ghazalKuch Alfaaz

jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyuun hai zindagi roz nae rang badalti kyuun hai dhuup ke qahr ka dar hai to dayar-e-shab se sar-barahna koi parchhain nikalti kyuun hai mujh ko apna na kaha is ka gila tujh se nahin is ka shikva hai ki begana samajhti kyuun hai tujh se mil kar bhi na tanhai mitegi meri dil men rah rah ke yahi baat khatakti kyuun hai mujh se kya puchh rahe ho miri vahshat ka sabab bu-e-avara se puchho ki bhatakti kyuun hai jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai zindagi roz nae rang badalti kyun hai dhup ke qahr ka dar hai to dayar-e-shab se sar-barahna koi parchhain nikalti kyun hai mujh ko apna na kaha is ka gila tujh se nahin is ka shikwa hai ki begana samajhti kyun hai tujh se mil kar bhi na tanhai mitegi meri dil mein rah rah ke yahi baat khatakti kyun hai mujh se kya puchh rahe ho meri wahshat ka sabab bu-e-awara se puchho ki bhatakti kyun hai

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shahryar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shahryar's ghazal.