ghazalKuch Alfaaz

jhuum ke jab rindon ne pila di shaikh ne chupke chupke du'a di ek kami thi taj-mahal men main ne tiri tasvir laga di aap ne jhuta va'da kar ke aaj hamari 'umr badha di haae ye un ka tarz-e-mohabbat aankh se bas ik buund gira di jhum ke jab rindon ne pila di shaikh ne chupke chupke du'a di ek kami thi taj-mahal mein main ne teri taswir laga di aap ne jhuta wa'da kar ke aaj hamari 'umr badha di hae ye un ka tarz-e-mohabbat aankh se bas ek bund gira di

Related Ghazal

tootne par koi aa.e to phir aisa toote ki jise dekh ke har dekhne vaala toote apne bikhre hue tukdon ko samete kab tak ek insaan ki khaatir koi kitna toote koi tukda teri aankhoñ men na chubh jaa.e kahii door ho ja ki mere KHvaab ka sheesha toote main kisi aur ko sochun to mujhe hosh aa.e main kisi aur ko dekhooñ to ye nashsha toote ranj hota hai to aisa ki bat aa.e na bane jab kisi apne ke bais koi apna toote paas baithe hue yaaron ko khabar tak na hui ham kisi baat pe is darja anokha toote itni jal dii to sambhalne ki tavakko na karo vaqt hi kitna hua hai meraa sapna toote daad ki bheek na maang ai mere achchhe shaayar ja tujhe meri dua hai teraa kaasa toote tu use kis ke bharose pe nahin kaat rahi charkh ko dekhne waali teraa charkha toote warna kab tak li.e firta rahoon us ko javvaad koi soorat ho ki ummeed se rishta toote

Jawwad Sheikh

31 likes

jo bhi izzat ke dar se dar jaa.e mat kare ishq apne ghar jaa.e baat aa jaa.e jab duao par isse behtar hai banda mar jaa.e thodii si aur der saamne rah meri aankhoñ ka pet bhar jaa.e al muhaimin ke ghar bhi khatre hai jaa.e bhi to koi kidhar jaa.e haan aqeeda agar na kaid rakhe phir to insaan kuchh bhi kar jaa.e bebaasi ki ye aakhiri had hai meri aulaad aap par jaa.e uske chehre par aaj udaasi thii haay afkaar alvee mar jaa.e

Afkar Alvi

38 likes

jin ke aangan men ameeri ka shajar lagta hai un ka har aib zamaane ko hunar lagta hai chaand taare mire qadmon men biche jaate hain ye buzurgon ki duaon ka asar lagta hai maa mujhe dekh ke naaraz na ho jaa.e kahii sar pe aanchal nahin hota hai to dar lagta hai

Anjum Rehbar

17 likes

apni manzil ka raasta bhejo jaan ham ko vahaañ bula bhejo kya hamaara nahin raha saawan zulf yaa bhi koi ghatta bhejo nayi kaliyaan jo ab khili hain vahaañ un ki khushboo ko ik zaraa bhejo ham na jeete hain aur na marte hain dard bhejo na tum davaa bhejo dhool udti hai jo us aangan meinus ko bhejo saba saba bhejo ai fakeero gali ke us gul ki tum ha men apni khaak-e-pa bhejo shafq-e-shaam-e-hijr ke haathon apni utri hui qaba bhejo kuchh to rishta hai tum se kam-bakhton kuchh nahin koi bad-dua bhejo

Jaun Elia

29 likes

KHushboo ki tarah aaya vo tez hawaon men maanga tha jise ham ne din raat duaon men tum chat pe nahin aa.e main ghar se nahin niklaa ye chaand bahut bhatka saawan ki ghataon men is shahar men ik ladki bilkul hai ghazal jaisi bijli si ghataon men KHushboo si adaaon men mausam ka ishaara hai KHush rahne do bacchon ko maasoom mohabbat hai phoolon ki khataaon men ham chaand sitaaron ki raahon ke musaafir hain ham raat chamakte hain tareek khalaon men bhagwaan hi bhejenge chaawal se bharii thaali mazloom parindon ki maasoom sabhaaon men daada bade bhole the sab se yahii kahte the kuchh zahar bhi hota hai angrezee davaaon men

Bashir Badr

19 likes

More from Kaif Bhopali

tum se na mil ke KHush hain vo daava kidhar gaya do roz men gulaab sa chehra utar gaya jaan-e-bahaar tum ne vo kaañte chubhoye hain main har gul-e-shagufta ko choone se dar gaya is dil ke tootne ka mujhe koi gham nahin achha hua ki paap kata dard-e-sar gaya main bhi samajh raha hooñ ki tum tum nahin rahe tum bhi ye soch lo ki mira kaif mar gaya

Kaif Bhopali

0 likes

khaanqaah men sufi munh chhu paa.e baitha hai ghaliban zamaane se maat khaaye baitha hai qatl to nahin badla qatl ki ada badli teer ki jagah qaateel saaz uthaaye baitha hai un ke chaahne waale dhoop dhoop firte hain gair un ke kooche men saa.e saa.e baitha hai waaye aashiq-e-naadaan kaayenaat ye teri ik shikasta sheeshe ko dil banaaye baitha hai door baarish ai gulchein vaa hai deeda-e-nargis aaj har gul-e-nargis khaar khaaye baitha hai

Kaif Bhopali

0 likes

teraa chehra kitna suhaana lagta hai tere aage chaand puraana lagta hai tirche tirche teer nazar ke lagte hain seedha seedha dil pe nishaana lagta hai aag ka kya hai pal do pal men lagti hai bujhte bujhte ek zamaana lagta hai paanv na baandha panchi ka par baandha aaj ka bachcha kitna siyaana lagta hai sach to ye hai phool ka dil bhi chhalni hai hansta chehra ek bahaana lagta hai sunne waale ghanton sunte rahte hain meraa fasana sab ka fasana lagta hai kaif bataa kya teri ghazal men jaadu hai bachcha bachcha teraa deewana lagta hai

Kaif Bhopali

2 likes

daagh duniya ne diye zakham zamaane se mile ham ko tohfe ye tumhein dost banaane se mile ham tarsate hi tarsate hi tarsate hi rahe vo falaane se falaane se falaane se mile KHud se mil jaate to chaahat ka bharam rah jaata kya mile aap jo logon ke milaane se mile maa ki aaghosh men kal maut ki aaghosh men aaj ham ko duniya men ye do vaqt suhaane se mile kabhi likhwaane ga.e khat kabhi padhwaane ga.e ham haseenon se isee heele bahaane se mile ik naya zakham mila ek nayi umr mili jab kisi shahar men kuchh yaar purane se mile ek ham hi nahin firte hain li.e qissa-e-gham un ke KHaamosh labon par bhi fasaane se mile kaise maane ki unhen bhool gaya tu ai kaif un ke khat aaj ha men tere sirhaane se mile

Kaif Bhopali

9 likes

salaam us par agar aisa koi fankaar ho jaa.e siyaahi KHoon ban jaa.e qalam talwaar ho jaa.e zamaane se kaho kuchh saiqaa-raftaar ho jaa.e hamaare saath chalne ke li.e taiyyaar ho jaa.e zamaane ko tamannaa hai tira deedaar karne ki mujhe ye fikr hai mujh ko mira deedaar ho jaa.e vo zulfen saanp hain be-shak agar zanjeer ban jaayen mohabbat zahar hai be-shak agar aazaar ho jaa.e mohabbat se tumhein sarkaar kahte hain wagarana ham nigaahen daal den jis par vahii sarkaar ho jaa.e

Kaif Bhopali

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaif Bhopali.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaif Bhopali's ghazal.