shaane ki har zabaan se sune koi laaf-e-zulf cheere hai seena raat ko ye moo-shigaaf-e-zulf jis tarah se ki kaabe pe hai poshish-e-siyaah is tarah is sanam ke hai rukh par ghilaaf-e-zulf barham hai is qadar jo mire dil se zulf-e-yaar shaamat-zada ne kya kiya aisa khilaaf-e-zulf matlab na kufr o deen se na dair o haram se kaam karta hai dil tawaaf-e-izaar o tawaaf-e-zulf naaf-e-ghazaal-e-cheen hai ki hai naafa-e-tataar kyunkar kahooñ ki hai girh-e-zulf naaf-e-zulf aapas men aaj dast-o-garebaan hai roz o shab ai mehr-vash zari ka nahin moo-e-baaf-e-zulf kahtaa hai koi jeem koi laam zulf ko kahtaa hooñ main zafar ki mustatteh hai kaaf-e-zulf
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
jis tarah waqt guzarne ke li.e hota hai aadmi shakl pe marne ke li.e hota hai teri aankhoñ se mulaqaat hui tab ye khula doobne vaala ubharne ke li.e hota hai ishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaan husn to khair mukarne ke li.e hota hai aankh hoti hai kisi raah ko takne ke li.e dil kisi paanv pe dharne ke li.e hota hai dil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahab jab bhi hota hai ye harne ke li.e hota hai koi bastii ho ujhadne ke li.e bastii hai koi mazma ho bikharna ke li.e hota hai
Ali Zaryoun
61 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere
Umair Najmi
59 likes
maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho
Jawwad Sheikh
50 likes
More from Bahadur Shah Zafar
gaaliyaan tankhwaah thehri hai agar bat jaayegi aashiqon ke ghar mithaai lab shakar bat jaayegi roo-b-roo gar hogaa yusuf aur tu aa jaayegaus ki jaanib se zulekha ki nazar bat jaayegi rahzano men naaz-o-ghamza ki ye jins-e-deen-o-dil jun mata-e-burda aaKHir hum-digar bat jaayegi hogaa kya gar bol utthe gair baaton men mirii phir tabeeyat mirii ai bedaad gar bat jaayegi daulat-e-duniya nahin jaane ki hargiz tere saath baad tere sab yahiin ai be-KHabar bat jaayegi kar le ai dil jaan ko bhi ranj-o-gham men tu shareek ye jo mehnat tujh pe hai kuchh kuchh magar bat jaayegi moong chaati pe jo dalte hain kisi ki dekhna jootiyon men daal un ki ai zafar bat jaayegi
Bahadur Shah Zafar
0 likes
kyunkar na khaaksaar rahen ahl-e-keen se door dekho zameen falak se falak hai zameen se door parwaana wasl-e-sham'a pe deta hai apni jaañ kyunkar rahe dil us ke rukh-e-aatishi se door majmoo-e-wasl-wa-hijr jo naa men men hai raqam hai harf bhi kahii se mile aur kahii se door go teer-e-be-gumaan hai mire paas par abhii jaa.e nikal ke seena-e-charkh-e-bareen se door vo kaun hai ki jaate nahin aap jis ke paas lekin hamesha bhaagte ho tum humeen se door hairaan hooñ ki us ke muqaabil ho aaina jo pur-ghuroor khinchta hai maah-e-mubeen se door yaa tak adoo ka paas hai un ko ki bazm men vo baithe bhi hain to mire hum-nasheen se door manzoor ho jo deed tujhe dil ki aankh se pahunchen tiri nazar nigah-e-door-been se door duniya-e-doo ki de na mohabbat KHuda zafar insaan ko fenk de hai ye eimaan o deen se door
Bahadur Shah Zafar
1 likes
kya kuchh na kiya aur hain kya kuchh nahin karte kuchh karte hain aisa b-khuda kuchh nahin karte apne marz-e-gham ka hakeem aur koi hai ham aur tabeebon ki davaa kuchh nahin karte maaloom nahin ham se hijaab un ko hai kaisa auron se to vo sharm o haya kuchh nahin karte go karte hain zaahir ko safa ahl-e-kudurat par dil ko nahin karte safa kuchh nahin karte vo dilbari ab tak mirii kuchh karte hain lekin taaseer tire naale dila kuchh nahin karte dil ham ne diya tha tujhe ummeed-e-wafa par tum ham se nahin karte vafaa kuchh nahin karte karte hain vo is tarah zafar dil pe jafaaen zaahir men ye jaano ki jafaa kuchh nahin karte
Bahadur Shah Zafar
0 likes
jigar ke tukde hue jal ke dil kebab hua ye ishq jaan ko mere koi azaab hua kiya jo qatl mujhe tum ne khoob kaam kiya ki main azaab se chhoota tumhein savaab hua kabhi to shefta us ne kaha kabhi shaida garz ki roz naya ik mujhe khitaab hua piyuun na rashk se khun kyunki dam-b-dam apna ki saath gair ke vo aaj ham-sharaab hua tumhaare lab ke lab-e-jaam ne li.e bose lab apne kaata kiya main na kaamyaab hua gali gali tiri khaatir fira ba-chashm-e-pur-aab laga ke tujh se dil apna bahut KHaraab hua tiri gali men bahaaye phire hai sail-e-sarishk hamaara kaasa-e-sar kya hua habaab hua jawaab-e-khat ke na likhne se ye hua maaloom ki aaj se ha men ai nama-bar javaab hua mangaaee thii tiri tasveer dil ki taskin ko mujhe to dekhte hi aur iztiraab hua sitam tumhaare bahut aur din hisaab ka ek mujhe hai soch ye hi kis tarah hisaab hua zafar badal ke radif aur tu ghazal vo suna ki jis ka tujh se har ik she'r intikhaab hua
Bahadur Shah Zafar
1 likes
ham ne tiri khaatir se dil-e-zaar bhi chhodaa tu bhi na hua yaar aur ik yaar bhi chhodaa kya hogaa rafoogar se rafu meraa garebaan ai dast-e-junoon tu ne nahin taar bhi chhodaa deen de ke gaya kufr ke bhi kaam se ''aashiq tasbeeh ke saath us ne to zunnar bhi chhodaa goshe men tiri chashm-e-siyah-mast ke dil ne ki jab se jagah khaana-e-khummaar bhi chhodaa is se hai ghareebon ko tasalli ki ajal ne muflis ko jo maara to na zardaar bhi chhodaa tedhe na ho ham se rakho ikhlaas to seedha tum pyaar se rukte ho to lo pyaar bhi chhodaa kya chhodein aseeraan-e-mohabbat ko vo jis ne sadqe men na ik murgh-e-giriftaar bhi chhodaa pahunchee mirii ruswaai ki kyunkar khabar us kous shokh ne to dekhna akhbaar bhi chhodaa karta tha jo yaa aane ka jhoota kabhi iqaar muddat se zafar us ne vo iqaar bhi chhodaa
Bahadur Shah Zafar
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bahadur Shah Zafar.
Similar Moods
More moods that pair well with Bahadur Shah Zafar's ghazal.







