isi liye to nahin katti raat aadmi ki khuda ki zaat se mushkil hai zaat aadmi ki nae khayal ki baaqi kahin jagah na rahe vasia itni na ho kaenat aadmi ki khuda ka bhi koi shayad suraghh mil jaae samajh li jaae agar nafsiyat aadmi ki khuda ne beach men aisa fasad barpa kiya adhuri rah gai duniya se baat aadmi ki alamiya sirf yahi hai yahi rahega bhi khuda ka diin magar diniyat aadmi ki khuda khud aisi jagah jan-bujh kar gaya hai pahunch sake na jahan koi baat aadmi ki ham aur kuchh bhi rahen hain purane vaqton men ugal rahi hai zamin baqiyat aadmi ki isi liye to nahin katti raat aadmi ki khuda ki zat se mushkil hai zat aadmi ki nae khayal ki baqi kahin jagah na rahe wasia itni na ho kaenat aadmi ki khuda ka bhi koi shayad suragh mil jae samajh li jae agar nafsiyat aadmi ki khuda ne beach mein aisa fasad barpa kiya adhuri rah gai duniya se baat aadmi ki alamiya sirf yahi hai yahi rahega bhi khuda ka din magar diniyat aadmi ki khuda khud aisi jagah jaan-bujh kar gaya hai pahunch sake na jahan koi baat aadmi ki hum aur kuchh bhi rahen hain purane waqton mein ugal rahi hai zamin baqiyat aadmi ki
Related Ghazal
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Amaan Abbas.
Similar Moods
More moods that pair well with Amaan Abbas's ghazal.







