salaam us par agar aisa koi fankaar ho jaa.e siyaahi KHoon ban jaa.e qalam talwaar ho jaa.e zamaane se kaho kuchh saiqaa-raftaar ho jaa.e hamaare saath chalne ke li.e taiyyaar ho jaa.e zamaane ko tamannaa hai tira deedaar karne ki mujhe ye fikr hai mujh ko mira deedaar ho jaa.e vo zulfen saanp hain be-shak agar zanjeer ban jaayen mohabbat zahar hai be-shak agar aazaar ho jaa.e mohabbat se tumhein sarkaar kahte hain wagarana ham nigaahen daal den jis par vahii sarkaar ho jaa.e
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
More from Kaif Bhopali
tum se na mil ke KHush hain vo daava kidhar gaya do roz men gulaab sa chehra utar gaya jaan-e-bahaar tum ne vo kaañte chubhoye hain main har gul-e-shagufta ko choone se dar gaya is dil ke tootne ka mujhe koi gham nahin achha hua ki paap kata dard-e-sar gaya main bhi samajh raha hooñ ki tum tum nahin rahe tum bhi ye soch lo ki mira kaif mar gaya
Kaif Bhopali
0 likes
khaanqaah men sufi munh chhu paa.e baitha hai ghaliban zamaane se maat khaaye baitha hai qatl to nahin badla qatl ki ada badli teer ki jagah qaateel saaz uthaaye baitha hai un ke chaahne waale dhoop dhoop firte hain gair un ke kooche men saa.e saa.e baitha hai waaye aashiq-e-naadaan kaayenaat ye teri ik shikasta sheeshe ko dil banaaye baitha hai door baarish ai gulchein vaa hai deeda-e-nargis aaj har gul-e-nargis khaar khaaye baitha hai
Kaif Bhopali
0 likes
haaye logon ki karam-farmaiyaan tohmaten badnaamiyaan ruswaaiyaan zindagi shaayad isee ka naam hai dooriyaan majbooriyaan tanhaaiyaan kya zamaane men yuñ hi kattee hai raat karvatein betaabiyaan angadaaiyaan kya yahii hoti hai shaam-e-intizaar aahaten ghabrahaten parchaaiyaan ek rind-e-mast ki thokar men hain shaahiyaan sultaaniyaan daraaiyaan ek paikar men simat kar rah gaiin khoobiyaan zebaaiyaan raanaaiyaan rah gaiin ik tifl-e-maktab ke huzoor hikmaten aagaahiyaan danaaiyan zakham dil ke phir hare karne lagin badliyaan barkha rutein purvaaiyaan deeda-o-daanista un ke saamne laghzishein naakaamiyaan paspaa-iyaan mere dil ki dhadkano men dhal gaiin choodiyaan mausiqiyaan shehnaaiyaan un se mil kar aur bhi kuchh badh gaiin uljhane fikren qayaas-aaraaiyaan kaif paida kar samundar ki tarah wusaaten khaamoshiyaan gehraaiyaan
Kaif Bhopali
2 likes
teraa chehra kitna suhaana lagta hai tere aage chaand puraana lagta hai tirche tirche teer nazar ke lagte hain seedha seedha dil pe nishaana lagta hai aag ka kya hai pal do pal men lagti hai bujhte bujhte ek zamaana lagta hai paanv na baandha panchi ka par baandha aaj ka bachcha kitna siyaana lagta hai sach to ye hai phool ka dil bhi chhalni hai hansta chehra ek bahaana lagta hai sunne waale ghanton sunte rahte hain meraa fasana sab ka fasana lagta hai kaif bataa kya teri ghazal men jaadu hai bachcha bachcha teraa deewana lagta hai
Kaif Bhopali
2 likes
thoda sa aks chaand ke paikar men daal de tu aa ke jaan raat ke manzar men daal de jis din mirii jabeen kisi dahleez par jhukeus din KHuda shigaaf mire sar men daal de allah tere saath hai mallaah ko na dekh ye tooti footi naav samundar men daal de aa tere maal o zar ko main taqdees bakhsh doon la apna maal o zar mirii thokar men daal de bhag aise rehnuma se jo lagta hai khizr sa jaane ye kis jagah tujhe chakkar men daal de is se tire makaan ka manzar hai bad-numa chingaari mire foos ke chappar men daal de main ne panaah dii tujhe baarish ki raat men tu jaate jaate aag mire ghar men daal de ai kaif jaagte tujhe pichhla pahar hua ab laash jaise jism ko bistar men daal de
Kaif Bhopali
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaif Bhopali.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaif Bhopali's ghazal.







