ghazalKuch Alfaaz

in aankhoñ ne kya kya tamasha na dekha haqeeqat men jo dekhna tha na dekha tujhe dekh kar vo dui uth gaii hai ki apna bhi saani na dekha na dekha un aankhoñ ke qurbaan jaaun jinhon ne hazaaron hijaabo men parwaana dekha na himmat na qismat na dil hai na aañkhenna dhoonda na paaya na samjha na dekha mareezaan-e-ulfat ki kya be-kasi hai maseeha ko bhi chaara-farmaa na dekha bahut dard-mandon ko dekha hai tu ne ye seena ye dil ye kaleja na dekha vo kab dekh saka hai us ki tajalli jis insaan ne apna hi jalwa na dekha bahut shor sunte the is anjuman ka yahaañ aa ke jo kuchh suna tha na dekha safaai hai baagh-e-mohabbat men aisi ki baad-e-saba ne bhi tinka na dekha use dekh kar aur ko phir jo dekhe koi dekhne vaala aisa na dekha vo tha jalwa-aara magar tu ne moosana dekha na dekha na dekha na dekha gaya kaarwaan chhod kar mujh ko tanhaa zaraa mere aane ka rastaa na dekha kahaan naqsh-e-awwal kahaan naqsh-e-saani KHuda ki KHudaai men tujh sa na dekha tiri yaad hai ya hai teraa tasavvur kabhi daagh ko ham ne tanhaa na dekha

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

mujh...ko darwaaze par hi rok liya jaata hai mere aane se bhala aap ka kya jaata hai tum agar jaane lage ho to palat kar mat dekho maut likhkar to kalam tod diya jaata hai tujhko batlaata magar sharm bahut aati hai teri tasveer se jo kaam liya jaata hai

Tehzeeb Hafi

90 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

More from Dagh Dehlvi

khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya jhooti qasam se aap ka eimaan to gaya dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulti shikaayaten hui ehsaan to gaya dartaa hooñ dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya kya aa.e raahat aayi jo kunj-e-mazaar men vo valvala vo shauq vo armaan to gaya dekha hai but-kade men jo ai shaikh kuchh na pooch eimaan ki to ye hai ki eimaan to gaya ifsha-e-raaz-e-ishq men go zillatein hui lekin use jata to diya jaan to gaya go nama-bar se KHush na hua par hazaar shukr mujh ko vo mere naam se pahchaan to gaya bazm-e-aduu men soorat-e-parwaana dil mira go rashk se jala tire qurbaan to gaya hosh o hawas o taab o tavaan daagh ja chuke ab ham bhi jaane waale hain samaan to gaya

Dagh Dehlvi

1 likes

raah par un ko laga laaye to hain baaton men aur khul jaayenge do chaar mulaqaaton men ye bhi tum jaante ho chand mulaqaaton men aazmaaya hai tumhein ham ne kaii baaton men gair ke sar ki balaaen jo nahin len zalim kya mire qatl ko bhi jaan nahin haathon men abr-e-rahmat hi barsta nazar aaya zaahid KHaak udti k abhii dekhi na kharaabaaton men yaarab us chaand ke tukde ko kahaan se laaun raushni jis ki ho in taaron bharii raaton men tumheen insaaf se ai hazrat naaseh kah do lutf un baaton men aata hai ki in baaton men daud kar dast-e-dua saath dua ke jaate haaye paida na hue paanv mire haathon men jalwa-e-yaar se jab bazm men ghash aaya hai to raqeebon ne sambhaala hai mujhe haathon men aisi taqreer sooni thii na k abhii shokh-o-shareer teri aankhoñ ke bhi fitne hain tiri baaton men ham se inkaar hua gair se iqaar hua faisla khoob kiya aap ne do baaton men haft aflaak hain lekin nahin khulta ye hijaab kaun sa dushman-e-ushshaq hain in saaton men aur sunte abhii rindon se janaab-e-waaiz chal diye aap to do-chaar salaavaton men ham ne dekha unhin logon ko tira dam bharte jin ki shohrat thii ye hargiz nahin in baaton men bheje deta hai unhen ishq mata-e-dil-o-jaan ek sarkaar luti jaati hai sougaaton men dil kuchh aagaah to ho shewa-e-ayyaari se is li.e aap ham aate hain tiri ghaaton men vasl kaisa vo kisi tarah bahalte hi na the shaam se subh hui un ki mudaaraaton men vo ga.e din jo rahe yaad buton ki ai daagh raat bhar ab to guzarti hai munaajaaton men

Dagh Dehlvi

1 likes

baaki jahaan men qais na farhaad rah gaya afsaana aashiqon ka faqat yaad rah gaya ye sakht-jaan to qatl se naashaad rah gaya khanjar chala to baazoo-e-jallaad rah gaya paabandiyo ne ishq ki bekas rakha mujhe main sau asiriyo men bhi azaad rah gaya chashm-e-sanam ne yuñ to bigaade hazaar ghar ik kaaba chand roz ko aabaad rah gaya mahshar men ja-e-shikwa kiya shukr yaar ka jo bhoolna tha mujh ko vahii yaad rah gaya un ki to ban padi ki lagii jaan muft haath teri girah men kya dil-e-naashaad rah gaya pur-noor ho rahega ye zulmat-kada agar dil men buton ka shauq-e-khuda-daad rah gaya yuñ aankh un ki kar ke ishaara palat gaii goya ki lab se ho ke kuchh irshaad rah gaya naaseh ka jee chala tha hamaari tarah magar ulfat ki dekh dekh ke uftaad rah gaya hain tere dil men sab ke thikaane bure bhale main khaanumaan-kharaab hi barbaad rah gaya vo din ga.e ki thii mire seene men kuchh kharaash ab dil kahaan hai dil ka nishaan yaad rah gaya soorat ko teri dekh ke khinchti hai jaan-e-khalk dil apna thaam thaam ke bahzaad rah gaya ai daagh dil hi dil men ghule zabt-e-ishq se afsos shauq-e-naala-o-fariyaad rah gaya

Dagh Dehlvi

0 likes

is ada se vo jafaa karte hain koi jaane ki vafaa karte hain yuñ vafaa ahad-e-wafaa karte hain aap kya kahte hain kya karte hain ham ko chhedoge to pachtayoge hansne waalon se hansa karte hain nama-bar tujh ko saleeqa hi nahin kaam baaton men banaa karte hain cha li.e 'aashiq ka janaaza utha aap baithe hue kya karte hain ye bataata nahin koi mujh ko dil jo aata hai to kya karte hain husn ka haq nahin rehta baaki har ada men vo ada karte hain teer aaKHir badl-e-kaafir hai ham akheer aaj dua karte hain rote hain gair ka rona paharon ye hañsi mujh se hansa karte hain is li.e dil ko laga rakha hai is men mahboob raha karte hain tum miloge na vahaañ bhi ham se hashr se pahle gilaa karte hain jhaank kar rauzan-e-dar se mujh ko kya vo shokhi se haya karte hain us ne ehsaan jata kar ye kaha aap kis munh se gilaa karte hain roz lete hain naya dil dilbar nahin maaloom ye kya karte hain daagh tu dekh to kya hota hai jabr par sabr kiya karte hain

Dagh Dehlvi

5 likes

is nahin ka koi ilaaj nahin roz kahte hain aap aaj nahin kal jo tha aaj vo mizaaj nahin is talavvun ka kuchh ilaaj nahin aaina dekhte hi itraaye phir ye kya hai agar mizaaj nahin le ke dil rakh lo kaam aayega go abhii tum ko ehtiyaaj nahin ho saken ham mizaaj-daan kyunkar ham ko milta tira mizaaj nahin chup lagii laal-e-jaan-faza ko tire is maseeha ka kuchh ilaaj nahin dil-e-be-muddaa KHuda ne diya ab kisi shay ki ehtiyaaj nahin khote daamon men ye bhi kya thehra dirham-e-'daagh ka rivaaj nahin be-niyaazi ki shaan kahti hai bandagi ki kuchh ehtiyaaj nahin dil-lagi keejie raqeebon se is tarah ka mira mizaaj nahin ishq hai paadshaah-e-aalam-geer garche zaahir men takht-o-taaj nahin dard-e-furqat ki go davaa hai visaal is ke qaabil bhi har mizaaj nahin yaas ne kya bujha diya dil ko ki tadap kaisi ikhtilaaj nahin ham to seerat-pasand 'aashiq hain khoob-roo kya jo khush-mizaj nahin hoor se poochta hooñ jannat men is jagah kya buton ka raaj nahin sabr bhi dil ko daagh de lenge abhii kuchh is ki ehtiyaaj nahin

Dagh Dehlvi

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Dagh Dehlvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.