thehraav to us men tha hi nahin rukti thii nikal liya karti thii main kapde badalte sochta tha vo mard badal liya karti thii mujhe apne banaaye raaston par bhi joote pahanna padte the vo logon ke seene par bhi joote utaar kar chal liya karti thii mere haath zaboob ho jaate the mere chash men syaah ho jaate the main us..ko naqaab ka kahtaa tha vo kaalikh mal liya karti thii us aurat ne bezaar kiya ik baar nahin sau baar kiya gaanon pe uchhal nahin paati thii baaton pe uchhal liya karti thii tareeq mahal ko shaahzaa dii ne raushan rakha kaneezon se kabhi unko jala liya karti thii kabhi unse jal liya karti thii aadaab-e-tijaarat se bhi na-waaqif thii sher-o-adab ki tarah mujhe waisa pyaar nahin deti thii jaisi ghazal liya karti thii
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
More from Muzdum Khan
hamaara dil jab nahin laga to sawaal paida hua lagega javaab men hamne kah diya theek hai magar aur kya lagega yuhi kabhi teer choom kar vo meri taraf chhod de kamaan se meraa muqaddar to is tarah ka hai teer dushman ko ja lagega ki dost aise muaashre men muaashqa chahte hain mujhse main jis men thappad bhi khaana chaahoon to vo bhi burke men aa lagega hamaara naqsha kirayaa mehnat dimaag lagta hai raaston par tumhaari to insey dosti hai tumhaara to shukriya lagega mushaayaron men ghazal nahin log sirf huliyo ko dekhte hain meraa bhi ek dost hai jo hansne ke baad john alia lagega
Muzdum Khan
11 likes
vo jo meri taabkaari men pighalne lag gaya jo sitaara bhi nahin tha vo bhi jalne lag gaya khoobsurat auraton ne kar dii beenaai ata aankh malne vaala aaKHir haath malne lag gaya doosra paanv nahin rakhne diya maine use pehla paanv rakhte hi chashma ubalne lag gaya
Muzdum Khan
8 likes
mujhe na maangti to bolti KHuda do mujhe bacha liya hai gunaah se tumhein dua do mujhe ye log dekh rahen hain meri chamak men tumhein kahii akelaa jalana abhii bujha do mujhe mujhe kisi se muhabbat nahin tumhaare siva tumhein kisi se muhabbat hai to bataa do mujhe
Muzdum Khan
11 likes
duniya mere KHilaaf thii tu bhi KHilaaf hai ye sach nahin hai hai to mujhe ikhtilaaf hai jo bhi kare jahaan bhi kare jis tarah kare us..ko meri taraf se sabhi kuchh muaaf hai bheege hue hai daaman-o-roomaal-o-aasteen haalanki aasmaan pe matla bhi saaf hai awaaz hi sooni na ho jis shaKHs ne kabhi uske li.e main jo bhi kahooñ inkishaaf hai badnaam ho gaya hooñ mohabbat men naam par muzdam ye meraa sabse badaa eitraaf hai
Muzdum Khan
9 likes
bistar ko jhatkna padta hai kapdo ko badalna padta hai logon ko basar karne ke li.e kamron se nikalna padta hai ham un baagon men khilte hai jin baagon men khushboo ke li.e phoolon ko uchkana padta hai,कलियों ko masalna padta hai pahli ko bhulaane ke li.e doosri aurat laai jaati hai ik zahr ugalne ke li.e doosra zahr nigalna padta hai vo roz kahii se zakhami ho kar aa jaati hai aur mujhe kutto ko hatkana padta hai keeron ko kuchalna padta hai main pal men uske jism ki sair se faariq ho jaata hooñ magar mujhe is raftaar ko haasil karne ke li.e jalnaa padta hai shaadaab guzargaahon pe tere kaanto ki tijaarat hoti hai veeraan guzargaahon pe meri aankhoñ ko chhalakna padta hai taakheer se lautne waalon ki takleef bhi dohri hoti hai haathon ko bhi malna padta hai baahon ko bhi malna padta hai
Muzdum Khan
13 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Muzdum Khan.
Similar Moods
More moods that pair well with Muzdum Khan's ghazal.







