ham ko mushkil men rahne de chaaragar aasaani se mar jaaenge samjha kar awwal awwal ham bhi tere jaise the ham bhi KHush hote the dekh ke KHush manzar naql-makaani shauq nahin majboori thii main ghar se na chaltaa kaise chaltaa ghar un ko bas tanqeed hi karne hoti hai un ko kya maaloom ghazal ke pas manzar
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
More from Vashu Pandey
haalaat is kadar na the dushwaar theek the charagari se qabl ye beemaar theek the bekar ho ga.e hue hain jab se kaargar isse to meri jaan ham bekar theek the us paar lag raha tha ki is paar mauj hai is paar sochte hain ki us paar theek the the yuñ bhi apne chaahne waale bahut ki ham insaan to jaise bhi the fankaar theek the
Vashu Pandey
5 likes
vo dar bane ya raah ki deewaar KHush rahe main bas ye chahta hooñ meraa yaar KHush rahe aisa koi nahin ki jise koi gham nahin aisa koi nahin jo lagaataar KHush rahe mehmaan rah gaya hai ye bas chand roz ka koshish ye keejiega ki beemaar KHush rahe
Vashu Pandey
9 likes
bade buzdil hain lekin phir bhi himmat kar rahe hain ham tumhaare shahar men rah kar mohabbat kar rahe hain ham abhii tak theek se aayi nahin hai dhun mohabbat ki guzishta saath janmon se riyaazat kar rahe hain ham tumhein kaisa lagega gar kisi pinjare men rakh kar ke koi tumse kahe teri hifazat kar rahe hain ham wagarana jis..ko chhodaa hai use mudkar nahin dekha ghaneemat jaan ke tujhse shikaayat kar rahe hain ham mere rone se khaahif hain magar kya isse waqif hain ki ye maatam bhala kis ki badaulat kar rahe hain ham
Vashu Pandey
5 likes
umr bhar yuñ hi jalte rahe raushni bhi nahin kar sake gaav karna tha raushan ha men ik gali bhi nahin kar sake ham ko itnaa daraaya gaya mere maula tere naam se tere bande kabhi theek se bandagi bhi nahin kar sake bekhu dii men uthe the qadam aa phnse aise raaste pe ham manzilen bhi nahin mil saki waapsi bhi nahin kar sake chhote ghar ke bade the so ham zimmedaari nibhaate rahe aashiqi to ba dii baat thii khudkushi bhi nahin kar sake kaam do hi the karne ha men aashiqi ya to phir shayari aashiqi bhi nahin kar sake shayari bhi nahin kar sake
Vashu Pandey
6 likes
yuñ bhi katne laga hooñ ab main ghair-munaasib yaaron se baarish vafaa nahin kar sakti miTTi ki deewaron se dukhe hue logon ki dukhti rag ko choona theek nahin vaqt nahin poocha karte hain yaaron vaqt ke maaron se aashiq hain to 'aashiq waale jalwe bhi dikhlaayen aap kapde faadein khaaq udaayein sar maarein deewaron se aur chaman gar apna hai to iska sabkuchh apna hai beshak phool pe phool lutaaein khaar na khaayein khaaron se
Vashu Pandey
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Vashu Pandey.
Similar Moods
More moods that pair well with Vashu Pandey's ghazal.







