ghazalKuch Alfaaz

bharii hai dil men jo hasrat kahooñ to kis se kahooñ sune hai kaun museebat kahooñ to kis se kahooñ jo tu ho saaf to kuchh main bhi saaf tujh se kahooñ tere hai dil men kudoorat kahooñ to kis se kahooñ na kohkan hai na majnoon ki the mere hamdard main apna dard-e-mohabbat kahooñ to kis se kahooñ dil us ko aap diya aap hi pashemaan hooñ ki sach hai apni nadaamat kahooñ to kis se kahooñ kahooñ main jis se use hove sunte hi vehshat phir apna qissa-e-vahshat kahooñ to kis se kahooñ raha hai tu hi to gham-khwaar ai dil-e-ghamgeen tere siva gham-e-furqat kahooñ to kis se kahooñ jo dost ho to kahooñ tujh se dosti kii baat tujhe to mujh se adavat kahooñ to kis se kahooñ na mujh ko kehne kii taqat kahooñ to kya ahvaalna us ko sunne kii fursat kahooñ to kis se kahooñ kisi ko dekhta itnaa nahin haqeeqat men zafr main apni haqeeqat kahooñ to kis se kahooñ

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

More from Bahadur Shah Zafar

ham ne tiri khaatir se dil-e-zaar bhi chhodaa tu bhi na hua yaar aur ik yaar bhi chhodaa kya hogaa rafoogar se rafu meraa garebaan ai dast-e-junoon tu ne nahin taar bhi chhodaa deen de ke gaya kufr ke bhi kaam se ''aashiq tasbeeh ke saath us ne to zunnar bhi chhodaa goshe men tiri chashm-e-siyah-mast ke dil ne ki jab se jagah khaana-e-khummaar bhi chhodaa is se hai ghareebon ko tasalli ki ajal ne muflis ko jo maara to na zardaar bhi chhodaa tedhe na ho ham se rakho ikhlaas to seedha tum pyaar se rukte ho to lo pyaar bhi chhodaa kya chhodein aseeraan-e-mohabbat ko vo jis ne sadqe men na ik murgh-e-giriftaar bhi chhodaa pahunchee mirii ruswaai ki kyunkar khabar us kous shokh ne to dekhna akhbaar bhi chhodaa karta tha jo yaa aane ka jhoota kabhi iqaar muddat se zafar us ne vo iqaar bhi chhodaa

Bahadur Shah Zafar

0 likes

tukde nahin hain aañsuon men dil ke chaar paanch surkhaab baithe paani men hain mil ke chaar paanch munh khole hain ye zakham jo bismil ke chaar paanch phir lenge bose khanjar-e-qaatil ke chaar paanch kehne hain matlab un se ha men dil ke chaar paanch kya kahiye ek munh hain vahaañ mil ke chaar paanch dariyaa men gir pada jo mira ashk ek garm but-khaane lab pe ho ga.e saahil ke chaar paanch do-chaar laashe ab bhi pade tere dar pe hain aur aage dab chuke hain tale gil ke chaar paanch raahen hain do majaaz o haqeeqat hai jin ka naam raaste nahin hain ishq ki manzil ke chaar paanch ranj o taab museebat o gham yaas o dard o daagh aah o fugaan rafeeq hain ye dil ke chaar paanch do teen jhatke doon jun hi vehshat ke zor men zindaan men tukde hovein silaasil ke chaar paanch farhaad o qais o waamik o azraa the chaar dost ab ham bhi aa mile to hue mil ke chaar paanch naaz o ada o ghamza nigah panja-e-miza maarein hain ek dil ko ye pil pil ke chaar paanch eemaa hai ye ki devenge nau din ke baad dil likh bheje khat men she'r jo be-dil ke chaar paanch heere ke nau-ratan nahin tere hue hain jama ye chaandni ke phool magar khil ke chaar paanch meena-e-nuh-falak hai kahaan baada-e-nashaat sheeshe hain ye to zahar-e-halaahal ke chaar paanch nakhun karen hain zaKHmon ko do do mila ke ek the aath das so ho ga.e ab chil ke chaar paanch gar anjum-e-falak se bhi taadaad keejie niklen ziyaada daagh mire dil ke chaar paanch maarein jo sar pe sil ko utha kar qalq se ham das paanch tukde sar ke hon aur sil ke chaar paanch maan ai zafar tu panj-tan o chaar-yaar ko hain sadr-e-deen ki yahii mehfil ke chaar paanch

Bahadur Shah Zafar

0 likes

kyunkar na khaaksaar rahen ahl-e-keen se door dekho zameen falak se falak hai zameen se door parwaana wasl-e-sham'a pe deta hai apni jaañ kyunkar rahe dil us ke rukh-e-aatishi se door majmoo-e-wasl-wa-hijr jo naa men men hai raqam hai harf bhi kahii se mile aur kahii se door go teer-e-be-gumaan hai mire paas par abhii jaa.e nikal ke seena-e-charkh-e-bareen se door vo kaun hai ki jaate nahin aap jis ke paas lekin hamesha bhaagte ho tum humeen se door hairaan hooñ ki us ke muqaabil ho aaina jo pur-ghuroor khinchta hai maah-e-mubeen se door yaa tak adoo ka paas hai un ko ki bazm men vo baithe bhi hain to mire hum-nasheen se door manzoor ho jo deed tujhe dil ki aankh se pahunchen tiri nazar nigah-e-door-been se door duniya-e-doo ki de na mohabbat KHuda zafar insaan ko fenk de hai ye eimaan o deen se door

Bahadur Shah Zafar

1 likes

shaane ki har zabaan se sune koi laaf-e-zulf cheere hai seena raat ko ye moo-shigaaf-e-zulf jis tarah se ki kaabe pe hai poshish-e-siyaah is tarah is sanam ke hai rukh par ghilaaf-e-zulf barham hai is qadar jo mire dil se zulf-e-yaar shaamat-zada ne kya kiya aisa khilaaf-e-zulf matlab na kufr o deen se na dair o haram se kaam karta hai dil tawaaf-e-izaar o tawaaf-e-zulf naaf-e-ghazaal-e-cheen hai ki hai naafa-e-tataar kyunkar kahooñ ki hai girh-e-zulf naaf-e-zulf aapas men aaj dast-o-garebaan hai roz o shab ai mehr-vash zari ka nahin moo-e-baaf-e-zulf kahtaa hai koi jeem koi laam zulf ko kahtaa hooñ main zafar ki mustatteh hai kaaf-e-zulf

Bahadur Shah Zafar

0 likes

shamsher-e-barhana maang ghazab baalon ki mahak phir waisi hi jude ki gundhaavat qahr-e-khuda baalon ki mahak phir waisi hi aañkhen hain katoraa si vo sitam gardan hai suraahi-daar ghazab aur usii men sharaab-e-surkhi-e-paan rakhti hai jhalak phir waisi hi har baat men us ki garmi hai har naaz men us ke shokhi hai qamat hai qayamat chaal pari chalne men fadak phir waisi hi gar rang bhobooka aatish hai aur beeni shola-e-sarkash hai to bijli si kaunde hai pari aariz ki chamak phir waisi hi nau-khez kuchen do guncha hain hai narm shikam ik khirman-e-gul baarik kamar jo shaakh-e-gul rakhti hai lachak phir waisi hi hai naaf koi girdaab-e-bala aur gol surin raanen hain safa hai saaq bilorin sham-e-ziya paanv ki kafk phir waisi hi mehram hai habaab-e-aab-e-ravaan suraj ki kiran hai us pe lipt jaali ki kurtee hai vo bala gote ki dhanak phir waisi hi vo gaaye to aafat laaye hai har taal men leve jaan nikaal naach us ka uthaaye sau fitne ghungroo ki jhankar phir waisi hi har baat pe ham se vo jo zafar karta hai lagaavat muddat se aur us ki chaahat rakhte hain ham aaj talak phir waisi hi

Bahadur Shah Zafar

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bahadur Shah Zafar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bahadur Shah Zafar's ghazal.