itnaa na apne jaa men se baahar nikal ke chal duniya hai chal-chalaav ka rastaa sambhal ke chal auron ke bal pe bal na kar itnaa na chal nikal bal hai to bal ke bal pe tu kuchh apne bal ke chal insaan ko kal ka putla banaya hai us ne aap aur aap hi vo kahtaa hai putle ko kal ke chal phir aañkhen bhi to deen hain ki rakh dekh kar qadam kahtaa hai kaun tujh ko na chal chal sambhal ke chal kya chal sakega ham se ki pahchaante hain ham tu laakh apni chaal ko zalim badal ke chal hai shama sar ke bal jo mohabbat men garm ho parwaana apne dil se ye kahtaa hai jal ke chal bulbul ke hosh nikhat-e-gul ki tarah uda gulshan men mere saath zaraa itr mal ke chal gar qasd soo-e-dil hai tira ai nigah-e-yaar do-chaar teer paik se aage ajal ke chal jo imtihaan-e-tabah kare apna ai zafar to kah do us ko taur pe tu is ghazal ke chal
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
More from Bahadur Shah Zafar
ham ne tiri khaatir se dil-e-zaar bhi chhodaa tu bhi na hua yaar aur ik yaar bhi chhodaa kya hogaa rafoogar se rafu meraa garebaan ai dast-e-junoon tu ne nahin taar bhi chhodaa deen de ke gaya kufr ke bhi kaam se ''aashiq tasbeeh ke saath us ne to zunnar bhi chhodaa goshe men tiri chashm-e-siyah-mast ke dil ne ki jab se jagah khaana-e-khummaar bhi chhodaa is se hai ghareebon ko tasalli ki ajal ne muflis ko jo maara to na zardaar bhi chhodaa tedhe na ho ham se rakho ikhlaas to seedha tum pyaar se rukte ho to lo pyaar bhi chhodaa kya chhodein aseeraan-e-mohabbat ko vo jis ne sadqe men na ik murgh-e-giriftaar bhi chhodaa pahunchee mirii ruswaai ki kyunkar khabar us kous shokh ne to dekhna akhbaar bhi chhodaa karta tha jo yaa aane ka jhoota kabhi iqaar muddat se zafar us ne vo iqaar bhi chhodaa
Bahadur Shah Zafar
0 likes
tukde nahin hain aañsuon men dil ke chaar paanch surkhaab baithe paani men hain mil ke chaar paanch munh khole hain ye zakham jo bismil ke chaar paanch phir lenge bose khanjar-e-qaatil ke chaar paanch kehne hain matlab un se ha men dil ke chaar paanch kya kahiye ek munh hain vahaañ mil ke chaar paanch dariyaa men gir pada jo mira ashk ek garm but-khaane lab pe ho ga.e saahil ke chaar paanch do-chaar laashe ab bhi pade tere dar pe hain aur aage dab chuke hain tale gil ke chaar paanch raahen hain do majaaz o haqeeqat hai jin ka naam raaste nahin hain ishq ki manzil ke chaar paanch ranj o taab museebat o gham yaas o dard o daagh aah o fugaan rafeeq hain ye dil ke chaar paanch do teen jhatke doon jun hi vehshat ke zor men zindaan men tukde hovein silaasil ke chaar paanch farhaad o qais o waamik o azraa the chaar dost ab ham bhi aa mile to hue mil ke chaar paanch naaz o ada o ghamza nigah panja-e-miza maarein hain ek dil ko ye pil pil ke chaar paanch eemaa hai ye ki devenge nau din ke baad dil likh bheje khat men she'r jo be-dil ke chaar paanch heere ke nau-ratan nahin tere hue hain jama ye chaandni ke phool magar khil ke chaar paanch meena-e-nuh-falak hai kahaan baada-e-nashaat sheeshe hain ye to zahar-e-halaahal ke chaar paanch nakhun karen hain zaKHmon ko do do mila ke ek the aath das so ho ga.e ab chil ke chaar paanch gar anjum-e-falak se bhi taadaad keejie niklen ziyaada daagh mire dil ke chaar paanch maarein jo sar pe sil ko utha kar qalq se ham das paanch tukde sar ke hon aur sil ke chaar paanch maan ai zafar tu panj-tan o chaar-yaar ko hain sadr-e-deen ki yahii mehfil ke chaar paanch
Bahadur Shah Zafar
0 likes
kyunkar na khaaksaar rahen ahl-e-keen se door dekho zameen falak se falak hai zameen se door parwaana wasl-e-sham'a pe deta hai apni jaañ kyunkar rahe dil us ke rukh-e-aatishi se door majmoo-e-wasl-wa-hijr jo naa men men hai raqam hai harf bhi kahii se mile aur kahii se door go teer-e-be-gumaan hai mire paas par abhii jaa.e nikal ke seena-e-charkh-e-bareen se door vo kaun hai ki jaate nahin aap jis ke paas lekin hamesha bhaagte ho tum humeen se door hairaan hooñ ki us ke muqaabil ho aaina jo pur-ghuroor khinchta hai maah-e-mubeen se door yaa tak adoo ka paas hai un ko ki bazm men vo baithe bhi hain to mire hum-nasheen se door manzoor ho jo deed tujhe dil ki aankh se pahunchen tiri nazar nigah-e-door-been se door duniya-e-doo ki de na mohabbat KHuda zafar insaan ko fenk de hai ye eimaan o deen se door
Bahadur Shah Zafar
1 likes
jigar ke tukde hue jal ke dil kebab hua ye ishq jaan ko mere koi azaab hua kiya jo qatl mujhe tum ne khoob kaam kiya ki main azaab se chhoota tumhein savaab hua kabhi to shefta us ne kaha kabhi shaida garz ki roz naya ik mujhe khitaab hua piyuun na rashk se khun kyunki dam-b-dam apna ki saath gair ke vo aaj ham-sharaab hua tumhaare lab ke lab-e-jaam ne li.e bose lab apne kaata kiya main na kaamyaab hua gali gali tiri khaatir fira ba-chashm-e-pur-aab laga ke tujh se dil apna bahut KHaraab hua tiri gali men bahaaye phire hai sail-e-sarishk hamaara kaasa-e-sar kya hua habaab hua jawaab-e-khat ke na likhne se ye hua maaloom ki aaj se ha men ai nama-bar javaab hua mangaaee thii tiri tasveer dil ki taskin ko mujhe to dekhte hi aur iztiraab hua sitam tumhaare bahut aur din hisaab ka ek mujhe hai soch ye hi kis tarah hisaab hua zafar badal ke radif aur tu ghazal vo suna ki jis ka tujh se har ik she'r intikhaab hua
Bahadur Shah Zafar
1 likes
gaaliyaan tankhwaah thehri hai agar bat jaayegi aashiqon ke ghar mithaai lab shakar bat jaayegi roo-b-roo gar hogaa yusuf aur tu aa jaayegaus ki jaanib se zulekha ki nazar bat jaayegi rahzano men naaz-o-ghamza ki ye jins-e-deen-o-dil jun mata-e-burda aaKHir hum-digar bat jaayegi hogaa kya gar bol utthe gair baaton men mirii phir tabeeyat mirii ai bedaad gar bat jaayegi daulat-e-duniya nahin jaane ki hargiz tere saath baad tere sab yahiin ai be-KHabar bat jaayegi kar le ai dil jaan ko bhi ranj-o-gham men tu shareek ye jo mehnat tujh pe hai kuchh kuchh magar bat jaayegi moong chaati pe jo dalte hain kisi ki dekhna jootiyon men daal un ki ai zafar bat jaayegi
Bahadur Shah Zafar
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bahadur Shah Zafar.
Similar Moods
More moods that pair well with Bahadur Shah Zafar's ghazal.







