi darindon men maraz purana hai is ka naya ilaaj bhi ho akele ghham se nai shairi nahin hoti zaban-e-'mir' men 'ghhalib' ka imtizaj bhi ho har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho rahegi wadon mein kab tak asir khush-haali har ek bar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaba to aur kya karte tumhaare shahr mein kuchh aur kaam-kaj bhi ho hukumaton ko badalna to kuchh muhaal nahin hukumaten jo badalta hai wo samaj bhi ho badal rahe hain kai aadmi darindon mein maraz purana hai is ka naya ilaj bhi ho akele gham se nai shairi nahin hoti zaban-e-'mir' mein 'ghaalib' ka imtizaj bhi ho

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Nida Fazli

chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain

Nida Fazli

0 likes

har ik rastaa andheron men ghira hai mohabbat ik zaroori haadisa hai garjati aandhiyaan zaaeaa hui hain zameen pe toot ke aañsu giraa hai nikal aa.e kidhar manzil ki dhun men yahaañ to raasta hi raasta hai dua ke haath patthar ho ga.e hain KHuda har zehan men toota pada hai tumhaara tajurba shaayad alag ho mujhe to ilm ne bhatka diya hai

Nida Fazli

2 likes

kuchh dinon to shahar saara ajnabi sa ho gaya phir hua yuñ vo kisi ki main kisi ka ho gaya ishq kar ke dekhiye apna to ye hai tajurba ghar mohalla shahar sab pahle se achha ho gaya qabr men haq-goi baahar manqabat qawwaliyaan aadmi ka aadmi hona tamasha ho gaya vo hi moorat vo hi soorat vo hi qudrat ki tarahus ko jis ne jaisa socha vo bhi waisa ho gaya

Nida Fazli

3 likes

insaan men haiwaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi allah nigahbaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi khoon-khwaar darindon ke faqat naam alag hain har shahar bayaabaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi hindu bhi sukoon se hai musalmaan bhi sukoon se insaan pareshaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi rehmaan ki rahmat ho ki bhagwaan ki moorat har khel ka maidaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi uthata hai dil-o-jaan se dhuaan dono taraf hi ye meer ka deevaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi

Nida Fazli

1 likes

uth ke kapde badal ghar se baahar nikal jo hua so hua raat ke baa'd din aaj ke baa'd kal jo hua so hua jab talak saans hai bhook hai pyaas hai ye hi itihaas hai rakh ke kaandhe pe hal khet ki or chal jo hua so hua KHoon se tar-b-tar kar ke har raahguzaar thak chuke jaanwar lakdiyon ki tarah phir se choolhe men jal jo hua so hua jo mara kyun mara jo luta kyun luta jo jala kyun jala muddaton se hain gham in sawaalon ke hal jo hua so hua mandiron men bhajan masjidoon men azaan aadmi hai kahaan aadmi ke li.e ek taaza ghazal jo hua so hua

Nida Fazli

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.