ghazalKuch Alfaaz

hijr ki raah kisi ke liye asan nahin man' karta huun to ho jaaya karo jaan nahin ab main chup-chap yahi dekh raha hota huun kaun is bazm men kis baat pe hairan nahin us ko chhoda hai bahut soch samajh kar main ne so pareshan to rahta huun pasheman nahin shayad achchha hi kiya an-suni kar ke us ne baat saada to bahut thi magar asan nahin kaam to aur bhi karne ko bahut hain lekin she'r-goi ke 'alava mire shayan nahin akhiri din hain mahine ke tujhe kya ma'lum tu samajhta hai ki ik teri taraf dhyan nahin ham yahan aur hi kuchh soch ke aae the magar is kharabe men zarurat ka bhi saman nahin shai to achchhi hai miyana-ravi lekin 'javvad' us men kya naf' hai jis men koi nuqsan nahin hijr ki rah kisi ke liye aasan nahin man' karta hun to ho jaya karo jaan nahin ab main chup-chap yahi dekh raha hota hun kaun is bazm mein kis baat pe hairan nahin us ko chhoda hai bahut soch samajh kar main ne so pareshan to rahta hun pasheman nahin shayad achchha hi kiya an-suni kar ke us ne baat sada to bahut thi magar aasan nahin kaam to aur bhi karne ko bahut hain lekin she'r-goi ke 'alawa mere shayan nahin aakhiri din hain mahine ke tujhe kya ma'lum tu samajhta hai ki ek teri taraf dhyan nahin hum yahan aur hi kuchh soch ke aae the magar is kharabe mein zarurat ka bhi saman nahin shai to achchhi hai miyana-rawi lekin 'jawwad' us mein kya naf' hai jis mein koi nuqsan nahin

Related Ghazal

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho

Fazil Jamili

73 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jawad Sheikh.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jawad Sheikh's ghazal.