jalwe tujhe dikhaayenge bas intizaar kar ham kaun hain bataaenge bas intizaar kar jee bhar ke hamko KHoon ke aañsu rulaa tu aaj kal ham tujhe rulaayenge bas intizaar kar jab tak qalam se kaam chalega chalaaenge phir teg bhi uthaaenge bas intizaar kar KHaamosh hain to goonga samajh baitha hai ha men ham shor bhi machaayenge bas intizaar kar masnad pe tujhko hamne bithaaya hai ye na bhool ham hi tujhe uthaaenge bas intizaar kar
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
More from Varun Anand
kahii na aisa ho apna vaqaar kha jaa.e khizaan se phool bachaayein bahaar kha jaa.e hamaare jaisa kahaan dil kisi ka hogaa bhala jo dard pale rakhe aur qaraar kha jaa.e palat ke sang tiri aur fenk saka hooñ ki main vo qais nahin haan jo maar kha jaa.e usii ka daakhila is dasht men karo ab se jo sabr pee sake apna ghubaar kha jaa.e bahut qaraar hai thodii si be-qaraari de kahii na aisa ho mujh ko qaraar kha jaa.e ajab safeena hai ye vaqt ka safeena bhi jo apni god men baitha sawaar kha jaa.e
Varun Anand
11 likes
vafaa khuloos madad dekhbhaal bhool ga.e ab aise lafzon ka sab istimaal bhool ga.e manana roothna hijr-o-visaal bhool ga.e sabhi mohabbaton ka istimaal bhool ga.e nazar ke saamne vo ba-kamaal kya aaya ham apne hisse ke saare kamaal bhool ga.e qafas men lag gaya jee aakhirsh parindon ka jahaan se aa.e the vo daal-waal bhool ga.e futuur phir se chadha hai nayi muhabbat ka janab pichhli muhabbat ka haal bhool ga.e phir usne soch samajh kar ik aisi chaal chali ki jis..ko dekh ke sab apni chaal bhool ga.e diye jalane the par dil jala diye hamne ham apne fan ka sahi istimaal bhool ga.e
Varun Anand
9 likes
marham ke nahin hain ye taraf-daar namak ke nikle hain mire zakham talabgaar namak ke aaya koi sailaab kahaanii men achaanak aur ghul ga.e paani men vo kirdaar namak ke dono hi kinaaron pe thii beemaaron ki majlis is paar the meethe ke to us paar namak ke us ne hi diye zakham ye gardan pe hamaari phir us ne hi pahnaaye ha men haar namak ke kahti thii ghazal mujh ko hai marham ki zaroorat aur dete rahe sab use ashaar namak ke jis samt mila karti theen zaKHmon ki dawaayein sunte hain ki ab hain vahaañ bazaar namak ke
Varun Anand
9 likes
hamaari aankh se barsa hai ye kal raat ka paani samajh baithe ho jis ko aap bhi barsaat ka paani sataati hi nahin us..ko kabhi phir pyaas ki shiddat ki jo ik baar pee leta hai uske haath ka paani chalo achha hua aansoo bhi mere pee ga.e ye log chalo kuchh kaam to aaya mere jazbaat ka paani tumhaare vaaste bas naachne gaane ka mauqa hai museebat hai hamaare vaaste barsaat ka paani ye sehra hai yahaañ dariyaa samandar ki hi baatein hain yahaañ matlab nikalta hai sabhi ki baat ka paani
Varun Anand
15 likes
KHud apne KHoon men pahle nahaaya jaata hai vaqaar KHud nahin banta banaya jaata hai kabhi kabhi jo parinde bhi an-suna kar den to haal dil ka shajar ko sunaaya jaata hai hamaari pyaas ko zanjeer baandhi jaati hai tumhaare vaaste dariyaa bahaaya jaata hai nawaazta hai vo jab bhi azeezon ko apne to sab se baa'd men ham ko bulaayaa jaata hai humeen talash ke dete hain raasta sab ko humeen ko baa'd men raasta dikhaaya jaata hai
Varun Anand
9 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Varun Anand.
Similar Moods
More moods that pair well with Varun Anand's ghazal.







