ghazalKuch Alfaaz

ham unhen vo ha men bhula baithe do gunahgaar zahar kha baithe haal-e-gham kah ke gham badha baithe teer maare the teer kha baithe aandhiyo jaao ab karo aaraam ham KHud apna diya bujha baithe jee to halka hua magar yaaro ro ke ham lutuf-e-gham ganwa baithe be-sahaaron ka hausla hi kya ghar men ghabraaye dar pe aa baithe jab se bichhde vo muskuraaye na ham sab ne chheda to lab hila baithe ham rahe mubtala-e-dair-o-haram vo dabey paanv dil men aa baithe uth ke ik be-vafa ne de dii jaan rah ga.e saare ba-wafa baithe hashr ka din abhii hai door khumaar aap kyun zaahidon men ja baithe

Related Ghazal

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

sach bataayen to sharm aati hai aur chhupaayein to sharm aati hai ham pe ehsaan hain udaasi ke muskuraayein to sharm aati hai haar ki aisi aadaten hain ha men jeet jaayen to sharm aati hai uske aage hi uskaa bakhsha hua sar uthaaye to sharm aati hai aish aukaat se zyaada ki ab kamaayein to sharm aati hai dhamkiyaan khudkushi ki dete hain kar na paa.e to sharm aati hai

Varun Anand

36 likes

paayal kabhi pahne kabhi kangan use kehna le aa.e muhabbat men nayaapan use kehna maykash kabhi aankhoñ ke bharose nahin rahte shabnam kabhi bharti nahin bartan use kehna ghar-baar bhula deti hai dariyaa ki muhabbat kashtii men guzaar aaya hooñ jeevan use kehna ik shab se ziyaada nahin duniya ki maseri ik shab se ziyaada nahin dulhan use kehna rah rah ke dahak uthatii hai ye aatish-e-vahshat deewane hai seharaaon ka eendhan use kehna

Tehzeeb Hafi

70 likes

More from Khumar Barabankvi

husn jab meherbaan ho to kya keejie ishq ke maghfirat kii dua keejie is saleeqe se un se gilaa keejie jab gilaa keejie hañs diya keejie doosron par agar tabsira keejie saamne aaina rakh liya keejie aap sukh se hain tark-e-ta'alluq ke baa'd itni jal dii na ye faisla keejie zindagi kat rahi hai bade chain se aur gham hon to vo bhi ata keejie koii dhoka na kha jaa.e meri tarah aise khul ke na sab se mila keejie aql o dil apni apni kahein jab khumaar aql kii suniye dil ka kaha keejie

Khumar Barabankvi

1 likes

vo siva yaad aa.e bhulaane ke baad zindagi badh gaii zahar khaane ke baad dil sulagta raha aashiyaane ke baad aag thandi hui ik zamaane ke baad raushni ke li.e dil jalana pada aisi zulmat badhi tere jaane ke baad jab na kuchh ban pada arz-e-gham ka javaab vo KHafaa ho ga.e muskuraane ke baad dushmanon se pashemaan hona pada doston ka khuloos aazmaane ke baad ranj had se guzar ke khushi ban gaya ho ga.e paar ham doob jaane ke baad bakhsh de ya rab ahl-e-hawas ko behisht mujh ko kya chahiye tujh ko paane ke baad kaise kaise gile yaad aa.e khumaar un ke aane se qabl un ke jaane ke baad

Khumar Barabankvi

2 likes

tu chahiye na teri vafaa chahiye mujhe kuchh bhi na tere gham ke siva chahiye mujhe marne se pahle shakl hi ik baar dekh luun ai maut zindagi ka pata chahiye mujhe ya rab mua'af kar ke na de karb-e-infi'aal main ne khataayein ki hain saza chahiye mujhe khaamoshi-e-hayaat se ukta gaya hooñ main ab chahe dil hi toote sadaa chahiye mujhe un mast mast aankhoñ men aañsu are ghazab ye ishq hai to qahr-e-khuda chahiye mujhe naaseh naseehaton ka zamaana guzar gaya ab pyaare sirf teri dua chahiye mujhe har dard ko davaa ki zaroorat hai ai khumaar jo dard KHud ho apni davaa chahiye mujhe

Khumar Barabankvi

2 likes

vo jo aa.e hayaat yaad aayi bhooli bisri si baat yaad aayi ki haal-e-dil unse kahke jab laute unse kehne ki baat yaad aayi aapne din banaa diya tha jise zindagi bhar vo raat yaad aayi tere dar se uthe hi the ki ha men tangi-e-kaaenaat yaad aayi

Khumar Barabankvi

1 likes

kya hua husn hai hum-safar ya nahin ishq manzil hi manzil hai rastaa nahin do parinde ude aankh nam ho gaii aaj samjha ki main tujh ko bhoola nahin tark-e-may ko abhii din hi kitne hue kuchh kaha may ko zaahid to achha na har nazar meri ban jaati zanjeer-e-paaus ne jaate hue mud ke dekha nahin chhod bhi de mira saath ai zindagi mujh ko tujh se nadaamat hai shikwa nahin tu ne tauba to kar li magar ai khumaar tujh ko rahmat pe shaayad bharosa nahin

Khumar Barabankvi

6 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Khumar Barabankvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Khumar Barabankvi's ghazal.