ik chand tirgi men samar raushni ka tha phir bhed khul gaya vo bhanvar raushni ka tha suraj pe tu ne aankh tareri thi yaad kar binaiyon pe phir jo asar raushni ka tha sab chandni kisi ki inayat thi chand par us daghhdar show pe kavar raushni ka tha maghhrib ki mad-bhari hui raton men kho gaya is ghar men koi lakht-e-jigar raushni ka tha dariya men us ne duub ke kar li hai khud-kushi jis shai ka asman pe safar raushni ka tha zarre ko aftab banaya tha ham ne aur dharti pe qahr sham-o-sahar raushni ka tha ek chand tirgi mein samar raushni ka tha phir bhed khul gaya wo bhanwar raushni ka tha suraj pe tu ne aankh tareri thi yaad kar binaiyon pe phir jo asar raushni ka tha sab chandni kisi ki inayat thi chand par us daghdar show pe kawar raushni ka tha maghrib ki mad-bhari hui raaton mein kho gaya is ghar mein koi lakht-e-jigar raushni ka tha dariya mein us ne dub ke kar li hai khud-kushi jis shai ka aasman pe safar raushni ka tha zarre ko aaftab banaya tha hum ne aur dharti pe qahr sham-o-sahar raushni ka tha
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mayank Awasthi.
Similar Moods
More moods that pair well with Mayank Awasthi's ghazal.







