ghazalKuch Alfaaz

umr bhar yuñ hi jalte rahe raushni bhi nahin kar sake gaav karna tha raushan ha men ik gali bhi nahin kar sake ham ko itnaa daraaya gaya mere maula tere naam se tere bande kabhi theek se bandagi bhi nahin kar sake bekhu dii men uthe the qadam aa phnse aise raaste pe ham manzilen bhi nahin mil saki waapsi bhi nahin kar sake chhote ghar ke bade the so ham zimmedaari nibhaate rahe aashiqi to ba dii baat thii khudkushi bhi nahin kar sake kaam do hi the karne ha men aashiqi ya to phir shayari aashiqi bhi nahin kar sake shayari bhi nahin kar sake

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

More from Vashu Pandey

yuñ bhi katne laga hooñ ab main ghair-munaasib yaaron se baarish vafaa nahin kar sakti miTTi ki deewaron se dukhe hue logon ki dukhti rag ko choona theek nahin vaqt nahin poocha karte hain yaaron vaqt ke maaron se aashiq hain to 'aashiq waale jalwe bhi dikhlaayen aap kapde faadein khaaq udaayein sar maarein deewaron se aur chaman gar apna hai to iska sabkuchh apna hai beshak phool pe phool lutaaein khaar na khaayein khaaron se

Vashu Pandey

5 likes

haalaat is kadar na the dushwaar theek the charagari se qabl ye beemaar theek the bekar ho ga.e hue hain jab se kaargar isse to meri jaan ham bekar theek the us paar lag raha tha ki is paar mauj hai is paar sochte hain ki us paar theek the the yuñ bhi apne chaahne waale bahut ki ham insaan to jaise bhi the fankaar theek the

Vashu Pandey

5 likes

ham ko mushkil men rahne de chaaragar aasaani se mar jaaenge samjha kar awwal awwal ham bhi tere jaise the ham bhi KHush hote the dekh ke KHush manzar naql-makaani shauq nahin majboori thii main ghar se na chaltaa kaise chaltaa ghar un ko bas tanqeed hi karne hoti hai un ko kya maaloom ghazal ke pas manzar

Vashu Pandey

4 likes

raat-raat bhar jagane waale teri khairaasmaan ko takne waale teri KHair uski sab tasveerein ghar se baahar fenk KHud deewaar se lagne waale teri KHair vaqt hamesha ek sa thodii rehta hai mere u uupar hansne waale teri KHair vo khat men aayaat likha karti thii aur likhti thii ki padhne waale teri KHair

Vashu Pandey

7 likes

har manzar par jashn manaane naachne gaane waale log ik muddat se chup baithe hain shor machaane waale log ham dono ko samjhaaenge dontenge fatakaarenge ham dono ko kab samjhenge ye samjhaane waale log ishq qais farhaad romiyo jaise hi kar sakte hain ham to thehre das se chh tak office jaane waale log kuchh cheezein ka is duniya men koi nemul badal nahin hai kaise chaand se kaam chalaaenge tujh ko dekhne waale log

Vashu Pandey

11 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Vashu Pandey.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Vashu Pandey's ghazal.