isi silsile men ghhazal kahun ki main 'ishq huun ki main 'ishq huun yahi bazgasht suna karun ki main 'ishq huun ki main 'ishq huun tu kahin fareb tha ya nahin mujhe kya pata tu mujhe bata main kahan kahan pe subut duun ki main 'ishq huun ki main 'ishq huun mujhe dekh dekh jala kare vo diye ki lau mira kya kare vo to aag hai use kya kahun ki main 'ishq huun ki main 'ishq huun vahi be-zarar vahi be-nava usi ek dar pe pada hua na main tal sakun na main pal sakun ki main 'ishq huun ki main 'ishq huun mujhe kya naved visal ki mujhe kya khabar tire haal ki mujhe kab nasib hua sakun ki main 'ishq huun ki main 'ishq huun nahin koi mujh men kasar nahin nahin koi mujh men kami nahin nahin ban saki miri baat yuun ki main 'ishq huun ki main 'ishq huun isi silsile mein ghazal kahun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun yahi bazgasht suna karun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun tu kahin fareb tha ya nahin mujhe kya pata tu mujhe bata main kahan kahan pe subut dun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun mujhe dekh dekh jala kare wo diye ki lau mera kya kare wo to aag hai use kya kahun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun wahi be-zarar wahi be-nawa usi ek dar pe pada hua na main tal sakun na main pal sakun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun mujhe kya nawed visal ki mujhe kya khabar tere haal ki mujhe kab nasib hua sakun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun nahin koi mujh mein kasar nahin nahin koi mujh mein kami nahin nahin ban saki meri baat yun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
More from Ammar Iqbal
jahal ko aagahi banaate hue mil gaya raushni banaate hue kya qayamat kisi pe guzregi aakhiri aadmi banaate hue kya hua tha zaraa pata to chale vaqt kya tha ghadi banaate hue kaise kaise banaa diye chehre apni be-chehergi banaate hue dasht ki wusaaten badhaati theen meri aawaargi banaate hue us ne naasoor kar liya hogaa zakham ko shaayeri banaate hue
Ammar Iqbal
9 likes
teergii taq men ja dii hui hai dhoop dahleez par pa dii hui hai dil pe naakaamiyon ke hain paivand aas ki soi bhi ga dii hui hai mere jaisi hai meri parchhaaien dhoop men pal ke ye ba dii hui hai gher rakha hai na-rasaai ne aur KHvaahish wahin kha dii hui hai main ne tasveer fenk dii hai magar keel deewaar men ga dii hui hai haarta bhi nahin gham-e-dauraan zid pe ummeed bhi a dii hui hai dil kisi ke khayal men hai gum raat ko KHvaab ki pa dii hui hai
Ammar Iqbal
2 likes
yoonhi be-baal-o-par khade hue hain ham qafas tod kar khade hue hain dasht guzra hai mere kamre se aur deewar-o-dar khade hue hain KHud hi jaane lage the aur KHud hi raasta rok kar khade hue hain aur kitnii ghumaoge duniya ham to sar thaam kar khade hue hain barguzeeda buzurg neem ke ped thak ga.e hain magar khade hue hain muddaton se hazaar-ha aalam ek ummeed par khade hue hain
Ammar Iqbal
1 likes
pahle hamaari aankh men beenaai aayi thii phir is ke baa'd quwwat-e-goyai aayi thii main apni khastagi se hua aur paayedaar meri thakan se mujh men tawaanai aayi thii dil aaj shaam se hi use dhoondhne laga kal jis ke baa'd kamre men tanhaaii aayi thii vo kis ki nagmgi thii jo daaron saroon men thii rangon men kis ke rang se ra'naai aayi thii phir yuñ hua ki us ko tamannaai kar liya meri taraf jo chashm-e-tamaashaai aayi thii
Ammar Iqbal
3 likes
khud-parasti se ishq ho gaya hai apni hasti se ishq ho gaya hai jab se dekha hai is fakeerni ko faqa-masti se ishq ho gaya hai ek darvesh ko tiri khaatir saari bastii se ishq ho gaya hai KHud tarasha hai jab se but apna but-parasti se ishq ho gaya hai ye falak-zaad ki kahaanii hai is ko pasti se ishq ho gaya hai
Ammar Iqbal
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ammar Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Ammar Iqbal's ghazal.







