jigar aur dil ko bachaana bhi hai nazar aap hi se milaana bhi hai mohabbat ka har bhed paana bhi hai magar apna daaman bachaana bhi hai jo dil tere gham ka nishaana bhi hai qatil-e-jafa-e-zamaana bhi hai ye bijli chamakti hai kyun dam-b-dam chaman men koi aashiyana bhi hai khird ki itaaat zaroori sahi yahii to junoon ka zamaana bhi hai na duniya na uqba kahaan jaaie kahii ahl-e-dil ka thikaana bhi hai mujhe aaj saahil pe rone bhi do ki toofaan men muskurana bhi hai zamaane se aage to badhiye majaaz zamaane ko aage badhaana bhi hai
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
More from Asrar Ul Haq Majaz
khird ki itaaat zaroori sahi yahii to junoon ka zamaana bhi hai na duniya na uqba kahaan jaaie kahii ahl-e-dil ka thikaana bhi hai zamaane se aage to badhiye majaaz zamaane ko aage badhaana bhi hai mujhe aaj saahil pe rone bhi do ki toofaan men muskurana bhi hai
Asrar Ul Haq Majaz
11 likes
junoon-e-shauq ab bhi kam nahin hai magar vo aaj bhi barham nahin hai bahut mushkil hai duniya ka sanwarna tiri zulfon ka pech-o-kham nahin hai bahut kuchh aur bhi hai is jahaan men ye duniya mahaj gham hi gham nahin hai taqaze kyun karoon paiham na saaqi kise yaa fikr-e-besh-o-kam nahin hai udhar mashkook hai mirii sadaqat idhar bhi bad-gumaani kam nahin hai mirii barbaadiyon ka ham-nashino tumhein kya KHud mujhe bhi gham nahin hai abhii bazm-e-tarab se kya uthoon main abhii to aankh bhi pur-nam nahin hai b-ein sail-e-gham o sail-e-hawadis mira sar hai ki ab bhi KHam nahin hai majaaz ik baada-kash to hai yaqeenan jo ham sunte the vo aalam nahin hai
Asrar Ul Haq Majaz
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Asrar Ul Haq Majaz.
Similar Moods
More moods that pair well with Asrar Ul Haq Majaz's ghazal.







