jab se qareeb ho ke chale zindagi se ham KHud apne aaine ko lage ajnabi se ham kuchh door chal ke raaste sab ek se lage milne ga.e kisi se mil aa.e kisi se ham achchhe bure ke farq ne bastii ujaad dii majboor ho ke milne lage har kisi se ham shaista mehfilon ki fazaaon men zahar tha zinda bache hain zehan ki aawaargi se ham achchhii bhalii thii duniya guzaare ke vaaste uljhe hue hain apni hi khud-aagahi se ham jungle men door tak koi dushman na koi dost maanoos ho chale hain magar bombay se ham
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare
Kumar Vishwas
56 likes
paraai aag pe roti nahin banaoonga main bheeg jaaunga chhatri nahin banaoonga agar KHuda ne banaane ka ikhtiyaar diya alam banaoonga barchi nahin banaoonga fareb de ke tira jism jeet luun lekin main ped kaat ke kashtii nahin banaoonga gali se koi bhi guzre to chaunk uthata hooñ naye makaan men khidki nahin banaoonga main dushmanon se agar jang jeet bhi jaaun to un ki auratein qaai dii nahin banaoonga tumhein pata to chale be-zabaan cheez ka dukh main ab charaaghh ki lau hi nahin banaoonga main ek film banaoonga apne sarwat par aur is men rail ki patri nahin banaoonga
Tehzeeb Hafi
92 likes
chal diye fer kar nazar tum bhi gair to gair the magar tum bhi ye gali mere dilruba ki hai doston khairiyat idhar tum bhi mujhpe logon ke saath hanste ho log roenge khaas kar tum bhi mujh...ko thukra diya hai duniya ne main to mar jaaunga agar tum bhi uski gaadi to ja chuki taabish ab utho jaao apne ghar tum bhi
Zubair Ali Tabish
58 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
More from Nida Fazli
jaane waalon se raabta rakhna dosto rasm-e-faatihah rakhna ghar ki ta'aamir chahe jaisi hous men rone ki kuchh jagah rakhna masjidein hain namaaziyo ke li.e apne ghar men kahii KHuda rakhna jism men failne laga hai shahar apni tanhaaiyaan bacha rakhna milna-julna jahaan zaroori hai milne-julne ka hausla rakhna umr karne ko hai pachaas ko paar kaun hai kis jagah pata rakhna
Nida Fazli
1 likes
girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya
Nida Fazli
1 likes
chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain
Nida Fazli
0 likes
har ghadi KHud se uljhana hai muqaddar meraa main hi kashtii hooñ mujhi men hai samundar meraa kis se poochoon ki kahaan gum hooñ kaii barson se har jagah dhoondhta firta hai mujhe ghar meraa ek se ho ga.e mausamon ke chehre saare meri aankhoñ se kahii kho gaya manzar meraa muddatein beet gaiin KHvaab suhaana dekhe jaagta rehta hai har neend men bistar meraa aaina dekh ke niklaa tha main ghar se baahar aaj tak haath men mahfooz hai patthar meraa
Nida Fazli
1 likes
thehre jo kahii aankh tamasha nazar aa.e suraj men dhuaan chaand men sehra nazar aa.e raftaar se taabinda umeedon ke jharoke thehroon to har ik samt andhera nazar aa.e saancho men dhale qahqahe sochi hui baatein har shaKHs ke kaandhon pe janaaza nazar aa.e har raahguzar raasta bhoola hua baalak har haath men miTTi ka khilauna nazar aa.e khoi hain abhii main ke dhundlakon men nigaahen hat jaa.e ye deewaar to duniya nazar aa.e jis se bhi milen jhuk ke milen hañs ke hon ruksat akhlaaq bhi is shahar men pesha nazar aa.e
Nida Fazli
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nida Fazli.
Similar Moods
More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.







