jis se ye tabeeyat badi mushkil se lagii thii dekha to vo tasveer har ik dil se lagii thii tanhaaii men rote hain ki yuñ dil ko sukoon ho ye chot kisi sahib-e-mehfil se lagii thii ai dil tire aashob ne phir hashr jagaaya bedard abhii aankh bhi mushkil se lagii thii khilqat ka ajab haal tha us koo-e-sitam men saa.e ki tarah daaman-e-qaatil se lagii thii utara bhi to kab dard ka chadhta hua dariyaa jab kashti-e-jaan maut ke saahil se lagii thii
Related Ghazal
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhein achha lagega main jis koshish se us..ko bhool jaane men laga hooñ zyaada bhi agar lag jaaye to hafta lagega
Tehzeeb Hafi
174 likes
vo to achha hai ghazal teraa sahaara hai mujhe warna fikron ne to bas gher ke maara hai mujhe jiski tasveer main kaagaz pe banaa bhi na sakaa usne mehn dii se hatheli pe utaara hai mujhe ghair ke haath se marham mujhe manzoor nahin tum magar zakham bhi de do to gawara hai mujhe
Abrar Kashif
54 likes
More from Ahmad Faraz
vahshatein badhti gaiin hijr ke aazaar ke saath ab to ham baat bhi karte nahin gham-khwaar ke saath ham ne ik umr basar ki hai gham-e-yaar ke saath meer do din na ji.e hijr ke aazaar ke saath ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hain taq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath is qadar khauf hai ab shahar ki galiyon men ki log chaap sunte hain to lag jaate hain deewaar ke saath ek to KHvaab li.e firte ho galiyon galiyonus pe takraar bhi karte ho khareedaar ke saath shahar ka shahar hi naaseh ho to kya keejiega warna ham rind to bhir jaate hain do-chaar ke saath ham ko us shahar men ta'aamir ka sauda hai jahaan log men'maar ko chun dete hain deewaar ke saath jo sharf ham ko mila koocha-e-jaanaan se faraaz soo-e-maqtal bhi ga.e hain usii pindaar ke saath
Ahmad Faraz
3 likes
jo gair the vo isee baat par hamaare hue ki ham se dost bahut be-KHabar hamaare hue kise khabar vo mohabbat thii ya raqabat thii bahut se log tujhe dekh kar hamaare hue ab ik hujoom-e-shikasta-dilaan hai saath apne jinhen koi na mila hum-safar hamaare hue kisi ne gham to kisi ne mizaaj-e-gham bakhsha sab apni apni jagah chaaragar hamaare hue bujha ke taq ki shamein na dekh taaron ko isee junoon men to barbaad ghar hamaare hue vo e'timaad kahaan se faraaz laayenge kisi ko chhod ke vo ab agar hamaare hue
Ahmad Faraz
9 likes
yoonhi mar mar ke jiein vaqt guzaare jaayen zindagi ham tire haathon se na maare jaayen ab zameen par koi gautam na mohammad na maseeh aasmaanon se naye log utaare jaayen vo jo maujood nahin us ki madad chahte hain vo jo sunta hi nahin us ko pukaare jaayen baap larzaan hai ki pahunchee nahin baaraat ab tak aur ham-joliyaan dulhan ko sanwaare jaayen ham ki naadaan juwaari hain sabhi jaante hain dil ki baazi ho to jee jaan se haare jaayen taj diya tum ne dar-e-yaar bhi ukta ke faraaz ab kahaan dhooñdhne gham-khwaar tumhaare jaayen
Ahmad Faraz
4 likes
kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin
Ahmad Faraz
6 likes
ab shauq se ki jaañ se guzar jaana chahiye bol ai hawa-e-shehr kidhar jaana chahiye kab tak isee ko aakhiri manzil kaheinge ham koo-e-muraad se bhi udhar jaana chahiye vo vaqt aa gaya hai ki saahil ko chhod kar gehre samundron men utar jaana chahiye ab raftagaan ki baat nahin kaarwaan ki hai jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye kuchh to suboot-e-khoon-e-tamanna kahii mile hai dil tahee to aankh ko bhar jaana chahiye ya apni khwahishon ko muqaddas na jaante ya khwahishon ke saath hi mar jaana chahiye
Ahmad Faraz
10 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







