ye rizq-e-ashk faraham bahm kiya jaa.e hamaari aankh pe rahm-o-karam kiya jaa.e mureedani ke dupatte ki samt lapka tha janaab-e-peer. ka baazu qalam kiya jaa.e vo itnaa dheer haseen tha ki ham pe waajib hai tamaam umr bichhadne ka gham kiya jaa.e zameen ko arsh-e-mu'alla talak risaai mile falak ko kheench ke miTTi men zam kiya jaa.e
Related Ghazal
aqal ne achchhe achhon ko behkaaya tha shukr hai ham par kuchh vehshat ka saaya tha tum ne apni gardan unchi hi rakkhi varna main to maala lekar aaya tha main ab tak uske hi rang men rangaa hooñ jisne sabse pahle rang lagaaya tha meri raay sabse pahle li jaaye maine sabse pahle dhokha khaaya tha sabko ilm hai phool aur khushboo dono men sabse pahle kisne haath chhudaaya tha ik ladki ne phir mujh...ko behkaaya hai ik ladki ne achchhe se samjhaaya tha
Zubair Ali Tabish
48 likes
manzil pe na pahunchen use rastaa nahin kahte do chaar qadam chalne ko chalna nahin kahte ik ham hain ki ghairon ko bhi kah dete hain apna ik tum ho ki apnon ko bhi apna nahin kahte kam-himmati khatra hai samundar ke safar men toofaan ko ham dosto khatra nahin kahte ban jaa.e agar baat to sab kahte hain kya kya aur baat bigad jaa.e to kya kya nahin kahte
Nawaz Deobandi
33 likes
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
sach bataayen to sharm aati hai aur chhupaayein to sharm aati hai ham pe ehsaan hain udaasi ke muskuraayein to sharm aati hai haar ki aisi aadaten hain ha men jeet jaayen to sharm aati hai uske aage hi uskaa bakhsha hua sar uthaaye to sharm aati hai aish aukaat se zyaada ki ab kamaayein to sharm aati hai dhamkiyaan khudkushi ki dete hain kar na paa.e to sharm aati hai
Varun Anand
36 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rakib Mukhtar.
Similar Moods
More moods that pair well with Rakib Mukhtar's ghazal.







