jaageer agar bahut na mili ham koon gham nahin haasil hamaare mulk-e-qana'at ka kam nahin is saath mah-rukhan ko nahin kuchh baraabari yusuf se ye nigaar-e-pari-zaad kam nahin khush-soorataan se kya karoon main aashnaai ab mujh ko to in dinon men muyassar diram nahin dil baandhte nahin hain hamaare milaap par mah-talaataan men mujh ko to ab kuchh bharam nahin milte ho sab ke ja ke ghar aur ham soon ho kanaar kuchh ham to un chakoron se ai maah kam nahin zaahir ke dost aate nahin kaam vaqt par talwaar kaat kya kare jis ko jo dam nahin faaez ko bhaaya misra-e-yakrang ai sajan gar tum miloge un seti dekhoge ham nahin
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho
Himanshi babra KATIB
76 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
More from Faez Dehlvi
mujh paas kabhi vo qad-e-shamshaad na aaya is ghar mane vo dil-bar-e-ustaad na aaya gulshan mirii ankhiyaan men lage gulkhan-e-dozakh jo sair ko mujh saath pari-zaad na aaya saanjh aayi dio din bee hua fikr men aaKHir vo dil-bar-e-jaadugar-o-sayyaad na aaya aaya na hamn paas kiya va'da-khilaafi faaez ka kuchh ahvaal magar yaad na aaya
Faez Dehlvi
0 likes
mira mahboob sab ka man harn hai nazar kar dekh vo aahu nain hai nahin ab jag men waisa aur saajan mujhe soorat-shanaasi beech fan hai sabee deewane hain us mahlaqa ke magar vo dil-ruba jaadu nayan hai kare rask-e-gulistaan dil ko faaez mira saajan bahaar-e-anjuman hai
Faez Dehlvi
0 likes
meri jaañ vo baada-khwaari yaad hai waqt-e-masti giryaa-zaari yaad hai motiya ka haar o champa ki chhadi joda-e-daaman-kinaari yaad hai sab abhookan tere tan par khushnuma khoobi-e-angiya o saari yaad hai abr ka saaya o sabza raah ka jaan-e-man rath ki sawaari yaad hai koylaan ke naale amraai ke beechus samay ki be-qaraari yaad hai meh bee to tapkata tha boond boond faaez us din ki sawaari yaad hai
Faez Dehlvi
0 likes
guftam ki mukh tira kya guftaa suraj soon behtar guftam ki kaan ka dar guftaa ki bah z akhtar guftam dehaan-o-ruyat guftaa ki guncha-o-gul guftam kapool ka khaal guftaa ki qurs-e-ambaar guftam ki chashm-e-jaadoo guftaa ki dono khanjar guftam dhadi labaan ki guft az aqeeq behtar guftam kapool tere guftaa ki barg-e-laala guftam ki bosa tujh lab guftaa ki bah z shakkar guftam ki bhounha teri guftaa hilaal dono guftam ki zulf teri guftaa ki sumbul-e-tar guftam gada hooñ teraa guftaa sahi munaasib guftam aseer tujh koon guftaa tamaam kishwar guftam ki qad tumhaara guftaa ki sarv-e-tannaaz guftam ki dil tira kya guftaa ki sakht patthar guftam ada-o-ghamza guftaa bala-e-jaan-ha guftam itaab-o-qahrat guftaa ki haul-e-mahshar guftam ki faaez aaya guftaa ki khair-maqdam guftam kujaast jaa-ash guftaa ki bar-sar-e-dar
Faez Dehlvi
0 likes
yaar meraa miyaan-e-gulshan hai ghark-e-khoon phool ta-b-daman hai dil lubhaata hai sab ka vo saajan dil-farebi men us ko kya fan hai taare jiun dar hai jis ke halka-b-gosh vo bina gosh subh-e-raushan hai us nazaare se sab shaheed hue vo nayan kya bala-e-rah-zan hai kya bayaañ kar sakoon main gat us ki faaez at khush-ada sireejan hai
Faez Dehlvi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Faez Dehlvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Faez Dehlvi's ghazal.







