ghazalKuch Alfaaz

hazaaron khwaahishein aisi ki har KHvaahish pe dam nikle bahut nikle mire armaan lekin phir bhi kam nikle dare kyun meraa qaateel kya rahega us ki gardan par vo khun jo chashm-e-tar se umr bhar yuñ dam-b-dam nikle nikalna khuld se aadam ka sunte aa.e hain lekin bahut be-aabroo ho kar tire kooche se ham nikle bharam khul jaa.e zalim tere qamat ki daraazi ka agar is turra-e-pur-pech-o-kham ka pech-o-kham nikle magar likhw aa.e koi us ko khat to ham se likhw aa.e hui subh aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle hui is daur men mansoob mujh se baada-aashaami phir aaya vo zamaana jo jahaan men jaam-e-jam nikle hui jin se tavakko khastagi ki daad paane ki vo ham se bhi ziyaada khasta-e-teg-e-sitam nikle mohabbat men nahin hai farq jeene aur marne ka usii ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dam nikle kahaan may-khaane ka darwaaza ghalib aur kahaan wa'iz par itnaa jaante hain kal vo jaata tha ki ham nikle

Mirza Ghalib26 Likes

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

aap jaison ke li.e is men rakha kuchh bhi nahin lekin aisa to na kahiye ki vafaa kuchh bhi nahin aap kahiye to nibhaate chale jaayenge magar is ta'alluq men aziyyat ke siva kuchh bhi nahin main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar saka ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin kaise jaana hai kahaan jaana hai kyun jaana hai ham ki chalte chale jaate hain pata kuchh bhi nahin haaye is shahar ki raunaq ke main sadqe jaaun aisi bharpoor hai jaise ki hua kuchh bhi nahin phir koi taaza sukhun dil men jagah karta hai jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhoon maan leta hooñ ki us shaKHs men tha kuchh bhi nahin main ne duniya se alag rah ke bhi dekha javvaad aisi munh-zor udaasi ki davaa kuchh bhi nahin

Jawwad Sheikh

50 likes

More from Mirza Ghalib

dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya

Mirza Ghalib

0 likes

gham nahin hota hai azaadon ko besh az-yak-nafs barq se karte hain raushan sham-e-maatam-khaana ham mahfilein barham kare hai ganjinfaa-baaz-e-khyaal hain warq-gardaani-e-nairang-e-yak-but-khaana ham baavjood-e-yak-jahaan hangaama paidaai nahin hain charaaghaan-e-shabistaan-e-dil-e-parwaana ham zof se hai ne qanaat se ye tark-e-justujoo hain wabaal-e-takiya-gaah-e-himmat-e-mardaana ham daaim-ul-habs is men hain laakhon tamannaayein asad jaante hain seena-e-pur-khun ko zindaan-khaana ham bas-ki hain bad-mast-e-b-shikan b-shikan-e-may-khaana ham moo-e-sheesha ko samjhte hain khat-e-paimaana ham bas-ki har-yak-moo-e-zulf-afshaan se hai taar-e-shua panja-e-khurshid ko samjhe hain dast-e-shaana ham mashq-e-az-khud-raftagi se hain b-gulzaar-e-khyaal aashna taabeer-e-khwab-e-sabzaa-e-begaana ham fart-e-be-khwabi se hain shab-haa-e-hijr-e-yaar men jun zabaan-e-sham'a daag-e-garmi-e-afsaana ham shaam-e-gham men soz-e-ishq-e-aatish-e-rukhsaar se pur-fashaan-e-sokhtan hain soorat-e-parwaana ham hasrat-e-arz-e-tamannaa yaa se samjha chahiye do-jahaan hashr-e-zabaan-e-khushk hain jun shaana ham kashti-e-aalam b-toofaan-e-taghaaful de ki hain aalam-e-aab-e-gudaaz-e-jauhar-e-afsaana ham vehshat-e-be-rabti-e-pech-o-kham-e-hasti na pooch nang-e-baalidan hain jun moo-e-sar-e-deewaana ham

Mirza Ghalib

0 likes

raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki

Mirza Ghalib

0 likes

dil laga kar lag gaya un ko bhi tanhaa baithna baare apni bekasi ki ham ne paai daad yaa hain zavaal-aamada ajzaa aafreenash ke tamaam mehr-e-gardoon hai charaagh-e-rahguzar-e-baad yaa hai tarhuhum-aafreen aaraish-e-be-daad yaa ashk-e-chashm-e-daam hai har daana-e-sayyaad yaa hai gudaaz-e-mom andaaz-e-chakeedan-ha-e-khoon neesh-e-zamboor-e-asl hai nashtar-e-fassaad yaa naa-gawaara hai ha men ehsaan-e-saahib-daulataan hai zar-e-gul bhi nazar men jauhar-e-faulaad yaa jumbish-e-dil se hue hain uqda-ha-e-kaar vaa kam-tareen mazdoor-e-sangeen-dast hai farhaad yaa qatra-ha-e-khoon-e-bismil zeb-e-daamaan hain asad hai tamasha kardani gul-cheeni-e-jallaad yaa

Mirza Ghalib

1 likes

hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamaasha ho ki chashm-e-tang shaayad kasrat-e-nazzaara se vaa ho ba-qadr-e-hasrat-e-dil chahiye zauq-e-maasi bhi bharoon yak-gosha-e-daaman gar aab-e-haft-dariya ho agar vo sarv-qad garm-e-khiraam-e-naaz aa jaave kaf-e-har-khaak-e-gulshan shakl-e-qumri naala-farsa ho bahm baalidan-e-sang-o-gul-e-sehra ye chahe hai ki taar-e-jaada bhi kohsaar ko zunnaar-e-meena ho hareef-e-vahshat-e-naaz-e-naseem-e-ishq jab aaun ki misl-e-ghuncha saaz-e-yak-gulistaan dil muhayya ho bajaae daana khirman yak-bayaabaan baiza-e-qumri mira haasil vo nuskha hai ki jis se KHaak paida ho kare kya saaz-e-beenish vo shaheed-e-dard-aagaahi jise moo-e-dimaag-e-be-khu dii khwaab-e-zulekha ho dil-e-joo'n-sham'a behr-e-daawat-e-nazzaara laa yaanii nigah labreiz-e-ashk o seena maamoor-e-tamanna ho na dekhen roo-e-yak-dil sard ghair-az sham-e-kaafoori khudaaya is qadar bazm-e-'asad garm-e-tamaasha ho

Mirza Ghalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.