kisi gareeb ki barson ki aarzoo ho jaaun main is surang se nikloon tu aab-joo ho jaaun badaa haseen taqaddus hai us ke chehre par main us ki aankhoñ men jhaankoon to ba-wazoo ho jaaun mujhe pata to chale mujh men aib hain kya kya vo aaina hai to main us ke roo-b-roo ho jaaun kisi tarah bhi ye veeraaniyaan hon khatm mirii sharaab-khaane ke andar ki haav-hoo jaaun mirii hatheli pe honton se aisi mohr laga ki umr-bhar ke li.e main bhi surkh-roo ho jaaun kamii zaraa si bhi mujh men na koi rah jaa.e agar main zakham ki soorat hooñ to rafu ho jaaun naye mizaaj ke shehron men jee nahin lagta purane waqton ka phir se main lucknow ho jaaun
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
More from Munawwar Rana
mujh ko gehraai men miTTi ki utar jaana hai zindagi baandh le saamaan-e-safar jaana hai ghar ki dahleez pe raushan hain vo bujhti aañkhen mujh ko mat rok mujhe laut ke ghar jaana hai main vo mele men bhatkata hua ik bachcha hooñ jis ke maa baap ko rote hue mar jaana hai zindagi taash ke patton ki tarah hai meri aur patton ko bahr-haal bikhar jaana hai ek be-naam se rishte ki tamannaa le kar is kabootar ko kisi chat pe utar jaana hai
Munawwar Rana
5 likes
chaanv mil jaa.e to kam daam men bik jaati hai ab thakan thode se aaraam men bik jaati hai aap kya mujh ko nawaazeṅge janaab-e-aali saltanat tak mire ina'am men bik jaati hai she'r jaisa bhi ho is shahar men padh sakte ho chaai jaisi bhi ho aasaam men bik jaati hai vo siyaasat ka ilaqa hai udhar mat jaana aabroo koocha-e-bad-naam men bik jaati hai
Munawwar Rana
5 likes
main is se pahle ki bikharoon idhar udhar ho jaaun mujhe sanbhaal le mumkin hai dar-b-dar ho jaaun ye aab-o-taab jo mujh men hai sab usii se hai agar vo chhod de mujh ko to main khandar ho jaaun mirii madad se khujuroon ki fasl pakne lage main chahta hooñ ki sehra ki dopahar ho jaaun main aas-paas ke mausam se hooñ tar-o-taazaa main apne jhund se nikloon to be-samar ho jaaun badi ajeeb si hiddat hai us ki yaadon men agar main choo luun paseene se tar-b-tar ho jaaun main kacchi miTTi ki soorat hooñ tere haathon men mujhe tu dhaal de aise ki mo'tabar ho jaaun bachi-khuchi hui saanson ke saath pahunchaana suno hawao agar main shikasta-par ho jaaun
Munawwar Rana
1 likes
ye darveshon ki bastii hai yahaañ aisa nahin hogaa libaas-e-zindagi phat jaayega maila nahin hogaa share-bazaar men qeemat uchhalti girti rahtii hai magar ye khoon-e-muflis hai kabhi mehnga nahin hogaa tire ehsaas ki eenten lagii hain is imarat men hamaara ghar tire ghar se kabhi ooncha nahin hogaa hamaari dosti ke beech khud-gharzi bhi shaamil hai ye be-mausam ka phal hai ye bahut meetha nahin hogaa purane shahar ke logon men ik rasm-e-murawwat hai hamaare paas aa jaao kabhi dhoka nahin hogaa ye aisi chot hai jis ko hamesha dukhte rahna hai ye aisa zakham hai jo umr bhar achha nahin hogaa
Munawwar Rana
4 likes
aisa lagta hai ki kar dega ab azaad mujhe mirii marzi se udaane laga sayyaad mujhe main hooñ sarhad pe bane ek makaan ki soorat kab talak dekhiye rakhta hai vo aabaad mujhe ek qisse ki tarah vo to mujhe bhool gaya ik kahaanii ki tarah vo hai magar yaad mujhe kam se kam ye to bataa de ki kidhar jaayegi kar ke ai khana-kharaabi mirii barbaad mujhe main samajh jaata hooñ is men koi kamzori hai mere jis she'r pe milti hai bahut daad mujhe
Munawwar Rana
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's ghazal.







