ghazalKuch Alfaaz

yuñ to aapas men bigadte hain KHafaa hote hain milne waale kahii ulfat men juda hote hain hain zamaane men ajab cheez mohabbat waale dard KHud bante hain KHud apni davaa hote hain haal-e-dil mujh se na poochho mirii nazrein dekho raaz dil ke to nigaahon se ada hote hain milne ko yuñ to mila karti hain sab se aañkhen dil ke aa jaane ke andaaz juda hote hain aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib log aisi hi adaaon pe fida hote hain

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

More from Majrooh Sultanpuri

jab hua irfaan to gham aaraam-e-jaan banta gaya soz-e-jaanaan dil men soz-e-deegaraan banta gaya rafta rafta munqalib hoti gaii rasm-e-chaman dheere dheere naghma-e-dil bhi fugaan banta gaya main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar log saath aate ga.e aur kaarwaan banta gaya main to jab jaanoon ki bhar de saaghar-e-har-khaas-o-aam yuñ to jo aaya vahii peer-e-mugaan banta gaya jis taraf bhi chal pade ham aabla-paayaan-e-shauq khaar se gul aur gul se gulsitaan banta gaya sharh-e-gham to mukhtasar hoti gaii us ke huzoor lafz jo munh se na niklaa dastaan banta gaya dehr men majrooh koi jaavedaan mazmoon kahaan main jise chhoota gaya vo jaavedaan banta gaya

Majrooh Sultanpuri

1 likes

koi ham-dam na raha koi sahaara na raha ham kisi ke na rahe koi hamaara na raha shaam tanhaaii ki hai aayegi manzil kaise jo mujhe raah dikha de vahii taara na raha ai nazaaro na haso mil na sakunga tum se tum mire ho na sake main bhi tumhaara na raha kya bataaun main kahaan yoonhi chala jaata hooñ jo mujhe phir se bula le vo ishaara na raha

Majrooh Sultanpuri

2 likes

aah-e-jaan-soz ki mahroomi-e-taaseer na dekh ho hi jaayegi koi jeene ki tadbeer na dekh haadse aur bhi guzre tiri ulfat ke siva haan mujhe dekh mujhe ab meri tasveer na dekh ye zaraa door pe manzil ye ujaala ye sukoon KHvaab ko dekh abhii KHvaab ki taabeer na dekh dekh zindaan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar raqs karna hai to phir paanv ki zanjeer na dekh kuchh bhi hooñ phir bhi dukhe dil ki sadaa hooñ naadaan meri baaton ko samajh talkhi-e-taqreer na dekh vahii majrooh vahii shaair-e-aawara-mizaaj koi utha hai tiri bazm se dil-geer na dekh

Majrooh Sultanpuri

1 likes

mujhe sahal ho gaiin manzilen vo hawa ke rukh bhi badal ga.e tira haath haath men aa gaya ki charaaghh raah men jal ga.e vo lajaaye mire sawaal par ki utha sake na jhuka ke sar udri zulf chehre pe is tarah ki shabon ke raaz machal ga.e vahii baat jo vo na kah sake mire sher-o-naghma men aa gaii vahii lab na main jinhen choo sakaa qadh-e-sharaab men dhal ga.e vahii aastaan hai vahii jabeen vahii ashk hai vahii aasteen dil-e-zaar tu bhi badal kahii ki jahaan ke taur badal ga.e tujhe chashm-e-mast pata bhi hai ki shabaab garmi-e-bazm hai tujhe chashm-e-mast khabar bhi hai ki sab aabgeene pighal ga.e mire kaam aa gaiin aakhirsh yahii kaavishein yahii gardishein badhin is qadar mirii manzilen ki qadam ke khaar nikal ga.e vahii aastaan hai vahii jabeen vahii ashk hai vahii aasteen dil-e-zaar tu bhi badal kahii ki jahaan ke taur badal ga.e tujhe chashm-e-mast pata bhi hai ki shabaab garmi-e-bazm hai tujhe chashm-e-mast khabar bhi hai ki sab aabgeene pighal ga.e mire kaam aa gaiin aakhirsh yahii kaavishein yahii gardishein badhin is qadar mirii manzilen ki qadam ke khaar nikal ga.e

Majrooh Sultanpuri

0 likes

ham ko junoon kya sikhaate ho ham the pareshaan tum se ziyaada chaak ki.e hain ham ne azeezo chaar garebaan tum se ziyaada chaak-e-jigar mohtaaj-e-rafoo hai aaj to daaman sarf-e-lahu hai ik mausam tha ham ko raha hai shauq-e-bahaaraan tum se ziyaada ahad-e-wafaa yaaron se nibhaayein naaz-e-harifaan hañs ke uthaaye jab ha men armaan tum se siva tha ab hain pashemaan tum se ziyaada ham bhi hamesha qatl hue aur tum ne bhi dekha door se lekin ye na samajhna ham ko hua hai jaan ka nuqsaan tum se ziyaada jaao tum apne baam ki khaatir saari love shamon ki katar lo zakham ke mehr-o-maah salaamat jashn-e-charaagaan tum se ziyaada dekh ke uljhan zulf-e-dota ki kaise uljh padte hain hawa se ham se seekho ham ko hai yaaro fikr-e-nigaaraan tum se ziyaada zanjeer o deewaar hi dekhi tum ne to majrooh magar ham koocha koocha dekh rahe hain aalam-e-zindaan tum se ziyaada

Majrooh Sultanpuri

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Majrooh Sultanpuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Majrooh Sultanpuri's ghazal.