haaye logon ki karam-farmaiyaan tohmaten badnaamiyaan ruswaaiyaan zindagi shaayad isee ka naam hai dooriyaan majbooriyaan tanhaaiyaan kya zamaane men yuñ hi kattee hai raat karvatein betaabiyaan angadaaiyaan kya yahii hoti hai shaam-e-intizaar aahaten ghabrahaten parchaaiyaan ek rind-e-mast ki thokar men hain shaahiyaan sultaaniyaan daraaiyaan ek paikar men simat kar rah gaiin khoobiyaan zebaaiyaan raanaaiyaan rah gaiin ik tifl-e-maktab ke huzoor hikmaten aagaahiyaan danaaiyan zakham dil ke phir hare karne lagin badliyaan barkha rutein purvaaiyaan deeda-o-daanista un ke saamne laghzishein naakaamiyaan paspaa-iyaan mere dil ki dhadkano men dhal gaiin choodiyaan mausiqiyaan shehnaaiyaan un se mil kar aur bhi kuchh badh gaiin uljhane fikren qayaas-aaraaiyaan kaif paida kar samundar ki tarah wusaaten khaamoshiyaan gehraaiyaan
Related Ghazal
thehraav to us men tha hi nahin rukti thii nikal liya karti thii main kapde badalte sochta tha vo mard badal liya karti thii mujhe apne banaaye raaston par bhi joote pahanna padte the vo logon ke seene par bhi joote utaar kar chal liya karti thii mere haath zaboob ho jaate the mere chash men syaah ho jaate the main us..ko naqaab ka kahtaa tha vo kaalikh mal liya karti thii us aurat ne bezaar kiya ik baar nahin sau baar kiya gaanon pe uchhal nahin paati thii baaton pe uchhal liya karti thii tareeq mahal ko shaahzaa dii ne raushan rakha kaneezon se kabhi unko jala liya karti thii kabhi unse jal liya karti thii aadaab-e-tijaarat se bhi na-waaqif thii sher-o-adab ki tarah mujhe waisa pyaar nahin deti thii jaisi ghazal liya karti thii
Muzdum Khan
30 likes
kal shab libaas usne jo pahna gulaab ka KHushboo gulaab ki kahii charcha gulaab ka dekhi haseen logon ki aulaad bhi haseen paudhe se ugta dekha hai paudha gulaab ka main tha gulaab todne waalon ke shahar se aur us..ko chahiye tha bagicha gulaab ka sunte ho aaj toot gaya laadle ka dil ab uske aage zikr na karna gulaab ka
Kushal Dauneria
30 likes
ik zara sa toot kar mismar ho jaata hai kya aaiine ka aaina bekar ho jaata hai kya aaj kal mayus waapas aa rahe hain qafile aaj kal us dar se bhi inkaar ho jaata hai kya haath paanv maarnay se ho nahin saka agar doob jaane se samandar paar ho jaata hai kya aalam-e-tanhaai men bhi uskaa aisa khauf hai zehan men hota hai kya izhaar ho jaata hai kya haay uskaa is qadar maasoomiyat se poochna ladkiyon ko ladkiyon se pyaar ho jaata hai kya
Zia Mazkoor
28 likes
is tarah talkh nawaai se nahin chaltaa hai kaam duniya men buraai se nahin chaltaa hai pyaar zinda hai zamaane men bhale logon se pyaar ka naam ladai se nahin chaltaa hai mere bacchon ki ibadat bhi hai is men shaamil ghar faqat meri kamaai se nahin chaltaa hai
Abrar Kashif
20 likes
khayal men bhi use be-rida nahin kiya hai ye zulm mujhse nahin ho sakaa nahin kiya hai main ek shaKHs ko eimaan jaanta hooñ to kya KHuda ke naam par logon ne kya nahin kiya hai isi li.e to main roya nahin bichhadte samay tujhe ravana kiya hai juda nahin kiya hai ye bad-tameez agar tujhse dar rahe hain to phir tujhe bigaad kar maine bura nahin kiya hai
Ali Zaryoun
48 likes
More from Kaif Bhopali
khaanqaah men sufi munh chhu paa.e baitha hai ghaliban zamaane se maat khaaye baitha hai qatl to nahin badla qatl ki ada badli teer ki jagah qaateel saaz uthaaye baitha hai un ke chaahne waale dhoop dhoop firte hain gair un ke kooche men saa.e saa.e baitha hai waaye aashiq-e-naadaan kaayenaat ye teri ik shikasta sheeshe ko dil banaaye baitha hai door baarish ai gulchein vaa hai deeda-e-nargis aaj har gul-e-nargis khaar khaaye baitha hai
Kaif Bhopali
0 likes
tum se na mil ke KHush hain vo daava kidhar gaya do roz men gulaab sa chehra utar gaya jaan-e-bahaar tum ne vo kaañte chubhoye hain main har gul-e-shagufta ko choone se dar gaya is dil ke tootne ka mujhe koi gham nahin achha hua ki paap kata dard-e-sar gaya main bhi samajh raha hooñ ki tum tum nahin rahe tum bhi ye soch lo ki mira kaif mar gaya
Kaif Bhopali
0 likes
salaam us par agar aisa koi fankaar ho jaa.e siyaahi KHoon ban jaa.e qalam talwaar ho jaa.e zamaane se kaho kuchh saiqaa-raftaar ho jaa.e hamaare saath chalne ke li.e taiyyaar ho jaa.e zamaane ko tamannaa hai tira deedaar karne ki mujhe ye fikr hai mujh ko mira deedaar ho jaa.e vo zulfen saanp hain be-shak agar zanjeer ban jaayen mohabbat zahar hai be-shak agar aazaar ho jaa.e mohabbat se tumhein sarkaar kahte hain wagarana ham nigaahen daal den jis par vahii sarkaar ho jaa.e
Kaif Bhopali
1 likes
daagh duniya ne diye zakham zamaane se mile ham ko tohfe ye tumhein dost banaane se mile ham tarsate hi tarsate hi tarsate hi rahe vo falaane se falaane se falaane se mile KHud se mil jaate to chaahat ka bharam rah jaata kya mile aap jo logon ke milaane se mile maa ki aaghosh men kal maut ki aaghosh men aaj ham ko duniya men ye do vaqt suhaane se mile kabhi likhwaane ga.e khat kabhi padhwaane ga.e ham haseenon se isee heele bahaane se mile ik naya zakham mila ek nayi umr mili jab kisi shahar men kuchh yaar purane se mile ek ham hi nahin firte hain li.e qissa-e-gham un ke KHaamosh labon par bhi fasaane se mile kaise maane ki unhen bhool gaya tu ai kaif un ke khat aaj ha men tere sirhaane se mile
Kaif Bhopali
9 likes
na aaya mazaa shab ki tanhaaiyon men sehar ho gaii chand angadaaiyon men na rangeeniyon men na raanaaiyon men nazar ghir gaii apni parchaaiyon men mujhe muskuraa muskuraa kar na dekho mire saath tum bhi ho rusvaaiyon men ghazab ho gaya un ki mehfil se aanaa ghira ja raha hooñ tamaashaaiyon men mohabbat hai ya aaj tark-e-mohabbat zaraa mil to jaayen vo tanhaaiyon men idhar aao tum ko nazar lag na jaa.e chhupa luun tumhein dil ki gahraaiyon men are sunne waalo ye nag men nahin hain mire dil ki cheekhen hain shehnaaiyon men vo ai kaif jis din se mire hue hain to saara zam aanaa hai shaidaaiyon men
Kaif Bhopali
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaif Bhopali.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaif Bhopali's ghazal.







