har kadam par jo itnaa rote ho kis tamannaa ka bojh dhote ho har kisi se gurez kya matlab aaj kal kis hawa men hote ho iska matlab hai dekh li duniya baat karne se pahle rote ho chaand par ja basoge kya tum sab nafratein is qadar jo bote ho ye khudaai sift bhi hai tum men door rah kar qareeb hote ho tum aziyat pasand ho khalid apne ashqon se zaKHm dhote hi
Related Ghazal
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
More from Khalid Nadeem Shani
zindagaani se jhooth bolte ho bitiya raani se jhooth bolte ho tum tarakki karoge tezi se tum ravaani se jhooth bolte ho padhte rahte ho john ko phir bhi yaar jaani se jhooth bolte ho saari duniya ka dukh nahin mujh...ko tum bhi shaani se jhooth bolte ho
Khalid Nadeem Shani
14 likes
dayaar e khwaab tha tum the tamaam duniya thii kisi ne aa ke jagaaya to main akela tha koi husaini na niklaa mere rafeeko men diya bujha ke jalaya to main akela tha tumhaara haath nahin tha vo mauj e giryaa thii meri samajh men jab aaya to main akela tha dayaar e gair gaya tha main khushiyaan laane ko palat ke gaav jab aaya to main akela tha kahaan se aayi hai aakhir teri talab mujh men mujhe KHuda ne banaya to main akela tha
Khalid Nadeem Shani
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Khalid Nadeem Shani.
Similar Moods
More moods that pair well with Khalid Nadeem Shani's ghazal.







