ghazalKuch Alfaaz

hukm-e-murshid pe hi jee uthna hai mar jaana hai ishq jis samt bhi le jaa.e udhar jaana hai ladkhadaata hooñ to vo ro ke lipt jaata hai maine girna hai to us shaKHs ne mar jaana hai uski chaanv men bhi thak kar nahin baitha jaata tune jis ped ko faldar shajar jaana hai khushk mashkiza li.e khaali palatna hai use aur daryaon ka sheeraza bikhar jaana hai

Related Ghazal

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii

Zubair Ali Tabish

80 likes

mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari

Ali Zaryoun

70 likes

agar tu be-vafa hai dhyaan rakhna mujhe sab kuchh pata hai dhyaan rakhna bichhadte waqt hamne kah diya tha hamaara dil dukha hai dhyaan rakhna KHuda jiski mohabbat men banii ho vo kaiyon ka KHuda hai dhyaan rakhna jise tum dost keval jaanti ho vo tumko chahta hai dhyaan rakhna

Anand Raj Singh

54 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rakib Mukhtar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rakib Mukhtar's ghazal.