ghazalKuch Alfaaz

jis samt bhi dekhooñ nazar aata hai ki tum ho ai jaan-e-jahaan ye koi tum sa hai ki tum ho ye KHvaab hai KHushboo hai ki jhonka hai ki pal hai ye dhund hai baadal hai ki saaya hai ki tum ho is deed ki saaat men kaii rang hain larzaan main hooñ ki koi aur hai duniya hai ki tum ho dekho ye kisi aur ki aañkhen hain ki meri dekhooñ ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho ye umr-e-gurezaan kahii thehre to ye jaanoon har saans men mujh ko yahii lagta hai ki tum ho har bazm men mauzoo-e-sukhan dil-zadgaan ka ab kaun hai sheerin hai ki leila hai ki tum ho ik dard ka faila hua sehra hai ki main hooñ ik mauj men aaya hua dariyaa hai ki tum ho vo vaqt na aa.e ki dil-e-zaar bhi soche is shahar men tanhaa koi ham sa hai ki tum ho aabaad ham aashufta-saron se nahin maqtal ye rasm abhii shahar men zinda hai ki tum ho ai jaan-e-'faraz itni bhi taufeeq kise thii ham ko gham-e-hasti bhi gawara hai ki tum ho

Ahmad Faraz10 Likes

Related Ghazal

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

More from Ahmad Faraz

kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin

Ahmad Faraz

6 likes

karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use

Ahmad Faraz

3 likes

ab shauq se ki jaañ se guzar jaana chahiye bol ai hawa-e-shehr kidhar jaana chahiye kab tak isee ko aakhiri manzil kaheinge ham koo-e-muraad se bhi udhar jaana chahiye vo vaqt aa gaya hai ki saahil ko chhod kar gehre samundron men utar jaana chahiye ab raftagaan ki baat nahin kaarwaan ki hai jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye kuchh to suboot-e-khoon-e-tamanna kahii mile hai dil tahee to aankh ko bhar jaana chahiye ya apni khwahishon ko muqaddas na jaante ya khwahishon ke saath hi mar jaana chahiye

Ahmad Faraz

10 likes

jab bhi dil khol ke roye honge log aaraam se soye honge baaz auqaat b-majboori-e-dil ham to kya aap bhi roye honge subh tak dast-e-saba ne kya kya phool kaanton men piroey honge vo safeene jinhen toofaan na mile na-khudaon ne duboey honge raat bhar hanste hue taaron ne un ke aariz bhi bhigoye honge kya ajab hai vo mile bhi hon faraaz ham kisi dhyaan men khoye honge

Ahmad Faraz

7 likes

kya aise kam-sukhan se koi guftugoo kare jo mustaqil sukoot se dil ko lahu kare ab to ha men bhi tark-e-maraasim ka dukh nahin par dil ye chahta hai ki aaghaaz tu kare tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi KHud ko ganwa ke kaun tiri justuju kare ab to ye aarzoo hai ki vo zakham khaaiye ta-zindagi ye dil na koi aarzoo kare tujh ko bhula ke dil hai vo sharminda-e-nazar ab koi haadsa hi tire roo-b-roo kare chup-chaap apni aag men jalte raho faraaz duniya to arz-e-haal se be-aabroo kare

Ahmad Faraz

8 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Faraz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.