ghazalKuch Alfaaz

juda rehta hooñ main tujh se to dil be-taab rehta hai chaman se door rah ke phool kab shaadaab rehta hai andhere aur ujaale ki kahaanii sirf itni hai jahaan mahboob rehta hai wahin mahtaab rehta hai muqaddar men likha kar l aa.e hain ham boriya lekin tasavvur men hamesha resham-o-kam-khwaab rehta hai hazaaron bastiyaan aa jaayeñgi toofaan ki zad men mirii aankhoñ men ab aañsu nahin sailaab rehta hai bhale lagte hain schoolon ki uniform men bacche kanwal ke phool se jaise bhara taalaab rehta hai ye bazaar-e-hawas hai tum yahaañ kaise chale aa.e ye sone ki dukanein hain yahaañ tezaab rehta hai hamaari har pareshaani inhi logon ke dam se hai hamaare saath ye jo halka-e-ahbaab rehta hai badi mushkil se aate hain samajh men lucknow waale dilon men faasle lab par magar aadaab rehta hai

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

More from Munawwar Rana

mujh ko gehraai men miTTi ki utar jaana hai zindagi baandh le saamaan-e-safar jaana hai ghar ki dahleez pe raushan hain vo bujhti aañkhen mujh ko mat rok mujhe laut ke ghar jaana hai main vo mele men bhatkata hua ik bachcha hooñ jis ke maa baap ko rote hue mar jaana hai zindagi taash ke patton ki tarah hai meri aur patton ko bahr-haal bikhar jaana hai ek be-naam se rishte ki tamannaa le kar is kabootar ko kisi chat pe utar jaana hai

Munawwar Rana

5 likes

duniya tiri raunaq se main ab oob raha hooñ tu chaand mujhe kahti thii main doob raha hooñ ab koi shanaasa bhi dikhaai nahin deta barson main isee shahar ka mahboob raha hooñ main KHvaab nahin aap ki aankhoñ ki tarah tha main aap ka lahjaa nahin usloob raha hooñ ruswaai mire naam se mansoob rahi hai main KHud kahaan ruswaai se mansoob raha hooñ sachchaai to ye hai ki tire qarya-e-dil men ik vo bhi zamaana tha ki main khoob raha hooñ us shahar ke patthar bhi gawaahi mirii denge sehra bhi bataa dega ki majzoob raha hooñ duniya mujhe saahil se khadi dekh rahi hai main ek jazeera ki tarah doob raha hooñ shohrat mujhe milti hai to chup-chaap khadi rah ruswaai main tujh se bhi to mansoob raha hooñ fenk aa.e the mujh ko bhi mire bhaai kuein men main sabr men bhi hazrat-e-ayyoob raha hooñ

Munawwar Rana

1 likes

ye darveshon ki bastii hai yahaañ aisa nahin hogaa libaas-e-zindagi phat jaayega maila nahin hogaa share-bazaar men qeemat uchhalti girti rahtii hai magar ye khoon-e-muflis hai kabhi mehnga nahin hogaa tire ehsaas ki eenten lagii hain is imarat men hamaara ghar tire ghar se kabhi ooncha nahin hogaa hamaari dosti ke beech khud-gharzi bhi shaamil hai ye be-mausam ka phal hai ye bahut meetha nahin hogaa purane shahar ke logon men ik rasm-e-murawwat hai hamaare paas aa jaao kabhi dhoka nahin hogaa ye aisi chot hai jis ko hamesha dukhte rahna hai ye aisa zakham hai jo umr bhar achha nahin hogaa

Munawwar Rana

4 likes

phir se badal ke miTTi ki soorat karo mujhe izzat ke saath duniya se ruksat karo mujhe main ne to tum se ki hi nahin koi aarzoo paani ne kab kaha tha ki sharbat karo mujhe kuchh bhi ho mujh ko ek nayi shakl chahiye deewaar par bichao mujhe chat karo mujhe jannat pukaarti hai ki main hooñ tire li.e duniya b-zid hai mujh se ki jannat karo mujhe

Munawwar Rana

5 likes

chaanv mil jaa.e to kam daam men bik jaati hai ab thakan thode se aaraam men bik jaati hai aap kya mujh ko nawaazeṅge janaab-e-aali saltanat tak mire ina'am men bik jaati hai she'r jaisa bhi ho is shahar men padh sakte ho chaai jaisi bhi ho aasaam men bik jaati hai vo siyaasat ka ilaqa hai udhar mat jaana aabroo koocha-e-bad-naam men bik jaati hai

Munawwar Rana

5 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Munawwar Rana.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Munawwar Rana's ghazal.