manzil pe na pahunchen use rastaa nahin kahte do chaar qadam chalne ko chalna nahin kahte ik ham hain ki ghairon ko bhi kah dete hain apna ik tum ho ki apnon ko bhi apna nahin kahte kam-himmati khatra hai samundar ke safar men toofaan ko ham dosto khatra nahin kahte ban jaa.e agar baat to sab kahte hain kya kya aur baat bigad jaa.e to kya kya nahin kahte
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii
Zubair Ali Tabish
80 likes
More from Nawaz Deobandi
leke maazi ko jo haal aaya to dil kaanp gaya jab kabhi unka khayal aaya to dil kaanp gaya aisa toda tha muhabbat men kisi ne dil ko jab kisi sheeshe men baal aaya to dil kaanp gaya sar bulan dii pe to maghroor the ham bhi lekin chadhte suraj pe zawaal aaya to dil kaanp gaya badnazar uthne hi waali thii kisi ki jaanib apne beti ka khayal aaya to dil kaanp gaya
Nawaz Deobandi
7 likes
KHud ko kitna chhota karna padta hai bete se samjhauta karna padta hai jab aulaaden naalaayaq ho jaati hain apne u uupar ghussa karna padta hai sachchaai ko apnaana aasaan nahin duniya bhar se jhagda karna padta hai jab saare ke saare hi beparda hon aise men KHud parda karna padta hai pyaason ki bastii men shole bharka kar phir paani ko mehnga karna padta hai hañs kar apne chahre ki har silvat par sheeshe ko sharminda karna padta hai
Nawaz Deobandi
2 likes
vahaañ kaise koii diya jale jahaan door tak ye hawa na ho unhen haal-e-dil na sunaaiye jinhen dard-e-dil ka pata na ho hon ajab tarah kii shikaayaten hon ajab tarah kii inaayaten tujhe mujh se shikwe hazaar hon mujhe tujh se koii gilaa na ho koii aisa she'r bhi de KHuda jo tiri ata ho tiri ata kabhi jaisa main ne kaha na ho kabhi jaisa main ne suna na ho na diye ka hai na hawa ka hai yahaañ jo bhi kuchh hai KHuda ka hai yahaañ aisa koii diya nahin jo jala ho aur vo bujha na ho main mareez-e-ishq hooñ chaaragar tu hai dard-e-ishq se be-KHabar ye tadap hi us ka ilaaj hai ye tadap na ho to shifa na ho
Nawaz Deobandi
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nawaz Deobandi.
Similar Moods
More moods that pair well with Nawaz Deobandi's ghazal.







