ham to samjhe the mohabbat ki ladai sahab aap talwaar utha laaye hain bhaai sahab dhoop taalaab ka huliya to badal sakti hai itni aasaani se chhutti nahin kaai sahab KHaak ko KHaak pe dharne ka mazaa apna hai hijr men kaun bichaata hai chataai sahab phir bhi aawaargi zaaeaa nahin jaane waali koi bhi cheez agar haath na aayi sahab
Related Ghazal
teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya
Tehzeeb Hafi
203 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare
Kumar Vishwas
56 likes
kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin maaloom haath utha li.e sabne aur dua nahin maaloom mausamon ke chehron se zardiyaan nahin jaati phool kyun nahin lagte khush-numa nahin maaloom rahbaro'n ke tevar bhi rahzano se lagte hain kab kahaan pe loot jaa.e qaafila nahin maaloom sarv to gaii rut men qaamaten ganwa baithe qumariyaan hui kaise be-sada nahin maaloom aaj sabko daava hai apni apni chaahat ka kaun kis se hota hai kal juda nahin maaloom manzaron kii tabdeeli bas nazar men rahtii hai ham bhi hote jaate hain kya se kya nahin maaloom ham faraaz sheron se dil ke zaKHm bharte hain kya karen maseeha ko jab davaa nahin maaloom
Ahmad Faraz
46 likes
aap jaison ke li.e is men rakha kuchh bhi nahin lekin aisa to na kahiye ki vafaa kuchh bhi nahin aap kahiye to nibhaate chale jaayenge magar is ta'alluq men aziyyat ke siva kuchh bhi nahin main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar saka ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin kaise jaana hai kahaan jaana hai kyun jaana hai ham ki chalte chale jaate hain pata kuchh bhi nahin haaye is shahar ki raunaq ke main sadqe jaaun aisi bharpoor hai jaise ki hua kuchh bhi nahin phir koi taaza sukhun dil men jagah karta hai jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhoon maan leta hooñ ki us shaKHs men tha kuchh bhi nahin main ne duniya se alag rah ke bhi dekha javvaad aisi munh-zor udaasi ki davaa kuchh bhi nahin
Jawwad Sheikh
50 likes
More from Khurram Afaq
ha men bhi kaam bahut hai khazaane se us ke zaraa ye log to utthen sirhaane se us ke yahii na ho ki tavajjoh hata le vo apni ziyaada der na bachna nishaane se us ke vo mujh se taaza mohabbat pe raazi hai lekin usool ab bhi vahii hain purane se us ke vo teer itni riaayat kabhi nahin deta ye zakham lagta nahin hai gharaane se us ke vo chadh raha tha judaai ki seedhiyaan khurram sarak raha tha mira haath shaane se us ke
Khurram Afaq
3 likes
toofaan ki ummeed thii aandhi nahin aayi vo aap to kya us ki khabar bhi nahin aayi kuchh aankhoñ men to ho gaya aabaad vo chehra kuchh bastiyon men aaj bhi bijli nahin aayi har roz palat aate the mehmaan kisi ke har roz ye kahte the ki gaa dii nahin aayi vo aag bujhi to ha men mausam ne jhinjhoda warna yahii lagta tha ki sar dii nahin aayi shaayad vo mohabbat ke li.e theek nahin tha shaayad ye angoo thii use poori nahin aayi
Khurram Afaq
9 likes
jab ham mut thii kholenge nayi kahaanii kholenge zakham ki izzat karte hain der se patti kholenge chehra padhne waale chor gathri thodii kholenge dil ka vaham nikaalenge gale ki dori kholenge vo KHud thodii aayega naukar kundi kholenge zor se gaanth lagaaee thii daant se rassi kholenge
Khurram Afaq
4 likes
baat karte hue be-khayaali men zulfen khulii chhod dii ham nihttho pe usne ye kaisi balaaen khulii chhod dii saath jab tak rahe ek lamhe ko bhi rabt toota nahin usne aañkhen agar band kar li.e to baanhe khule chhod dii kya anokha yaqeen tha jo us din utaara gaya shahar par ghar palatte hue taajiro ne dukanein khulii chhod dii mere qaabu men ho kar bhi vo itnaa sarkash hai to sochie kya banega agar maine uski lagaamen khulii chhod dii jisne aate hue meri tarteeb par itne jumle kase usne jaate hue mere dil ki daraazen khule chhod dii
Khurram Afaq
8 likes
badi mushkil se neeche baithe hain jo tere saath uthte baithe hain akelaa baithna hogaa kisi ko agar ham tum ikatthe baithe hain aur ab uthna pada na agli saf se kaha bhi tha ki peeche baithe hain yahiin par silsila mauqoof kar do ziyaada tajarbe le baithe hain nigaahen kyun na thehre us pe aafaq shajar par hi parinde baithe hain
Khurram Afaq
9 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Khurram Afaq.
Similar Moods
More moods that pair well with Khurram Afaq's ghazal.







