ghazalKuch Alfaaz

jab bhi ye dil udaas hota hai jaane kaun aas-paas hota hai aañkhen pahchaanti hain aankhoñ ko dard chehra-shanaas hota hai go barasti nahin sadaa aañkhen abr to baarah-maas hota hai chaal. pedon ki sakht hai lekin neeche nakhun ke maas hota hai zakham kahte hain dil ka gehna hai dard dil ka libaas hota hai das hi leta hai sab ko ishq kabhi saanp mauqa-shanaas hota hai sirf itnaa karam kiya kijeye aap ko j itnaa raas hota hai

Gulzar9 Likes

Related Ghazal

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

mujh...ko darwaaze par hi rok liya jaata hai mere aane se bhala aap ka kya jaata hai tum agar jaane lage ho to palat kar mat dekho maut likhkar to kalam tod diya jaata hai tujhko batlaata magar sharm bahut aati hai teri tasveer se jo kaam liya jaata hai

Tehzeeb Hafi

90 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

More from Gulzar

zikr aa.e to mire lab se duaaein niklen shama' jaltee hai to laazim hai shuaaein niklen vaqt ki zarb se kat jaate hain sab ke seene chaand ka chhalaka utar jaa.e to qaashein niklen dafn ho jaayen ki zarkhez zameen lagti hai kal isee miTTi se shaayad mirii shaakhen niklen chand ummeedein nichodhi theen to aahen tapkiin dil ko pighlaayein to ho saka hai saansen niklen ghaar ke munh pe rakha rahne do sang-e-khursheed ghaar men haath na daalo kahii raatein niklen

Gulzar

2 likes

har ek gham nichod ke har ik baras ji.e do din ki zindagi men hazaaron baras ji.e sadiyon pe ikhtiyaar nahin tha hamaara dost do chaar lamhe bas men the do chaar bas ji.e sehra ke us taraf se ga.e saare kaarwaan sun sun ke ham to sirf sada-e-jars ji.e honton men le ke raat ke aanchal ka ik sira aankhoñ pe rakh ke chaand ke honton ka mas ji.e mahdood hain duaaein mire ikhtiyaar men har saans pur-sukoon ho tu sau baras ji.e

Gulzar

3 likes

tinka tinka kaañte tode saari raat kataai ki kyun itni lambi hoti hai chaandni raat judaai ki neend men koi apne-aap se baatein karta rehta hai kaal-kue men goonjti hai awaaz kisi saudaai ki seene men dil ki aahat jaise koi jaasoos chale har saa.e ka peecha karna aadat hai harjaai ki aankhoñ aur kaanon men kuchh sannaate se bhar jaate hain kya tum ne udti dekhi hai ret kabhi tanhaaii ki taaron ki raushan faslen aur chaand ki ek daraanti thii sahoo ne girvi rakh li thii meri raat kataai ki

Gulzar

0 likes

tujh ko dekha hai jo dariyaa ne idhar aate hue kuchh bhanwar doob ga.e paani men chakrate hue ham ne to raat ko daanton se pakad kar rakha cheena-jhapati men ufuq khulta gaya jaate hue main na hoonga to khizaan kaise kategi teri shokh patte ne kaha shaakh se murjhate hue hasratein apni bilaktiin na yatiimon ki tarah ham ko awaaz hi de lete zaraa jaate hue si li.e hont vo paakizaa nigaahen sun kar mailee ho jaati hai awaaz bhi dohraate hue

Gulzar

1 likes

jab bhi aankhoñ men ashk bhar aa.e log kuchh doobte nazar aa.e apna mehwar badal chuki thii zameen ham khala se jo laut kar aa.e chaand jitne bhi gum hue shab ke sab ke ilzaam mere sar aa.e chand lamhe jo laut kar aa.e raat ke aakhiri pahar aa.e ek goli gaii thii soo-e-falak ik parinde ke baal-o-par aa.e kuchh charaaghon ki saans toot gaii kuchh b-mushkil dam-e-sehar aa.e mujh ko apna pata-thikaana mile vo bhi ik baar mere ghar aa.e

Gulzar

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Gulzar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Gulzar's ghazal.