ghazalKuch Alfaaz

jab bhi us shaKHs ko dekha jaa.e kuchh kaha jaa.e na socha jaa.e deeda-e-kor hai qaryaa qaryaa aaina kis ko dikhaaya jaa.e daaman-e-ahd-e-wafa kya tha main dil hi haathon se jo niklaa jaa.e dard-mandon se taghaaful kab takus ko ehsaas dilaayaa jaa.e kya vo itnaa hi haseen lagta hai is ko nazdeek se dekha jaa.e vo kabhi sur hai kabhi rang amjadus ko kis naam se dhoonda jaa.e

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

More from Amjad Islam Amjad

na aasmaañ se na dushman ke zor o zar se hua ye mojza to mire dast-e-be-hunar se hua qadam utha hai to paanv tale zameen hi nahin safar ka ranj ha men khwaahish-e-safar se hua main bheeg bheeg gaya aarzoo ki baarish men vo aks aks men taqseem chashm-e-tar se hua siyaahi shab ki na chehron pe aa gaii ho kahii sehar ka khauf ha men aainon ke dar se hua koi chale to zameen saath saath chalti hai ye raaz ham pe ayaan gard-e-rahguzar se hua tire badan ki mahak hi na thii to kya rukte guzar hamaara kaii baar yuñ to ghar se hua kahaan pe soye the amjad kahaan khuliin aañkhen gumaan qafas ka ha men apne baam-o-dar se hua

Amjad Islam Amjad

1 likes

yaad ke sehra men kuchh to zindagi aa.e nazar sochta hooñ ab banaa luun ret se hi koi ghar kis qadar yaaden ubhar aayi hain tere naam se ek patthar feknne se pad ga.e kitne bhanwar vaqt ke andhe kuein men pal rahi hai zindagi ai mire husn-e-takhayyul baam se neeche utar tu aseer-e-aabroo-e-sheva-e-pindaar-e-husn main giraftaar-e-nigaah-e-zindagi-e-mukhtasar zabt ke qarye men amjad dekhiye kaise kate soch ki sooni sadak par yaad ka lamba safar

Amjad Islam Amjad

0 likes

parde men laakh phir bhi numoodaar kaun hai hai jis ke dam se garmi-e-baazaar kaun hai vo saamne hai phir bhi dikhaai na de sake mere aur us ke beech ye deewaar kaun hai baagh-e-wafaa men ho nahin saka ye faisla sayyaad yaa pe kaun girftaar kaun hai maana nazar ke saamne hai be-shumaar dhund hai dekhna ki dhund ke is paar kaun hai kuchh bhi nahin hai paas pe rehta hai phir bhi KHush sab kuchh hai jis ke paas vo bezaar kaun hai yuñ to dikhaai dete hain asraar har taraf khulta nahin ki saahib-e-asraar kaun hai amjad alag si aap ne khuli hai jo dukaaan jins-e-hunar ka yaa ye khareedaar kaun hai

Amjad Islam Amjad

0 likes

agarche koi bhi andha nahin tha likha deewaar ka padhta nahin tha kuchh aisi barf thii us ki nazar men guzarne ke li.e rastaa nahin tha tumhi ne kaun si achchaai ki hai chalo maana ki main achha nahin tha khulii aankhoñ se saari umr dekha ik aisa KHvaab jo apna nahin tha main us ki anjuman men tha akela kisi ne bhi mujhe dekha nahin tha sehar ke vaqt kaise chhod jaata tumhaari yaad thii sapna nahin tha khadi thii raat khidki ke sirhaane dariche men vo chaand utara nahin tha dilon men girne waale ashk chunta kahii ik jauhri aisa nahin tha kuchh aisi dhoop thii un ke saroon par KHuda jaise ghareebon ka nahin tha abhii harfon men rang aate kahaan se abhii main ne use likkha nahin tha thii poori shakl us ki yaad mujh ko magar main ne use dekha nahin tha barhana KHvaab the suraj ke neeche kisi ummeed ka parda nahin tha hai amjad aaj tak vo shaKHs dil men ki jo us vaqt bhi meraa nahin tha

Amjad Islam Amjad

0 likes

raat main is kashmakash men ek pal soya nahin kal main jab jaane laga to us ne kyun roka nahin yuñ agar sochun to ik ik naqsh hai seene pe naqsh haaye vo chehra ki phir bhi aankh men banta nahin kyun udaati phir rahi hai dar-b-dar mujh ko hawa main agar ik shaakh se toota hua patta nahin aaj tanhaa hooñ to kitna ajnabi maahol hai ek bhi raaste ne tere shahar men roka nahin harf barg-e-khushk ban kar tootte girte rahe guncha-e-arz-e-tamanna hont par foota nahin dard ka rastaa hai ya hai saa'at-e-roz-e-hisaab saikron logon ko roka ek bhi thehra nahin shabnami aankhoñ ke jugnoo kaanpate honton ke phool ek lamha tha jo amjad aaj tak guzra nahin

Amjad Islam Amjad

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Amjad Islam Amjad.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Amjad Islam Amjad's ghazal.