jo sochta huun agar vo bayan ho jaae to paani paani ye saara jahan ho jaae gila hai aankh se un ko zaban se hai gila qalam ko hukm hai vo be-zaban ho jaae vahan pe rasta hijrat hi sirf hota hai jahan zamin ye khud asman ho jaae tu khud hi soch zara haal us gulistan ka khizan ke saath jahan baghhban ho jaae kahan talak bhala utre koi umidon par ki saans saans jahan imtihan ho jaae yuun khatm hota hai kirdar baar baar mira ki khatm biich men hi dastan ho jaae andheri raat sada de rahi hai andhi ko hai phir bhi zid ki diya khush-guman ho jaae main vo diya huun jo suraj ki soch sochta hai jo chahta hai ki raushan jahan ho jaae zamana laakh bura chahe khvab tode magar khuda se kaise koi bad-guman ho jaae main kaise maan luun us ko bura yahan 'abrak' khilaf jis ke jahan yak-zaban ho jaae jo sochta hun agar wo bayan ho jae to pani pani ye sara jahan ho jae gila hai aankh se un ko zaban se hai gila qalam ko hukm hai wo be-zaban ho jae wahan pe rasta hijrat hi sirf hota hai jahan zamin ye khud aasman ho jae tu khud hi soch zara haal us gulistan ka khizan ke sath jahan baghban ho jae kahan talak bhala utre koi umidon par ki sans sans jahan imtihan ho jae yun khatm hota hai kirdar bar bar mera ki khatm bich mein hi dastan ho jae andheri raat sada de rahi hai aandhi ko hai phir bhi zid ki diya khush-guman ho jae main wo diya hun jo suraj ki soch sochta hai jo chahta hai ki raushan jahan ho jae zamana lakh bura chahe khwab tode magar khuda se kaise koi bad-guman ho jae main kaise man lun us ko bura yahan 'abrak' khilaf jis ke jahan yak-zaban ho jae
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Atbaf Abrak.
Similar Moods
More moods that pair well with Atbaf Abrak's ghazal.







