ghazalKuch Alfaaz

ik pal men ik sadi ka maza ham se puchhiye do din ki zindagi ka maza ham se puchhiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khud-kushi ka maza ham se puchhiye aghhaz-e-ashiqi ka maza aap janiye anjam-e-ashiqi ka maza ham se puchhiye jalte diyon men jalte gharon jaisi zau kahan sarkar raushni ka maza ham se puchhiye vo jaan hi gae ki hamen un se pyaar hai ankhon ki mukhbiri ka maza ham se puchhiye hansne ka shauq ham ko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hansi ka maza ham se puchhiye ham tauba kar ke mar gae be-maut ai 'khumar' tauhin-e-mai-kashi ka maza ham se puchhiye ek pal mein ek sadi ka maza hum se puchhiye do din ki zindagi ka maza hum se puchhiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton mein hum qiston mein khud-kushi ka maza hum se puchhiye aaghaz-e-ashiqi ka maza aap jaaniye anjam-e-ashiqi ka maza hum se puchhiye jalte diyon mein jalte gharon jaisi zau kahan sarkar raushni ka maza hum se puchhiye wo jaan hi gae ki hamein un se pyar hai aankhon ki mukhbiri ka maza hum se puchhiye hansne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hansi ka maza hum se puchhiye hum tauba kar ke mar gae be-maut ai 'khumar' tauhin-e-mai-kashi ka maza hum se puchhiye

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Khumar Barabankavi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Khumar Barabankavi's ghazal.