har ek shakl men surat nai malal ki hai hamare charon taraf raushni malal ki hai ham apne hijr men tera visal dekhte hain yahi khushi ki hai saat, yahi malal ki hai hamare khana-e-dil men nahin hai kya kya kuchh ye aur baat ki har shai isi malal ki hai abhi se shauq ki azurdagi ka ranj na kar ki dil ko taab khushi ki na thi malal ki hai kisi ka ranj ho, apna samajhne lagte hain vabal-e-jan ye kushada-dili malal ki hai nahin hai khvahish-e-asudgi-e-vasl hamen javaz-e-ishq to bas tishnagi malal ki hai guzishta raat kai baar dil ne ham se kaha ki ho na ho ye ghutan akhiri malal ki hai ragon men chikhta phirta hai ek sail-e-junun agarche lahje men shaistagi malal ki hai ajiib hota hai ehsas ka talavvun bhi abhi khushi ki khushi thii, abhi malal ki hai ye kis umiid pe chalne lagi hai bad-e-murad? khabar nahin hai use, ye ghadi malal ki hai dua karo ki rahe darmiyan ye be-sukhani ki guftugu men to be-pardagi malal ki hai tiri ghhazal men ajab kaif hai magar 'irfan' darun-e-ramz-o-kinaya kami malal ki hai har ek shakl mein surat nai malal ki hai hamare chaaron taraf raushni malal ki hai hum apne hijr mein tera visal dekhte hain yahi khushi ki hai saat, yahi malal ki hai hamare khana-e-dil mein nahin hai kya kya kuchh ye aur baat ki har shai isi malal ki hai abhi se shauq ki aazurdagi ka ranj na kar ki dil ko tab khushi ki na thi malal ki hai kisi ka ranj ho, apna samajhne lagte hain wabaal-e-jaan ye kushada-dili malal ki hai nahin hai khwahish-e-asudgi-e-wasl hamein jawaz-e-ishq to bas tishnagi malal ki hai guzishta raat kai bar dil ne hum se kaha ki ho na ho ye ghutan aakhiri malal ki hai ragon mein chikhta phirta hai ek sail-e-junun agarche lahje mein shaistagi malal ki hai ajib hota hai ehsas ka talawwun bhi abhi khushi ki khushi thi, abhi malal ki hai ye kis umid pe chalne lagi hai baad-e-murad? khabar nahin hai use, ye ghadi malal ki hai dua karo ki rahe darmiyan ye be-sukhani ki guftugu mein to be-pardagi malal ki hai teri ghazal mein ajab kaif hai magar 'irfan' darun-e-ramz-o-kinaya kami malal ki hai
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Irfan Sattar
koi mila to kisi aur ki kamii hui hai so dil ne be-talbi ikhtiyaar ki hui hai jahaan se dil ki taraf zindagi utarti thii nigaah ab bhi usii baam par jamee hui hai hai intizaar use bhi tumhaari khush-boo ka hawa gali men bahut der se ruki hui hai tum aa ga.e ho to ab aaina bhi dekhenge abhii abhii to nigaahon men raushni hui hai hamaara ilm to marhoon-e-lauh-e-dil hai miyaan kitaab-e-aql to bas taq par dhari hui hai banaao saa.e hararat badan men jazb karo ki dhoop sehan men kab se yoonhi padi hui hai nahin nahin main bahut KHush raha hooñ tere baghair yaqeen kar ki ye haalat abhii abhii hui hai vo guftugoo jo mirii sirf apne-aap se thii tiri nigaah ko pahunchee to shaayri hui hai
Irfan Sattar
4 likes
Mujhe kya khabar thi mujhe doosron ne bataaya main kaisa hoon kya aadmi hoon
Irfan Sattar
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Irfan Sattar.
Similar Moods
More moods that pair well with Irfan Sattar's ghazal.







