ghazalKuch Alfaaz

itni muddat baa'd mile ho kin sochon men gum firte ho itne khaif kyun rahte ho har aahat se dar jaate ho tez hawa ne mujh se poocha ret pe kya likhte rahte ho kaash koi ham se bhi pooche raat ga.e tak kyun jaage ho main dariyaa se bhi dartaa hooñ tum dariyaa se bhi gehre ho kaun si baat hai tum men aisi itne achchhe kyun lagte ho peeche mud kar kyun dekha tha patthar ban kar kya takte ho jaao jeet ka jashn manao men jhoota hooñ tum sacche ho apne shahar ke sab logon se meri khaatir kyun uljhe ho kehne ko rahte ho dil men phir bhi kitne door khade ho raat ha men kuchh yaad nahin tha raat bahut hi yaad aa.e ho ham se na poochho hijr ke qisse apni kaho ab tum kaise ho mohsin tum badnaam bahut ho jaise ho phir bhi achchhe ho

Related Ghazal

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya

Tehzeeb Hafi

203 likes

har andhera raushni men lag gaya jis..ko dekho shayari men lag gaya hamko mar jaane ki fursat kab mili vaqt saara zindagi men lag gaya apna maikhaana banaa sakte the ham itnaa paisa maikashi men lag gaya KHud se itni door ja nikle the ham ik zamaana waapsi men lag gaya

Mehshar Afridi

53 likes

More from Mohsin Naqvi

naya hai shahar naye aasre talash karoon tu kho gaya hai kahaan ab tujhe talash karoon jo dasht men bhi jalate the fasl-e-gul ke charaaghh main shahar men bhi vahii aable talash karoon tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar men utar tire li.e main kahaan aaine talash karoon tujhe hawas ki aawaargi ka ilm kahaan kabhi main tujh ko tire saamne talash karoon ghazal kahooñ kabhi saada se khat likhoon us ko udaas dil ke li.e mashghale talash karoon mire vujood se shaayad mile suraagh tira kabhi main KHud ko tire vaaste talash karoon main chup rahoon kabhi be-wajh hañs padhoon mohsin use ganwa ke ajab hausale talash karoon

Mohsin Naqvi

2 likes

ab vo toofan hai na vo shor hawaon jaisa dil ka aalam hai tere baa'd khalaao jaisa kaash duniya mere ehsaas ko waapas kar de KHaamushi ka vahii andaaz sadaaon jaisa paas rah kar bhi hamesha vo bahut door milaus ka andaaz-e-taghaful tha khudaon jaisa kitnii shiddat se bahaaron ko tha ehsaas-e-ma'aal phool khil kar bhi raha zard khizaaon jaisa kya qayaamat hai ki duniya use sardaar kahe jis ka andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisa phir teri yaad ke mausam ne jagaae mahshar phir mere dil men utha shor hawaon jaisa baarha KHvaab men pa kar mujhe pyaasa mohsinus kii zulfon ne kiya rak's ghataon jaisa

Mohsin Naqvi

1 likes

ab ye sochun to bhanwar zehan men pad jaate hain kaise chehre hain jo milte hi bichhad jaate hain kyun tire dard ko den tohmat-e-veeraani-e-dil zalzalon men to bhare shahar ujad jaate hain mausam-e-zard men ik dil ko bachaaun kaise aisi rut men to ghane ped bhi jhad jaate hain ab koi kya mire qadmon ke nishaan dhundega tez aandhi men to khe men bhi ukhad jaate hain shagl-e-arbaab-e-hunar poochte kya ho ki ye log pattharon men bhi kabhi aaine jad jaati hain soch ka aaina dhundla ho to phir vaqt ke saath chaand chehron ke khud-o-khaal bigad jaate hain shiddat-e-gham men bhi zinda hooñ to hairat kaisi kuchh diye tund hawaon se bhi lad jaate hain vo bhi kya log hain mohsin jo vafaa ki khaatir khud-taraashida usoolon pe bhi ad jaate hain

Mohsin Naqvi

2 likes

hawa-e-hijr men jo kuchh tha ab ke KHaak hua ki pairhan to gaya tha badan bhi chaak hua ab us se tark-e-taalluq karoon to mar jaaun badan se rooh ka is darja ishtiraak hua yahii ki sab ki kamaanein humeen pe tooti hain chalo hisaab-e-saf-e-dostaan to paak hua vo be-sabab yoonhi rootha hai lamha-bhar ke li.e ye saanehaa na sahi phir bhi karb-naak hua usii ke qurb ne taqseem kar diya aaKHir vo jis ka hijr mujhe wajh-e-inhimaak hua shadeed vaar na dushman diler tha mohsin main apni be-khabri se magar halaak hua

Mohsin Naqvi

0 likes

jab se us ne shahar ko chhodaa har rastaa sunsaan hua apna kya hai saare shahar ka ik jaisa nuksaan hua ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun vahmon ka soch raha hooñ is nagri men tu kab se mehmaan hua sehra ki munh-zor hawaaein auron se mansoob hui muft men ham aawaara thehre muft men ghar veeraan hua mere haal pe hairat kaisi dard ke tanhaa mausam men patthar bhi ro padte hain insaan to phir insaan hua itni der men ujde dil par kitne mahshar beet ga.e jitni der men tujh ko pa kar khone ka imkaan hua kal tak jis ke gird tha raksaan ik amboh sitaaron ka aaj usii ko tanhaa pa kar main to bahut hairaan hua us ke zakham chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazaron seus se kaisa shikwa kijeye vo to abhii naadaan hua jin ashkon ki feeki lau ko ham be-kaar samjhte the un ashkon se kitna raushan ik tareek makaan hua yuñ bhi kam-aamez tha mohsin vo is shahar ke logon men lekin mere saamne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua

Mohsin Naqvi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mohsin Naqvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mohsin Naqvi's ghazal.