ghazalKuch Alfaaz

kyunkar na khaaksaar rahen ahl-e-keen se door dekho zameen falak se falak hai zameen se door parwaana wasl-e-sham'a pe deta hai apni jaañ kyunkar rahe dil us ke rukh-e-aatishi se door majmoo-e-wasl-wa-hijr jo naa men men hai raqam hai harf bhi kahii se mile aur kahii se door go teer-e-be-gumaan hai mire paas par abhii jaa.e nikal ke seena-e-charkh-e-bareen se door vo kaun hai ki jaate nahin aap jis ke paas lekin hamesha bhaagte ho tum humeen se door hairaan hooñ ki us ke muqaabil ho aaina jo pur-ghuroor khinchta hai maah-e-mubeen se door yaa tak adoo ka paas hai un ko ki bazm men vo baithe bhi hain to mire hum-nasheen se door manzoor ho jo deed tujhe dil ki aankh se pahunchen tiri nazar nigah-e-door-been se door duniya-e-doo ki de na mohabbat KHuda zafar insaan ko fenk de hai ye eimaan o deen se door

Related Ghazal

apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain

Varun Anand

63 likes

vo nahin meraa magar us se mohabbat hai to hai ye agar rasmon rivaajon se baghaavat hai to hai sach ko main ne sach kaha jab kah diya to kah diya ab zamaane kii nazar men ye himaqat hai to hai kab kaha main ne ki vo mil jaa.e mujh ko main use gair na ho jaa.e vo bas itni hasrat hai to hai jal gaya parwaana gar to kya KHataa hai shama' kii raat bhar jalnaa jalana us kii qismat hai to hai dost ban kar dushmanon sa vo sataata hai mujhe phir bhi us zalim pe marna apni fitrat hai to hai door the aur door hain har dam zameen-o-aasman dooriyon ke baad bhi dono men qurbat hai to hai

Deepti Mishra

29 likes

deewaana banaana hai to deewaana banaa de warna kahii taqdeer tamasha na banaa de ai dekhne waalo mujhe hañs hañs ke na dekho tum ko bhi mohabbat kahii mujh sa na banaa de

Behzad Lakhnavi

32 likes

kaun aayega yahaañ koi na aaya hogaa meraa darwaaza hawaon ne hilaaya hogaa dil-e-naadaañ na dhadak ai dil-e-naadaañ na dhadak koi khat le ke padosi ke ghar aaya hogaa is gulistaan ki yahii reet hai ai shaakh-e-gul tu ne jis phool ko paala vo paraaya hogaa dil ki qismat hi men likkha tha andhera shaayad warna masjid ka diya kis ne bujhaaya hogaa gul se lipti hui titli ko giraa kar dekho aandhiyo tum ne darakhton ko giraaya hogaa khelne ke li.e bacche nikal aa.e honge chaand ab us ki gali men utar aaya hogaa kaif pardes men mat yaad karo apna makaan ab ke baarish ne use tod giraaya hogaa

Kaif Bhopali

20 likes

theek hai KHud ko ham badalte hain shukriya mashwarat ka chalte hain ho raha hooñ main kis tarah barbaad dekhne waale haath malte hain hai vo jaan ab har ek mehfil ki ham bhi ab ghar se kam nikalte hain kya takalluf karen ye kehne men jo bhi KHush hai ham us se jalte hain hai use door ka safar dar-pesh ham sambhaale nahin sambhalte hain tum bano rang tum bano khushboo ham to apne sukhun men dhalti hain main usii tarah to bahalta hooñ aur sab jis tarah bahalte hain hai ajab faisley ka sehra bhi chal na padiye to paanv jalte hain

Jaun Elia

38 likes

More from Bahadur Shah Zafar

ham ne tiri khaatir se dil-e-zaar bhi chhodaa tu bhi na hua yaar aur ik yaar bhi chhodaa kya hogaa rafoogar se rafu meraa garebaan ai dast-e-junoon tu ne nahin taar bhi chhodaa deen de ke gaya kufr ke bhi kaam se ''aashiq tasbeeh ke saath us ne to zunnar bhi chhodaa goshe men tiri chashm-e-siyah-mast ke dil ne ki jab se jagah khaana-e-khummaar bhi chhodaa is se hai ghareebon ko tasalli ki ajal ne muflis ko jo maara to na zardaar bhi chhodaa tedhe na ho ham se rakho ikhlaas to seedha tum pyaar se rukte ho to lo pyaar bhi chhodaa kya chhodein aseeraan-e-mohabbat ko vo jis ne sadqe men na ik murgh-e-giriftaar bhi chhodaa pahunchee mirii ruswaai ki kyunkar khabar us kous shokh ne to dekhna akhbaar bhi chhodaa karta tha jo yaa aane ka jhoota kabhi iqaar muddat se zafar us ne vo iqaar bhi chhodaa

Bahadur Shah Zafar

0 likes

tukde nahin hain aañsuon men dil ke chaar paanch surkhaab baithe paani men hain mil ke chaar paanch munh khole hain ye zakham jo bismil ke chaar paanch phir lenge bose khanjar-e-qaatil ke chaar paanch kehne hain matlab un se ha men dil ke chaar paanch kya kahiye ek munh hain vahaañ mil ke chaar paanch dariyaa men gir pada jo mira ashk ek garm but-khaane lab pe ho ga.e saahil ke chaar paanch do-chaar laashe ab bhi pade tere dar pe hain aur aage dab chuke hain tale gil ke chaar paanch raahen hain do majaaz o haqeeqat hai jin ka naam raaste nahin hain ishq ki manzil ke chaar paanch ranj o taab museebat o gham yaas o dard o daagh aah o fugaan rafeeq hain ye dil ke chaar paanch do teen jhatke doon jun hi vehshat ke zor men zindaan men tukde hovein silaasil ke chaar paanch farhaad o qais o waamik o azraa the chaar dost ab ham bhi aa mile to hue mil ke chaar paanch naaz o ada o ghamza nigah panja-e-miza maarein hain ek dil ko ye pil pil ke chaar paanch eemaa hai ye ki devenge nau din ke baad dil likh bheje khat men she'r jo be-dil ke chaar paanch heere ke nau-ratan nahin tere hue hain jama ye chaandni ke phool magar khil ke chaar paanch meena-e-nuh-falak hai kahaan baada-e-nashaat sheeshe hain ye to zahar-e-halaahal ke chaar paanch nakhun karen hain zaKHmon ko do do mila ke ek the aath das so ho ga.e ab chil ke chaar paanch gar anjum-e-falak se bhi taadaad keejie niklen ziyaada daagh mire dil ke chaar paanch maarein jo sar pe sil ko utha kar qalq se ham das paanch tukde sar ke hon aur sil ke chaar paanch maan ai zafar tu panj-tan o chaar-yaar ko hain sadr-e-deen ki yahii mehfil ke chaar paanch

Bahadur Shah Zafar

0 likes

gaaliyaan tankhwaah thehri hai agar bat jaayegi aashiqon ke ghar mithaai lab shakar bat jaayegi roo-b-roo gar hogaa yusuf aur tu aa jaayegaus ki jaanib se zulekha ki nazar bat jaayegi rahzano men naaz-o-ghamza ki ye jins-e-deen-o-dil jun mata-e-burda aaKHir hum-digar bat jaayegi hogaa kya gar bol utthe gair baaton men mirii phir tabeeyat mirii ai bedaad gar bat jaayegi daulat-e-duniya nahin jaane ki hargiz tere saath baad tere sab yahiin ai be-KHabar bat jaayegi kar le ai dil jaan ko bhi ranj-o-gham men tu shareek ye jo mehnat tujh pe hai kuchh kuchh magar bat jaayegi moong chaati pe jo dalte hain kisi ki dekhna jootiyon men daal un ki ai zafar bat jaayegi

Bahadur Shah Zafar

0 likes

bharii hai dil men jo hasrat kahooñ to kis se kahooñ sune hai kaun museebat kahooñ to kis se kahooñ jo tu ho saaf to kuchh main bhi saaf tujh se kahooñ tere hai dil men kudoorat kahooñ to kis se kahooñ na kohkan hai na majnoon ki the mere hamdard main apna dard-e-mohabbat kahooñ to kis se kahooñ dil us ko aap diya aap hi pashemaan hooñ ki sach hai apni nadaamat kahooñ to kis se kahooñ kahooñ main jis se use hove sunte hi vehshat phir apna qissa-e-vahshat kahooñ to kis se kahooñ raha hai tu hi to gham-khwaar ai dil-e-ghamgeen tere siva gham-e-furqat kahooñ to kis se kahooñ jo dost ho to kahooñ tujh se dosti kii baat tujhe to mujh se adavat kahooñ to kis se kahooñ na mujh ko kehne kii taqat kahooñ to kya ahvaalna us ko sunne kii fursat kahooñ to kis se kahooñ kisi ko dekhta itnaa nahin haqeeqat men zafr main apni haqeeqat kahooñ to kis se kahooñ

Bahadur Shah Zafar

0 likes

jigar ke tukde hue jal ke dil kebab hua ye ishq jaan ko mere koi azaab hua kiya jo qatl mujhe tum ne khoob kaam kiya ki main azaab se chhoota tumhein savaab hua kabhi to shefta us ne kaha kabhi shaida garz ki roz naya ik mujhe khitaab hua piyuun na rashk se khun kyunki dam-b-dam apna ki saath gair ke vo aaj ham-sharaab hua tumhaare lab ke lab-e-jaam ne li.e bose lab apne kaata kiya main na kaamyaab hua gali gali tiri khaatir fira ba-chashm-e-pur-aab laga ke tujh se dil apna bahut KHaraab hua tiri gali men bahaaye phire hai sail-e-sarishk hamaara kaasa-e-sar kya hua habaab hua jawaab-e-khat ke na likhne se ye hua maaloom ki aaj se ha men ai nama-bar javaab hua mangaaee thii tiri tasveer dil ki taskin ko mujhe to dekhte hi aur iztiraab hua sitam tumhaare bahut aur din hisaab ka ek mujhe hai soch ye hi kis tarah hisaab hua zafar badal ke radif aur tu ghazal vo suna ki jis ka tujh se har ik she'r intikhaab hua

Bahadur Shah Zafar

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bahadur Shah Zafar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bahadur Shah Zafar's ghazal.