chaanv mil jaa.e to kam daam men bik jaati hai ab thakan thode se aaraam men bik jaati hai aap kya mujh ko nawaazeṅge janaab-e-aali saltanat tak mire ina'am men bik jaati hai she'r jaisa bhi ho is shahar men padh sakte ho chaai jaisi bhi ho aasaam men bik jaati hai vo siyaasat ka ilaqa hai udhar mat jaana aabroo koocha-e-bad-naam men bik jaati hai
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
More from Munawwar Rana
mujh ko gehraai men miTTi ki utar jaana hai zindagi baandh le saamaan-e-safar jaana hai ghar ki dahleez pe raushan hain vo bujhti aañkhen mujh ko mat rok mujhe laut ke ghar jaana hai main vo mele men bhatkata hua ik bachcha hooñ jis ke maa baap ko rote hue mar jaana hai zindagi taash ke patton ki tarah hai meri aur patton ko bahr-haal bikhar jaana hai ek be-naam se rishte ki tamannaa le kar is kabootar ko kisi chat pe utar jaana hai
Munawwar Rana
5 likes
duniya tiri raunaq se main ab oob raha hooñ tu chaand mujhe kahti thii main doob raha hooñ ab koi shanaasa bhi dikhaai nahin deta barson main isee shahar ka mahboob raha hooñ main KHvaab nahin aap ki aankhoñ ki tarah tha main aap ka lahjaa nahin usloob raha hooñ ruswaai mire naam se mansoob rahi hai main KHud kahaan ruswaai se mansoob raha hooñ sachchaai to ye hai ki tire qarya-e-dil men ik vo bhi zamaana tha ki main khoob raha hooñ us shahar ke patthar bhi gawaahi mirii denge sehra bhi bataa dega ki majzoob raha hooñ duniya mujhe saahil se khadi dekh rahi hai main ek jazeera ki tarah doob raha hooñ shohrat mujhe milti hai to chup-chaap khadi rah ruswaai main tujh se bhi to mansoob raha hooñ fenk aa.e the mujh ko bhi mire bhaai kuein men main sabr men bhi hazrat-e-ayyoob raha hooñ
Munawwar Rana
1 likes
kisi gareeb ki barson ki aarzoo ho jaaun main is surang se nikloon tu aab-joo ho jaaun badaa haseen taqaddus hai us ke chehre par main us ki aankhoñ men jhaankoon to ba-wazoo ho jaaun mujhe pata to chale mujh men aib hain kya kya vo aaina hai to main us ke roo-b-roo ho jaaun kisi tarah bhi ye veeraaniyaan hon khatm mirii sharaab-khaane ke andar ki haav-hoo jaaun mirii hatheli pe honton se aisi mohr laga ki umr-bhar ke li.e main bhi surkh-roo ho jaaun kamii zaraa si bhi mujh men na koi rah jaa.e agar main zakham ki soorat hooñ to rafu ho jaaun naye mizaaj ke shehron men jee nahin lagta purane waqton ka phir se main lucknow ho jaaun
Munawwar Rana
2 likes
phir se badal ke miTTi ki soorat karo mujhe izzat ke saath duniya se ruksat karo mujhe main ne to tum se ki hi nahin koi aarzoo paani ne kab kaha tha ki sharbat karo mujhe kuchh bhi ho mujh ko ek nayi shakl chahiye deewaar par bichao mujhe chat karo mujhe jannat pukaarti hai ki main hooñ tire li.e duniya b-zid hai mujh se ki jannat karo mujhe
Munawwar Rana
5 likes
aisa lagta hai ki kar dega ab azaad mujhe mirii marzi se udaane laga sayyaad mujhe main hooñ sarhad pe bane ek makaan ki soorat kab talak dekhiye rakhta hai vo aabaad mujhe ek qisse ki tarah vo to mujhe bhool gaya ik kahaanii ki tarah vo hai magar yaad mujhe kam se kam ye to bataa de ki kidhar jaayegi kar ke ai khana-kharaabi mirii barbaad mujhe main samajh jaata hooñ is men koi kamzori hai mere jis she'r pe milti hai bahut daad mujhe
Munawwar Rana
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's ghazal.







