ghazalKuch Alfaaz

jab hua irfaan to gham aaraam-e-jaan banta gaya soz-e-jaanaan dil men soz-e-deegaraan banta gaya rafta rafta munqalib hoti gaii rasm-e-chaman dheere dheere naghma-e-dil bhi fugaan banta gaya main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar log saath aate ga.e aur kaarwaan banta gaya main to jab jaanoon ki bhar de saaghar-e-har-khaas-o-aam yuñ to jo aaya vahii peer-e-mugaan banta gaya jis taraf bhi chal pade ham aabla-paayaan-e-shauq khaar se gul aur gul se gulsitaan banta gaya sharh-e-gham to mukhtasar hoti gaii us ke huzoor lafz jo munh se na niklaa dastaan banta gaya dehr men majrooh koi jaavedaan mazmoon kahaan main jise chhoota gaya vo jaavedaan banta gaya

Related Ghazal

phir mirii yaad aa rahi hogii phir vo deepak bujha rahi hogii phir mire facebook pe aa kar vo KHud ko banner banaa rahi hogii apne bete ka choom kar maatha mujh ko teeka laga rahi hogii phir usii ne use chhua hogaa phir usii se nibha rahi hogii jism chadar sa bich gaya hogaa rooh silvat hata rahi hogii phir se ik raat kat gaii hogii phir se ik raat aa rahi hogii

Kumar Vishwas

53 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

sabne dil se use utaara tha vo mari kab thii us..ko maara tha pairo'n men girke jeeta tha jis..ko us..ko paane men KHudko haara tha tere mere men bat gaya sabkuchh ek taaim tha sab hamaara tha uski yaadon men dil jale hai ab jiska chehra nahin gawara tha maine vo khoya jo meraa nahin tha tumne vo khoya jo tumhaara tha jeet sakaa tha usse main kaatib par bade hausale se haara tha

Himanshi babra KATIB

43 likes

maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga

Tehzeeb Hafi

241 likes

More from Majrooh Sultanpuri

aah-e-jaan-soz ki mahroomi-e-taaseer na dekh ho hi jaayegi koi jeene ki tadbeer na dekh haadse aur bhi guzre tiri ulfat ke siva haan mujhe dekh mujhe ab meri tasveer na dekh ye zaraa door pe manzil ye ujaala ye sukoon KHvaab ko dekh abhii KHvaab ki taabeer na dekh dekh zindaan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar raqs karna hai to phir paanv ki zanjeer na dekh kuchh bhi hooñ phir bhi dukhe dil ki sadaa hooñ naadaan meri baaton ko samajh talkhi-e-taqreer na dekh vahii majrooh vahii shaair-e-aawara-mizaaj koi utha hai tiri bazm se dil-geer na dekh

Majrooh Sultanpuri

1 likes

yuñ to aapas men bigadte hain KHafaa hote hain milne waale kahii ulfat men juda hote hain hain zamaane men ajab cheez mohabbat waale dard KHud bante hain KHud apni davaa hote hain haal-e-dil mujh se na poochho mirii nazrein dekho raaz dil ke to nigaahon se ada hote hain milne ko yuñ to mila karti hain sab se aañkhen dil ke aa jaane ke andaaz juda hote hain aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib log aisi hi adaaon pe fida hote hain

Majrooh Sultanpuri

4 likes

ham hain mata-e-koocha-o-bazaar ki tarah uthatii hai har nigaah khareedaar ki tarah is koo-e-tishnagi men bahut hai ki ek jaam haath aa gaya hai daulat-e-bedaar ki tarah vo to kahii hai aur magar dil ke aas-paas phirti hai koi shay nigah-e-yaar ki tarah seedhi hai raah-e-shauq pe yoonhi kahii kahii KHam ho gaii hai gesoo-e-dildaar ki tarah be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaan har naqsh-e-paa buland hai deewaar ki tarah ab ja ke kuchh khula hunar-e-naakhun-e-junoon zakham-e-jigar hue lab-o-rukhsaar ki tarah majrooh likh rahe hain vo ahl-e-wafa ka naam ham bhi khade hue hain gunahgaar ki tarah

Majrooh Sultanpuri

0 likes

Hamare baad ab mahfil mein afsaane bayaan honge

Majrooh Sultanpuri

2 likes

jala ke mish'al-e-jaan ham junoon-sifaat chale jo ghar ko aag lagaaye hamaare saath chale dayaar-e-shaam nahin manzil-e-sehr bhi nahin ajab nagar hai yahaañ din chale na raat chale hamaare lab na sahi vo dahan-e-zakhm sahi wahin pahunchti hai yaaro kahii se baat chale sutoon-e-daar pe rakhte chalo saroon ke charaaghh jahaan talak ye sitam ki siyaah raat chale hua aseer koi ham-nava to door talak ba-paas-e-tarz-e-nava ham bhi saath saath chale bacha ke laaye ham ai yaar phir bhi naqd-e-wafa agarche lutte rahe rahzano ke haath chale phir aayi fasl ki maanind barg-e-aawara hamaare naam gulon ke muraasalaat chale qataar-e-sheesha hai ya kaarwaan-e-ham-safaraan khiraam-e-jaam hai ya jaise kaayenaat chale bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai majrooh baghal men ham bhi li.e ik sanam ka haath chale

Majrooh Sultanpuri

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Majrooh Sultanpuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Majrooh Sultanpuri's ghazal.